Surah Al-Araf Verse 129 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafقَالُوٓاْ أُوذِينَا مِن قَبۡلِ أَن تَأۡتِيَنَا وَمِنۢ بَعۡدِ مَا جِئۡتَنَاۚ قَالَ عَسَىٰ رَبُّكُمۡ أَن يُهۡلِكَ عَدُوَّكُمۡ وَيَسۡتَخۡلِفَكُمۡ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَيَنظُرَ كَيۡفَ تَعۡمَلُونَ
Uski qaum ke logon ne kaha “tere aane se pehle bhi hum sataye jatey thay aur ab tere aane par bhi sataye jaa rahey hain”. Usne jawab diya “qareeb hai woh waqt ke tumhara Rubb tumhare dushman ko halaak karde aur tumko zameen mein khalifa banaye. Phir dekhe ke tum kaise amal karte ho”