Surah Al-Araf Verse 143 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafوَلَمَّا جَآءَ مُوسَىٰ لِمِيقَٰتِنَا وَكَلَّمَهُۥ رَبُّهُۥ قَالَ رَبِّ أَرِنِيٓ أَنظُرۡ إِلَيۡكَۚ قَالَ لَن تَرَىٰنِي وَلَٰكِنِ ٱنظُرۡ إِلَى ٱلۡجَبَلِ فَإِنِ ٱسۡتَقَرَّ مَكَانَهُۥ فَسَوۡفَ تَرَىٰنِيۚ فَلَمَّا تَجَلَّىٰ رَبُّهُۥ لِلۡجَبَلِ جَعَلَهُۥ دَكّٗا وَخَرَّ مُوسَىٰ صَعِقٗاۚ فَلَمَّآ أَفَاقَ قَالَ سُبۡحَٰنَكَ تُبۡتُ إِلَيۡكَ وَأَنَا۠ أَوَّلُ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
Jab woh hamare muqarrar kiye huey waqt par pahuncha aur uske Rubb ne ussey kalaam kiya to usne ilteja ki ke “Aey Rubb, mujhey yaaraye nazar de ke main tujhey dekhun” . Farmaya “ Tu mujhey nahin dekh sakta, haan zara saamne ke pahad ki taraf dekh, agar woh apni jagah qayam reh jaye to albatta tu mujhey dekh sakega”. Chunanchey uske Rubb ne jab pahad par tajalli ki to usey reza reza kardiya aur Moosa gash kha kar gir pada (fell down in a swoon), jab hosh aaya to bola “paak hai teri zaat, main tere huzoor tawba karta hoon aur sabse pehla iman laney wala main hoon.”