Surah Al-Araf Verse 142 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Araf۞وَوَٰعَدۡنَا مُوسَىٰ ثَلَٰثِينَ لَيۡلَةٗ وَأَتۡمَمۡنَٰهَا بِعَشۡرٖ فَتَمَّ مِيقَٰتُ رَبِّهِۦٓ أَرۡبَعِينَ لَيۡلَةٗۚ وَقَالَ مُوسَىٰ لِأَخِيهِ هَٰرُونَ ٱخۡلُفۡنِي فِي قَوۡمِي وَأَصۡلِحۡ وَلَا تَتَّبِعۡ سَبِيلَ ٱلۡمُفۡسِدِينَ
Humne Moosa ko tees (thirty) shab o roz ke liye [koh e sina (mount sinai) par] talab kiya aur baad mein dus (ten) din ka aur izafa kardiya, is tarah uske Rubb ki muqarrar karda muddat puray chalis (forty) din ho gayi. Moosa ne chalte huey apne bhai Haroon se kaha ke “ mere pichey tum meri qaum mein meri jaanasheeni (take my place) karna aur theek kaam karte rehna aur bigaad paida karne walon ke tareeqe par na chalna”