Surah Al-Araf Verse 145 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafوَكَتَبۡنَا لَهُۥ فِي ٱلۡأَلۡوَاحِ مِن كُلِّ شَيۡءٖ مَّوۡعِظَةٗ وَتَفۡصِيلٗا لِّكُلِّ شَيۡءٖ فَخُذۡهَا بِقُوَّةٖ وَأۡمُرۡ قَوۡمَكَ يَأۡخُذُواْ بِأَحۡسَنِهَاۚ سَأُوْرِيكُمۡ دَارَ ٱلۡفَٰسِقِينَ
Iske baad humne Moosa ko har shoba e zindagi ke mutaaliq naseehat aur har pehlu ke mutaaliq wazeh hidayat takhtiyon par likh kar de di, aur ussey kaha: “ in hidayaat ko mazboot haathon se sambhaal aur apni qaum ko hukum de ke inke behtar mafhoom ki pairwi karein. Anqareeb main tumhein fasiqon ke ghar dikhaunga