Surah Al-Araf Verse 148 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafوَٱتَّخَذَ قَوۡمُ مُوسَىٰ مِنۢ بَعۡدِهِۦ مِنۡ حُلِيِّهِمۡ عِجۡلٗا جَسَدٗا لَّهُۥ خُوَارٌۚ أَلَمۡ يَرَوۡاْ أَنَّهُۥ لَا يُكَلِّمُهُمۡ وَلَا يَهۡدِيهِمۡ سَبِيلًاۘ ٱتَّخَذُوهُ وَكَانُواْ ظَٰلِمِينَ
Moosa ke pichey uski qaum ke logon ne apne zewaron (ornaments) se ek bachde (calf) ka putla bana liya jis mein se bail (cow) ki si awaaz nikalti thi. Kya unhein nazar na aata tha ke woh na unsey bolta hai na kisi maamle mein unki rehnumayi karta hai? Magar phir bhi unhon ne usey mabood bana liya aur woh sakht zalim thay