Surah Al-Araf Verse 179 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafوَلَقَدۡ ذَرَأۡنَا لِجَهَنَّمَ كَثِيرٗا مِّنَ ٱلۡجِنِّ وَٱلۡإِنسِۖ لَهُمۡ قُلُوبٞ لَّا يَفۡقَهُونَ بِهَا وَلَهُمۡ أَعۡيُنٞ لَّا يُبۡصِرُونَ بِهَا وَلَهُمۡ ءَاذَانٞ لَّا يَسۡمَعُونَ بِهَآۚ أُوْلَـٰٓئِكَ كَٱلۡأَنۡعَٰمِ بَلۡ هُمۡ أَضَلُّۚ أُوْلَـٰٓئِكَ هُمُ ٱلۡغَٰفِلُونَ
Aur yeh haqeeqat hai ke bahut se Jinn aur Insaan aisey hain jinko humne jahannum ke liye paida kiya hai. Unke paas dil hain magar woh unse sochte nahin, unke paas aankhein hain magar woh unse dekhte nahin, unke paas kaan hain magar woh unse sunte nahin. Woh jaanwaron ki tarah hain balke unse bhi zyada gaye guzre. Yeh woh log hain jo gaflat mein khoye gaye hain