Surah Al-Araf Verse 203 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafوَإِذَا لَمۡ تَأۡتِهِم بِـَٔايَةٖ قَالُواْ لَوۡلَا ٱجۡتَبَيۡتَهَاۚ قُلۡ إِنَّمَآ أَتَّبِعُ مَا يُوحَىٰٓ إِلَيَّ مِن رَّبِّيۚ هَٰذَا بَصَآئِرُ مِن رَّبِّكُمۡ وَهُدٗى وَرَحۡمَةٞ لِّقَوۡمٖ يُؤۡمِنُونَ
(Aey Nabi), jab tum in logon ke saamne koi nishani (yani moajiza) pesh nahin karte to yeh kehte hain ke tumne apne liye koi nishani kyun na intekhab karli? Insey kaho “main to sirf us wahee ki pairwi karta hoon jo mere Rubb ne meri taraf bheji hai, yeh baseerat (vision) ki roshniyan hain tumhare Rubb ki taraf se aur hidayat aur rehmat hai un logon ke liye jo isey qabool karein