Surah Al-Araf Verse 22 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafفَدَلَّىٰهُمَا بِغُرُورٖۚ فَلَمَّا ذَاقَا ٱلشَّجَرَةَ بَدَتۡ لَهُمَا سَوۡءَٰتُهُمَا وَطَفِقَا يَخۡصِفَانِ عَلَيۡهِمَا مِن وَرَقِ ٱلۡجَنَّةِۖ وَنَادَىٰهُمَا رَبُّهُمَآ أَلَمۡ أَنۡهَكُمَا عَن تِلۡكُمَا ٱلشَّجَرَةِ وَأَقُل لَّكُمَآ إِنَّ ٱلشَّيۡطَٰنَ لَكُمَا عَدُوّٞ مُّبِينٞ
Is tarah dhoka dekar woh un dono ko rafta rafta apne dhap par le aaya. Aakhir e kaar jab unhon ne us darakht ka maza chakkha to unke satr ek dusre ke saamne khul gaye aur woh apne jismon ko jannat ke patton se dhankne lagey. Tab unke Rubb ne unhein pukara, “kya maine tumhein is darakht se na roka tha aur na kaha tha ke shaytan tumhara khula dushman hai?”