Surah Al-Araf Verse 28 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafوَإِذَا فَعَلُواْ فَٰحِشَةٗ قَالُواْ وَجَدۡنَا عَلَيۡهَآ ءَابَآءَنَا وَٱللَّهُ أَمَرَنَا بِهَاۗ قُلۡ إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَأۡمُرُ بِٱلۡفَحۡشَآءِۖ أَتَقُولُونَ عَلَى ٱللَّهِ مَا لَا تَعۡلَمُونَ
Yeh log jab koi sharmnaak kaam karte hain to kehte hain humne apne baap dada ko isi tareeqe par paya hai aur Allah hi ne humein aisa karne ka hukum diya hai. Insey kaho Allah be-hayayi ka hukm kabhi nahin diya karta. Kya tum Allah ka naam lekar woh baatein kehte ho jinke mutaaliq tumhein ilm nahin hai (woh Allah ki taraf se hain)