Surah Al-Araf Verse 33 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafقُلۡ إِنَّمَا حَرَّمَ رَبِّيَ ٱلۡفَوَٰحِشَ مَا ظَهَرَ مِنۡهَا وَمَا بَطَنَ وَٱلۡإِثۡمَ وَٱلۡبَغۡيَ بِغَيۡرِ ٱلۡحَقِّ وَأَن تُشۡرِكُواْ بِٱللَّهِ مَا لَمۡ يُنَزِّلۡ بِهِۦ سُلۡطَٰنٗا وَأَن تَقُولُواْ عَلَى ٱللَّهِ مَا لَا تَعۡلَمُونَ
(Aey Muhammad), insey kaho ke mere Rubb ne jo cheezein haraam ki hain woh to yeh hain : besharmi ke kaam khwa khuley hon ya chupey, aur gunaah aur haqq ke khilaf ziyadati, aur yeh ke Allah ke saath tum kisi ko shareek karo jiske liye usne koi sanad nazil nahin ki, aur yeh ke Allah ke naam par koi aisi baat kaho jiske mutaaliq tumhein ilm na ho ke woh haqeeqat mein usi ne farmayi hai