Surah Al-Araf Verse 53 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafهَلۡ يَنظُرُونَ إِلَّا تَأۡوِيلَهُۥۚ يَوۡمَ يَأۡتِي تَأۡوِيلُهُۥ يَقُولُ ٱلَّذِينَ نَسُوهُ مِن قَبۡلُ قَدۡ جَآءَتۡ رُسُلُ رَبِّنَا بِٱلۡحَقِّ فَهَل لَّنَا مِن شُفَعَآءَ فَيَشۡفَعُواْ لَنَآ أَوۡ نُرَدُّ فَنَعۡمَلَ غَيۡرَ ٱلَّذِي كُنَّا نَعۡمَلُۚ قَدۡ خَسِرُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ وَضَلَّ عَنۡهُم مَّا كَانُواْ يَفۡتَرُونَ
Ab kya yeh log iske siwa kisi aur baat ke muntazir hain ke woh anjaam saamne aa jaye jiski yeh kitab khabar de rahi hai? Jis roz woh anjaam saamne aa gaya to wahi log jinhon ne usey nazar-andaz kardiya tha kahenge ke “waqayi hamare Rubb ke Rasool haqq lekar aaye thay, phir kya ab humein kuch sifarishi milenge jo hamare haqq mein sifarish karein? Ya humein dobara wapas hi bhej diya jaye taa-ke jo kuch hum pehle karte thay uske bajaye ab dusre tareeqe par kaam karke dikhayein”. Unhon ne apne aap ko khasare (nuksaan) mein daal diya aur woh sarey jhoot jo unhon ne tasneef kar rakkhey thay aaj unse ghum ho gaye