Surah Al-Araf Verse 54 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafإِنَّ رَبَّكُمُ ٱللَّهُ ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ فِي سِتَّةِ أَيَّامٖ ثُمَّ ٱسۡتَوَىٰ عَلَى ٱلۡعَرۡشِۖ يُغۡشِي ٱلَّيۡلَ ٱلنَّهَارَ يَطۡلُبُهُۥ حَثِيثٗا وَٱلشَّمۡسَ وَٱلۡقَمَرَ وَٱلنُّجُومَ مُسَخَّرَٰتِۭ بِأَمۡرِهِۦٓۗ أَلَا لَهُ ٱلۡخَلۡقُ وَٱلۡأَمۡرُۗ تَبَارَكَ ٱللَّهُ رَبُّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Dar haqeeqat tumhara Rubb Allah hi hai jisne aasman aur zameen ko chey( six) dino mein paida kiya, phir apne takht e sultanat par jalwa farma hua, jo raat ko din par dhank deta hai aur phir din raat ke pichey dauda chala aata hai, jisne Suraj aur chand aur taarey paida kiye sab uske farmaan ke tabeh hain. Khabardar raho! Usi ki khalq (creation) hai aur usi ka amr(command) hai. Bada ba-barakat hai Allah, sarey jahaano ka maalik o parwardigar