Surah Al-Araf Verse 89 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Arafقَدِ ٱفۡتَرَيۡنَا عَلَى ٱللَّهِ كَذِبًا إِنۡ عُدۡنَا فِي مِلَّتِكُم بَعۡدَ إِذۡ نَجَّىٰنَا ٱللَّهُ مِنۡهَاۚ وَمَا يَكُونُ لَنَآ أَن نَّعُودَ فِيهَآ إِلَّآ أَن يَشَآءَ ٱللَّهُ رَبُّنَاۚ وَسِعَ رَبُّنَا كُلَّ شَيۡءٍ عِلۡمًاۚ عَلَى ٱللَّهِ تَوَكَّلۡنَاۚ رَبَّنَا ٱفۡتَحۡ بَيۡنَنَا وَبَيۡنَ قَوۡمِنَا بِٱلۡحَقِّ وَأَنتَ خَيۡرُ ٱلۡفَٰتِحِينَ
Hum Allah par jhoot ghadne waley hongey agar tumhari millat mein palat aayein jabke Allah humein issey najaat de chuka hai. Hamare liye to iski taraf palatna ab kisi tarah mumkin nahin illa yeh ke khuda hamara Rubb hi aisa chahe. Hamare Rubb ka ilm har cheez par haawi hai, usi par humne aitamaad(bharosa) karliya. Aey Rubb, hamare aur hamari qaum ke darmiyan theek theek faisla karde aur tu behtareen faisla karne wala hai”