Surah Al-Burooj - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
وَٱلسَّمَآءِ ذَاتِ ٱلۡبُرُوجِ
Kasam hai mazboot qalon waley (impregnable castles )aasman ki
Surah Al-Burooj, Verse 1
وَٱلۡيَوۡمِ ٱلۡمَوۡعُودِ
Aur us din ki jiska wada kiya gaya hai
Surah Al-Burooj, Verse 2
وَشَاهِدٖ وَمَشۡهُودٖ
Aur dekhnay walay ki aur dekhi janey wali cheez ki
Surah Al-Burooj, Verse 3
قُتِلَ أَصۡحَٰبُ ٱلۡأُخۡدُودِ
kay maarey gaye gaddey(pit) waley
Surah Al-Burooj, Verse 4
ٱلنَّارِ ذَاتِ ٱلۡوَقُودِ
uss gaddey(pit) waley] jis mei khoob bhadakte huey indhan ki aag thi
Surah Al-Burooj, Verse 5
إِذۡ هُمۡ عَلَيۡهَا قُعُودٞ
jabke woh us gaddey ke kinare par baithay huey thay
Surah Al-Burooj, Verse 6
وَهُمۡ عَلَىٰ مَا يَفۡعَلُونَ بِٱلۡمُؤۡمِنِينَ شُهُودٞ
Aur jo kuch woh imaan laney walon ke saath kar rahey thay usey dekh rahey thay
Surah Al-Burooj, Verse 7
وَمَا نَقَمُواْ مِنۡهُمۡ إِلَّآ أَن يُؤۡمِنُواْ بِٱللَّهِ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡحَمِيدِ
Aur un ehley imaan se unki dushmani iske siwa kisi wajah se na thi ke woh us khuda par imaan le aaye thay jo zabardast aur apni zaat mei aap mahmood(praiseworthy) hai
Surah Al-Burooj, Verse 8
ٱلَّذِي لَهُۥ مُلۡكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ شَهِيدٌ
Jo aasmano aur zameen ki sultanat ka maalik hai, aur woh khuda sab kuch dekh raha hai
Surah Al-Burooj, Verse 9
إِنَّ ٱلَّذِينَ فَتَنُواْ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ وَٱلۡمُؤۡمِنَٰتِ ثُمَّ لَمۡ يَتُوبُواْ فَلَهُمۡ عَذَابُ جَهَنَّمَ وَلَهُمۡ عَذَابُ ٱلۡحَرِيقِ
Jin logon ne momin mardon aur auraton par zulm o sitam toda aur phir ussey taib na huey, yaqeenan unke liye jahannum ka azaab hai aur unke liye jalaye janey ki saza hai
Surah Al-Burooj, Verse 10
إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ لَهُمۡ جَنَّـٰتٞ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُۚ ذَٰلِكَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡكَبِيرُ
Jo log imaan laaye aur jinho ne neik amal kiye yaqeenan unke liye jannat ke baagh hain jinke nichey nehrein behti hongi, yeh hai badi kamyabi
Surah Al-Burooj, Verse 11
إِنَّ بَطۡشَ رَبِّكَ لَشَدِيدٌ
Dar haqeeqat tumharey Rubb ki pakad badi sakht hai
Surah Al-Burooj, Verse 12
إِنَّهُۥ هُوَ يُبۡدِئُ وَيُعِيدُ
Wahi pehli baar paida karta hai aur wahi dobara paida karega
Surah Al-Burooj, Verse 13
وَهُوَ ٱلۡغَفُورُ ٱلۡوَدُودُ
Aur woh bakshne wala hai, mohabbat karne wala hai
Surah Al-Burooj, Verse 14
ذُو ٱلۡعَرۡشِ ٱلۡمَجِيدُ
Arsh ka maalik hai, buzurg-o-bartar hai
Surah Al-Burooj, Verse 15
فَعَّالٞ لِّمَا يُرِيدُ
Aur jo kuch chahey kar daalney wala hai
Surah Al-Burooj, Verse 16
هَلۡ أَتَىٰكَ حَدِيثُ ٱلۡجُنُودِ
Kya tumhey lashkaron ki khabar pahunchi hai
Surah Al-Burooj, Verse 17
فِرۡعَوۡنَ وَثَمُودَ
Firoun aur samood (ke lashkaron) ki
Surah Al-Burooj, Verse 18
بَلِ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فِي تَكۡذِيبٖ
Magar jinho ne kufr kiya hai woh jhutlaney mein lagey huey hain
Surah Al-Burooj, Verse 19
وَٱللَّهُ مِن وَرَآئِهِم مُّحِيطُۢ
Halaanke Allah ne unko gherey mein le rakha hai
Surah Al-Burooj, Verse 20
بَلۡ هُوَ قُرۡءَانٞ مَّجِيدٞ
(unke jhutlaney se iss quran ka kuch nahin bigadta) balkey yeh quran buland paya hai
Surah Al-Burooj, Verse 21
فِي لَوۡحٖ مَّحۡفُوظِۭ
Us loah mei (naqsh hai) jo mehfooz hai
Surah Al-Burooj, Verse 22