Surah Al-Inshiqaq - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
إِذَا ٱلسَّمَآءُ ٱنشَقَّتۡ
Jab aasman phatt jayega
Surah Al-Inshiqaq, Verse 1
وَأَذِنَتۡ لِرَبِّهَا وَحُقَّتۡ
Aur apne Rubb kay famaan ki tameel karega aur uske liye haq yahi hai (ke apne Rubb ka hukum maney)
Surah Al-Inshiqaq, Verse 2
وَإِذَا ٱلۡأَرۡضُ مُدَّتۡ
Aur jab zameen phaila di jayegi
Surah Al-Inshiqaq, Verse 3
وَأَلۡقَتۡ مَا فِيهَا وَتَخَلَّتۡ
Aur jo kuch uske andar hai usey bahar phenk kar khaali ho jayegi
Surah Al-Inshiqaq, Verse 4
وَأَذِنَتۡ لِرَبِّهَا وَحُقَّتۡ
Aur apne Rubb ke hukum ki tameel karegi aur uske liye haq yahi hai (kay uski tameel karey)
Surah Al-Inshiqaq, Verse 5
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلۡإِنسَٰنُ إِنَّكَ كَادِحٌ إِلَىٰ رَبِّكَ كَدۡحٗا فَمُلَٰقِيهِ
Aey insaan tu kashaan kashaan apne Rubb ki taraf chala ja raha hai(striving unto your Lord) aur ussey milney wala hai
Surah Al-Inshiqaq, Verse 6
فَأَمَّا مَنۡ أُوتِيَ كِتَٰبَهُۥ بِيَمِينِهِۦ
Phir jiska naam-e-aamal uske seedhey haath mei diya gaya
Surah Al-Inshiqaq, Verse 7
فَسَوۡفَ يُحَاسَبُ حِسَابٗا يَسِيرٗا
Ussey halka hisaab liya jayega
Surah Al-Inshiqaq, Verse 8
وَيَنقَلِبُ إِلَىٰٓ أَهۡلِهِۦ مَسۡرُورٗا
Aur woh apne logon ki taraf khush khush paltega
Surah Al-Inshiqaq, Verse 9
وَأَمَّا مَنۡ أُوتِيَ كِتَٰبَهُۥ وَرَآءَ ظَهۡرِهِۦ
Raha woh shaks jiska naam-e-aamal us ki peeth ke pichey diya jayega
Surah Al-Inshiqaq, Verse 10
فَسَوۡفَ يَدۡعُواْ ثُبُورٗا
To woh maut ko pukarega
Surah Al-Inshiqaq, Verse 11
وَيَصۡلَىٰ سَعِيرًا
Aur bhadakti hui aag mei ja padega
Surah Al-Inshiqaq, Verse 12
إِنَّهُۥ كَانَ فِيٓ أَهۡلِهِۦ مَسۡرُورًا
Woh apne ghar walon mein magan tha
Surah Al-Inshiqaq, Verse 13
إِنَّهُۥ ظَنَّ أَن لَّن يَحُورَ
Usne samjha tha ke usey kabhi palatna nahin hai
Surah Al-Inshiqaq, Verse 14
بَلَىٰٓۚ إِنَّ رَبَّهُۥ كَانَ بِهِۦ بَصِيرٗا
Palatna kaise na tha, uska Rubb uske kartoot dekh raha tha
Surah Al-Inshiqaq, Verse 15
فَلَآ أُقۡسِمُ بِٱلشَّفَقِ
Pas nahin mai kasam khata hon shafaq(twilight) ki
Surah Al-Inshiqaq, Verse 16
وَٱلَّيۡلِ وَمَا وَسَقَ
Aur raat ki aur jo kuch woh sameith leti hai
Surah Al-Inshiqaq, Verse 17
وَٱلۡقَمَرِ إِذَا ٱتَّسَقَ
Aur chaand ki jabke woh maah-e-kaamil (full) ho jata hai
Surah Al-Inshiqaq, Verse 18
لَتَرۡكَبُنَّ طَبَقًا عَن طَبَقٖ
Tumko zaroor darja ba darja ek haalat se dusri halat ki taraf guzarte chalay jana hai
Surah Al-Inshiqaq, Verse 19
فَمَا لَهُمۡ لَا يُؤۡمِنُونَ
Phir in logon ko kya ho gaya hai ke yeh imaan nahin laatey
Surah Al-Inshiqaq, Verse 20
وَإِذَا قُرِئَ عَلَيۡهِمُ ٱلۡقُرۡءَانُ لَا يَسۡجُدُونَۤ۩
Aur jab Quran inke samney pada jata hai to sajda nahin karte
Surah Al-Inshiqaq, Verse 21
بَلِ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ يُكَذِّبُونَ
Balke yeh munkireen to ulta jhutlatay hain
Surah Al-Inshiqaq, Verse 22
وَٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِمَا يُوعُونَ
Halaanke jo kuch yeh (apne naam-e-aamal mein) jama kar rahey hain Allah usey khoob janta hai
Surah Al-Inshiqaq, Verse 23
فَبَشِّرۡهُم بِعَذَابٍ أَلِيمٍ
Lihaza inko dardnaak azaab ki basharat dedo
Surah Al-Inshiqaq, Verse 24
إِلَّا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ لَهُمۡ أَجۡرٌ غَيۡرُ مَمۡنُونِۭ
Albatta jo log imaan le aaye hain aur jinho ne neik aamal kiye hain unke liye kabhi khatam na honay wala ajar hai
Surah Al-Inshiqaq, Verse 25