Surah Al-Mutaffifin - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
وَيۡلٞ لِّلۡمُطَفِّفِينَ
Tabahi hai dandi maarne walon ke liye
Surah Al-Mutaffifin, Verse 1
ٱلَّذِينَ إِذَا ٱكۡتَالُواْ عَلَى ٱلنَّاسِ يَسۡتَوۡفُونَ
Jinka haal yeh hai ke jab logon se letey hai to pura pura letey hai
Surah Al-Mutaffifin, Verse 2
وَإِذَا كَالُوهُمۡ أَو وَّزَنُوهُمۡ يُخۡسِرُونَ
Aur jab unko naap kar ya toal kar dete hai to unhein ghata dete hai
Surah Al-Mutaffifin, Verse 3
أَلَا يَظُنُّ أُوْلَـٰٓئِكَ أَنَّهُم مَّبۡعُوثُونَ
Kya yeh log nahin samajhte ke ek badey din
Surah Al-Mutaffifin, Verse 4
لِيَوۡمٍ عَظِيمٖ
Yeh utha kar laaye jaaney waley hain
Surah Al-Mutaffifin, Verse 5
يَوۡمَ يَقُومُ ٱلنَّاسُ لِرَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
Uss din jabke sab log Rabb-ul-Aalamin ke samney khadey hongey
Surah Al-Mutaffifin, Verse 6
كَلَّآ إِنَّ كِتَٰبَ ٱلۡفُجَّارِ لَفِي سِجِّينٖ
Hargiz nahin, yaqeenan badkaaron ka naam-e- aamal qaid-khane ke daftar mei hai
Surah Al-Mutaffifin, Verse 7
وَمَآ أَدۡرَىٰكَ مَا سِجِّينٞ
Aur tumhey kya maloom ke woh qaid-khaney ka daftar kya hai
Surah Al-Mutaffifin, Verse 8
كِتَٰبٞ مَّرۡقُومٞ
Ek kitaab hai likhi hui
Surah Al-Mutaffifin, Verse 9
وَيۡلٞ يَوۡمَئِذٖ لِّلۡمُكَذِّبِينَ
Tabahi hai us roz jhutlane walon ke liye
Surah Al-Mutaffifin, Verse 10
ٱلَّذِينَ يُكَذِّبُونَ بِيَوۡمِ ٱلدِّينِ
Jo roz-e-jaza ko jhutlatay hain
Surah Al-Mutaffifin, Verse 11
وَمَا يُكَذِّبُ بِهِۦٓ إِلَّا كُلُّ مُعۡتَدٍ أَثِيمٍ
Aur usey nahin jhutlata magar har woh shaks jo hadd se guzar janey wala bad-amal hai
Surah Al-Mutaffifin, Verse 12
إِذَا تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِ ءَايَٰتُنَا قَالَ أَسَٰطِيرُ ٱلۡأَوَّلِينَ
Usey jab hamari ayaat sunayi jaati hain to kehta hai yeh to agley waqton ki kahaniyan hai
Surah Al-Mutaffifin, Verse 13
كَلَّاۖ بَلۡۜ رَانَ عَلَىٰ قُلُوبِهِم مَّا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ
Hargiz nahin, balke darasal in logon ke dilon par inke burey aamal ka zang(rust) chadh gaya hai
Surah Al-Mutaffifin, Verse 14
كَلَّآ إِنَّهُمۡ عَن رَّبِّهِمۡ يَوۡمَئِذٖ لَّمَحۡجُوبُونَ
Hargiz nahin bil yaqeen us roz yeh apne Rubb ki deed(deedar) se mehroom rakhey jayenge
Surah Al-Mutaffifin, Verse 15
ثُمَّ إِنَّهُمۡ لَصَالُواْ ٱلۡجَحِيمِ
Phir yeh jahannum mein jaa padenge
Surah Al-Mutaffifin, Verse 16
ثُمَّ يُقَالُ هَٰذَا ٱلَّذِي كُنتُم بِهِۦ تُكَذِّبُونَ
Phir insey kaha jayega ke yeh wahi cheez hai jisey tum jhutlaya karte thay
Surah Al-Mutaffifin, Verse 17
كَلَّآ إِنَّ كِتَٰبَ ٱلۡأَبۡرَارِ لَفِي عِلِّيِّينَ
Hargiz nahin, beshak neik aadmion ka naam-e-aamal buland paya logon ke daftar mein hai
Surah Al-Mutaffifin, Verse 18
وَمَآ أَدۡرَىٰكَ مَا عِلِّيُّونَ
Aur tumhein kya khabar ke kya hai woh buland paya logon ka daftar
Surah Al-Mutaffifin, Verse 19
كِتَٰبٞ مَّرۡقُومٞ
Ek likhi hui kitaab hai
Surah Al-Mutaffifin, Verse 20
يَشۡهَدُهُ ٱلۡمُقَرَّبُونَ
Jiski nigeh-daasht muqarrab farishtay karte hain
Surah Al-Mutaffifin, Verse 21
إِنَّ ٱلۡأَبۡرَارَ لَفِي نَعِيمٍ
Beshak neik log badey mazey mein hongey
Surah Al-Mutaffifin, Verse 22
عَلَى ٱلۡأَرَآئِكِ يَنظُرُونَ
Unchi masnadon(couches) par baithay nazarey kar rahey hongey
Surah Al-Mutaffifin, Verse 23
تَعۡرِفُ فِي وُجُوهِهِمۡ نَضۡرَةَ ٱلنَّعِيمِ
Unke chehron par tum khushhaali ki raunak mehsoos karogey
Surah Al-Mutaffifin, Verse 24
يُسۡقَوۡنَ مِن رَّحِيقٖ مَّخۡتُومٍ
Unko nafees tareen sarband sharaab pilayi jayegi jispar mushk ki mohar(seal) lagi hogi
Surah Al-Mutaffifin, Verse 25
خِتَٰمُهُۥ مِسۡكٞۚ وَفِي ذَٰلِكَ فَلۡيَتَنَافَسِ ٱلۡمُتَنَٰفِسُونَ
Jo log dusron par baazi le jana chahtey hon woh is cheez ko haasil karne mei baazi le jane ki koshish karein
Surah Al-Mutaffifin, Verse 26
وَمِزَاجُهُۥ مِن تَسۡنِيمٍ
Us sharaab mei tasneem ki aamezish(mixture) hogi
Surah Al-Mutaffifin, Verse 27
عَيۡنٗا يَشۡرَبُ بِهَا ٱلۡمُقَرَّبُونَ
Yeh ek chasma hai jiske paani ke saath muqarrab log sharaab piyengey
Surah Al-Mutaffifin, Verse 28
إِنَّ ٱلَّذِينَ أَجۡرَمُواْ كَانُواْ مِنَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ يَضۡحَكُونَ
Mujrim log duniya mein imaan laane walon ka mazaak udate thay
Surah Al-Mutaffifin, Verse 29
وَإِذَا مَرُّواْ بِهِمۡ يَتَغَامَزُونَ
Jab unke paas se guzarte to aankhein maar maar kar unki taraf isharey karte thay
Surah Al-Mutaffifin, Verse 30
وَإِذَا ٱنقَلَبُوٓاْ إِلَىٰٓ أَهۡلِهِمُ ٱنقَلَبُواْ فَكِهِينَ
Apne gharon ki taraf palat-tey to mazey letey huey palat-tey thay
Surah Al-Mutaffifin, Verse 31
وَإِذَا رَأَوۡهُمۡ قَالُوٓاْ إِنَّ هَـٰٓؤُلَآءِ لَضَآلُّونَ
Aur jab unhein dekhte to kehte thay ke yeh behke huey log hain
Surah Al-Mutaffifin, Verse 32
وَمَآ أُرۡسِلُواْ عَلَيۡهِمۡ حَٰفِظِينَ
Halaanke woh un par nigran banakar nahin bhejey gaye thay
Surah Al-Mutaffifin, Verse 33
فَٱلۡيَوۡمَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مِنَ ٱلۡكُفَّارِ يَضۡحَكُونَ
Aaj imaan laane waley kuffar par hans rahay hai
Surah Al-Mutaffifin, Verse 34
عَلَى ٱلۡأَرَآئِكِ يَنظُرُونَ
Masnadon par baithey huey unka haal dekh rahey hain
Surah Al-Mutaffifin, Verse 35
هَلۡ ثُوِّبَ ٱلۡكُفَّارُ مَا كَانُواْ يَفۡعَلُونَ
Mil gaya na kafiron ko un harkaton ka sawab jo woh kiya karte thay
Surah Al-Mutaffifin, Verse 36