Surah Al-Mutaffifin - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
وَيۡلٞ لِّلۡمُطَفِّفِينَ
badi qaraabi hai naap tool mein kami karne waalo ki
Surah Al-Mutaffifin, Verse 1
ٱلَّذِينَ إِذَا ٱكۡتَالُواْ عَلَى ٱلنَّاسِ يَسۡتَوۡفُونَ
ke jab logo se naap kar lete hai to pura pura lete hai
Surah Al-Mutaffifin, Verse 2
وَإِذَا كَالُوهُمۡ أَو وَّزَنُوهُمۡ يُخۡسِرُونَ
aur jab unhe naap kar ya tool kar dete hai to kam dete hai
Surah Al-Mutaffifin, Verse 3
أَلَا يَظُنُّ أُوْلَـٰٓئِكَ أَنَّهُم مَّبۡعُوثُونَ
kya unhe apne marne ke baadh ji uthne ka qayaal nahi
Surah Al-Mutaffifin, Verse 4
لِيَوۡمٍ عَظِيمٖ
us azeem din ke liye
Surah Al-Mutaffifin, Verse 5
يَوۡمَ يَقُومُ ٱلنَّاسُ لِرَبِّ ٱلۡعَٰلَمِينَ
jis din sab log rabbul aalameen ke saamne khade honge
Surah Al-Mutaffifin, Verse 6
كَلَّآ إِنَّ كِتَٰبَ ٱلۡفُجَّارِ لَفِي سِجِّينٖ
yaqinan badh kaaro ka naame amaal sijjiyyeen mein hai
Surah Al-Mutaffifin, Verse 7
وَمَآ أَدۡرَىٰكَ مَا سِجِّينٞ
tujhe kya maloom sijjiyyeen kya hai
Surah Al-Mutaffifin, Verse 8
كِتَٰبٞ مَّرۡقُومٞ
(ye to) likhi hoyi kitaab hai
Surah Al-Mutaffifin, Verse 9
وَيۡلٞ يَوۡمَئِذٖ لِّلۡمُكَذِّبِينَ
us din jhutlaane waalo ki badi qaraabi hai
Surah Al-Mutaffifin, Verse 10
ٱلَّذِينَ يُكَذِّبُونَ بِيَوۡمِ ٱلدِّينِ
jo jaza wa saza ke din ko jhutlaate rahe
Surah Al-Mutaffifin, Verse 11
وَمَا يُكَذِّبُ بِهِۦٓ إِلَّا كُلُّ مُعۡتَدٍ أَثِيمٍ
ose sirf wahi jhutlaata hai, jo hadh se aage nikal jaane waala (aur) gunehgaar hota hai
Surah Al-Mutaffifin, Verse 12
إِذَا تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِ ءَايَٰتُنَا قَالَ أَسَٰطِيرُ ٱلۡأَوَّلِينَ
jab us ke saamne hamaari aayate padi jaati hai to keh deta hai ke ye aglo ke afsaane hai
Surah Al-Mutaffifin, Verse 13
كَلَّاۖ بَلۡۜ رَانَ عَلَىٰ قُلُوبِهِم مَّا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ
yo nahi, balke un ke dilo par un ke amaal ki wajeh se zang (chad gaya) hai
Surah Al-Mutaffifin, Verse 14
كَلَّآ إِنَّهُمۡ عَن رَّبِّهِمۡ يَوۡمَئِذٖ لَّمَحۡجُوبُونَ
har giz nahi, ye log us din apne rab se oot1 mein rakhe jayenge
Surah Al-Mutaffifin, Verse 15
ثُمَّ إِنَّهُمۡ لَصَالُواْ ٱلۡجَحِيمِ
phir ye log bil yaqeen jahannam mein jhonke jayenge
Surah Al-Mutaffifin, Verse 16
ثُمَّ يُقَالُ هَٰذَا ٱلَّذِي كُنتُم بِهِۦ تُكَذِّبُونَ
phir keh diya jayega, yahi hai wo, jise tum jhutlaate rahe
Surah Al-Mutaffifin, Verse 17
كَلَّآ إِنَّ كِتَٰبَ ٱلۡأَبۡرَارِ لَفِي عِلِّيِّينَ
yaqinan yaqinan, neko kaaro ka naame amaal, illiyyeen mein hai
Surah Al-Mutaffifin, Verse 18
وَمَآ أَدۡرَىٰكَ مَا عِلِّيُّونَ
tujhe kya pata ke illiyyeen kya hai
Surah Al-Mutaffifin, Verse 19
كِتَٰبٞ مَّرۡقُومٞ
(wo to) likhi hoyi kitaab hai
Surah Al-Mutaffifin, Verse 20
يَشۡهَدُهُ ٱلۡمُقَرَّبُونَ
muqarrab (farishte) us ka mushaa’heda karte hai
Surah Al-Mutaffifin, Verse 21
إِنَّ ٱلۡأَبۡرَارَ لَفِي نَعِيمٍ
yaqinan nek log (badi) nemato mein honge
Surah Al-Mutaffifin, Verse 22
عَلَى ٱلۡأَرَآئِكِ يَنظُرُونَ
masehriyo par baithe dekh rahe honge
Surah Al-Mutaffifin, Verse 23
تَعۡرِفُ فِي وُجُوهِهِمۡ نَضۡرَةَ ٱلنَّعِيمِ
tu un ke chehro se hee nemato ki taro taazgi pehchaan lega
Surah Al-Mutaffifin, Verse 24
يُسۡقَوۡنَ مِن رَّحِيقٖ مَّخۡتُومٍ
ye log sar ba muhar qaalis sharaab pilaaya jayenge
Surah Al-Mutaffifin, Verse 25
خِتَٰمُهُۥ مِسۡكٞۚ وَفِي ذَٰلِكَ فَلۡيَتَنَافَسِ ٱلۡمُتَنَٰفِسُونَ
jis par mushk ki muhar hogi, sabqath le jaane waalo ko isi mein sabqath karni chahiye
Surah Al-Mutaffifin, Verse 26
وَمِزَاجُهُۥ مِن تَسۡنِيمٍ
aur us ki aamezish tasneem ki hogi
Surah Al-Mutaffifin, Verse 27
عَيۡنٗا يَشۡرَبُ بِهَا ٱلۡمُقَرَّبُونَ
(yaani) wo chashma jis ka paani muqarrab log piyenge
Surah Al-Mutaffifin, Verse 28
إِنَّ ٱلَّذِينَ أَجۡرَمُواْ كَانُواْ مِنَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ يَضۡحَكُونَ
gunehgaar log imaan waalo ki hasi udaaya karte thein
Surah Al-Mutaffifin, Verse 29
وَإِذَا مَرُّواْ بِهِمۡ يَتَغَامَزُونَ
aur un ke paas se guzarte hoye, aapas mein aankh ke ishaare karte thein
Surah Al-Mutaffifin, Verse 30
وَإِذَا ٱنقَلَبُوٓاْ إِلَىٰٓ أَهۡلِهِمُ ٱنقَلَبُواْ فَكِهِينَ
aur jab apne waalo ki taraf lauthte, to dil lagiyaa karte thein
Surah Al-Mutaffifin, Verse 31
وَإِذَا رَأَوۡهُمۡ قَالُوٓاْ إِنَّ هَـٰٓؤُلَآءِ لَضَآلُّونَ
aur jab unhe dekhte to kehte yaqinan ye log gumraah (be-raah) hai
Surah Al-Mutaffifin, Verse 32
وَمَآ أُرۡسِلُواْ عَلَيۡهِمۡ حَٰفِظِينَ
ye un par paas baan bana kar to nahi bheje gaye
Surah Al-Mutaffifin, Verse 33
فَٱلۡيَوۡمَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مِنَ ٱلۡكُفَّارِ يَضۡحَكُونَ
pas aaj imaan waale un kaafiro par hasenge
Surah Al-Mutaffifin, Verse 34
عَلَى ٱلۡأَرَآئِكِ يَنظُرُونَ
taqto par baithe dekh rahe honge
Surah Al-Mutaffifin, Verse 35
هَلۡ ثُوِّبَ ٱلۡكُفَّارُ مَا كَانُواْ يَفۡعَلُونَ
ke ab un munkiro ne jaisa ye karte thein, pura pura badhla pa liya
Surah Al-Mutaffifin, Verse 36