Surah AL-Infitar - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
إِذَا ٱلسَّمَآءُ ٱنفَطَرَتۡ
jab asmaan phat jayega
Surah AL-Infitar, Verse 1
وَإِذَا ٱلۡكَوَاكِبُ ٱنتَثَرَتۡ
aur jab sitaare jhad jayenge
Surah AL-Infitar, Verse 2
وَإِذَا ٱلۡبِحَارُ فُجِّرَتۡ
aur jab samandar beh niklenge
Surah AL-Infitar, Verse 3
وَإِذَا ٱلۡقُبُورُ بُعۡثِرَتۡ
aur jab qabre (shaq) kar ke ukhaad di jayengi
Surah AL-Infitar, Verse 4
عَلِمَتۡ نَفۡسٞ مَّا قَدَّمَتۡ وَأَخَّرَتۡ
(us waqt) har shaqs apne aage bheje hoye aur piche chohde hoye (yaani agle pichle amaal) ko maloom kar lega
Surah AL-Infitar, Verse 5
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلۡإِنسَٰنُ مَا غَرَّكَ بِرَبِّكَ ٱلۡكَرِيمِ
aye insaan! tujhe apne rabbe kareem se kis cheez ne behkaaya
Surah AL-Infitar, Verse 6
ٱلَّذِي خَلَقَكَ فَسَوَّىٰكَ فَعَدَلَكَ
jis (rab ne) tujhe paida kiya, phir theek thaak kiya, phir durust aur baraabar banaaya
Surah AL-Infitar, Verse 7
فِيٓ أَيِّ صُورَةٖ مَّا شَآءَ رَكَّبَكَ
jis surath mein chaaha tujhe jod diya
Surah AL-Infitar, Verse 8
كَلَّا بَلۡ تُكَذِّبُونَ بِٱلدِّينِ
har giz nahi, balke tum to jaza wa saza ke din ko jhutlaate ho
Surah AL-Infitar, Verse 9
وَإِنَّ عَلَيۡكُمۡ لَحَٰفِظِينَ
yaqinan tum par nigehbaan izzath waale
Surah AL-Infitar, Verse 10
كِرَامٗا كَٰتِبِينَ
likhne waale muqarrar hai
Surah AL-Infitar, Verse 11
يَعۡلَمُونَ مَا تَفۡعَلُونَ
jo kuch tum karte ho, wo jaante hai
Surah AL-Infitar, Verse 12
إِنَّ ٱلۡأَبۡرَارَ لَفِي نَعِيمٖ
yaqinan nek log (jannath ke aysh wa araam aur) nemato mein honge
Surah AL-Infitar, Verse 13
وَإِنَّ ٱلۡفُجَّارَ لَفِي جَحِيمٖ
aur yaqinan badhkaar log dozakh mein honge
Surah AL-Infitar, Verse 14
يَصۡلَوۡنَهَا يَوۡمَ ٱلدِّينِ
badhle waale din us mein jayenge
Surah AL-Infitar, Verse 15
وَمَا هُمۡ عَنۡهَا بِغَآئِبِينَ
wo us se kabhi ghaayab na hone payenge
Surah AL-Infitar, Verse 16
وَمَآ أَدۡرَىٰكَ مَا يَوۡمُ ٱلدِّينِ
tujhe kuch qabar bhi hai, ke badhle ka din kya hai
Surah AL-Infitar, Verse 17
ثُمَّ مَآ أَدۡرَىٰكَ مَا يَوۡمُ ٱلدِّينِ
main phir (kehta hoon ke) tujhe kya maloom ke jaza (aur saza) ka din kya hai
Surah AL-Infitar, Verse 18
يَوۡمَ لَا تَمۡلِكُ نَفۡسٞ لِّنَفۡسٖ شَيۡـٔٗاۖ وَٱلۡأَمۡرُ يَوۡمَئِذٖ لِّلَّهِ
(wo hai) jis din koyi shaqs kisi shaqs ke liye, kisi cheez ka muqtaar na hoga aur (tamaam tar) ehkaam, us roz Allah ke hee honge
Surah AL-Infitar, Verse 19