Surah Al-Bayyina - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
لَمۡ يَكُنِ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِنۡ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِ وَٱلۡمُشۡرِكِينَ مُنفَكِّينَ حَتَّىٰ تَأۡتِيَهُمُ ٱلۡبَيِّنَةُ
Ehle kitab aur Mushrikin mein se jo log kafir thay (woh apne kufr se) baaz aane walay na thay jab tak ke unke paas dalil e roshan na aa jaye
Surah Al-Bayyina, Verse 1
رَسُولٞ مِّنَ ٱللَّهِ يَتۡلُواْ صُحُفٗا مُّطَهَّرَةٗ
(Yani) Allah ke taraf se ek Rasool jo paak sahife padh kar sunaye
Surah Al-Bayyina, Verse 2
فِيهَا كُتُبٞ قَيِّمَةٞ
Jin mein bilkul raast aur durust tehrirein likhi hui ho
Surah Al-Bayyina, Verse 3
وَمَا تَفَرَّقَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ إِلَّا مِنۢ بَعۡدِ مَا جَآءَتۡهُمُ ٱلۡبَيِّنَةُ
Pehle jin logon ko kitab di gayi thi unmei tafarqa barpa(split/divide) nahin hua magar is ke baad ke un ke paas (raahe rast ka) bayan e wazeh aa chuka tha
Surah Al-Bayyina, Verse 4
وَمَآ أُمِرُوٓاْ إِلَّا لِيَعۡبُدُواْ ٱللَّهَ مُخۡلِصِينَ لَهُ ٱلدِّينَ حُنَفَآءَ وَيُقِيمُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَيُؤۡتُواْ ٱلزَّكَوٰةَۚ وَذَٰلِكَ دِينُ ٱلۡقَيِّمَةِ
Aur unko iske siwa koi hukum nahin diya gaya tha ke Allah ke bandagi karein apne deen ko uske liye khalis karke. Bilkul yaksu ho kar, Aur namaz qayam karein aur zakat de yahi nihayat sahih-o-durust deen hai
Surah Al-Bayyina, Verse 5
إِنَّ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ مِنۡ أَهۡلِ ٱلۡكِتَٰبِ وَٱلۡمُشۡرِكِينَ فِي نَارِ جَهَنَّمَ خَٰلِدِينَ فِيهَآۚ أُوْلَـٰٓئِكَ هُمۡ شَرُّ ٱلۡبَرِيَّةِ
Ehle kitaab aur mushrikin mein se jin logon ne kufr kiya hai woh yaqeenan jahannam ki aag mein jayenge aur hamesha us mein rahenge, yeh log badh-tareen e khalayek(creation) hain
Surah Al-Bayyina, Verse 6
إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ أُوْلَـٰٓئِكَ هُمۡ خَيۡرُ ٱلۡبَرِيَّةِ
Jo log iman le aaye aur jinhon nay neik amal kiye woh yaqeenan behtareen-e-khalayeq hai
Surah Al-Bayyina, Verse 7
جَزَآؤُهُمۡ عِندَ رَبِّهِمۡ جَنَّـٰتُ عَدۡنٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ خَٰلِدِينَ فِيهَآ أَبَدٗاۖ رَّضِيَ ٱللَّهُ عَنۡهُمۡ وَرَضُواْ عَنۡهُۚ ذَٰلِكَ لِمَنۡ خَشِيَ رَبَّهُۥ
Unki jaza unke Rubb ke yahan dayimi(eternal) qayam ki jannatein hain jinke nichey nehrein beh rahi hongi. Woh unmein hamesha hamesh rahenge. Allah unse razi hua aur woh Allah se razi huey. Yeh kuch hai us shaks ke liye jisne apne Rubb ka khauf kiya ho
Surah Al-Bayyina, Verse 8