Surah Al-Qadr - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
إِنَّآ أَنزَلۡنَٰهُ فِي لَيۡلَةِ ٱلۡقَدۡرِ
Humne is (Quran) ko shab-e-qadr mei nazil kiya hai
Surah Al-Qadr, Verse 1
وَمَآ أَدۡرَىٰكَ مَا لَيۡلَةُ ٱلۡقَدۡرِ
Aur tum kya jano kay shab-e-qadr kya hai
Surah Al-Qadr, Verse 2
لَيۡلَةُ ٱلۡقَدۡرِ خَيۡرٞ مِّنۡ أَلۡفِ شَهۡرٖ
Shab-e-qadr hazar mahino se zyada behtar hai
Surah Al-Qadr, Verse 3
تَنَزَّلُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ وَٱلرُّوحُ فِيهَا بِإِذۡنِ رَبِّهِم مِّن كُلِّ أَمۡرٖ
Farishtey aur rooh(Jibrael) us mein apne Rubb ke izn(permission) se har hukm le kar utarte hai
Surah Al-Qadr, Verse 4
سَلَٰمٌ هِيَ حَتَّىٰ مَطۡلَعِ ٱلۡفَجۡرِ
Woh raat sarasar salamati hai tulu e fajr tak
Surah Al-Qadr, Verse 5