Surah Al-Qadr - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
إِنَّآ أَنزَلۡنَٰهُ فِي لَيۡلَةِ ٱلۡقَدۡرِ
yaqinan hum ne ise (Qur’aan) ko shabe qadr mein naazil farmaaya
Surah Al-Qadr, Verse 1
وَمَآ أَدۡرَىٰكَ مَا لَيۡلَةُ ٱلۡقَدۡرِ
tu kya samjha ke shabe qadr kya hai
Surah Al-Qadr, Verse 2
لَيۡلَةُ ٱلۡقَدۡرِ خَيۡرٞ مِّنۡ أَلۡفِ شَهۡرٖ
shabe qadr ek hazaar mahino se behtar hai
Surah Al-Qadr, Verse 3
تَنَزَّلُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ وَٱلرُّوحُ فِيهَا بِإِذۡنِ رَبِّهِم مِّن كُلِّ أَمۡرٖ
us (mein har kaam) ke sar anjaam dene ko apne rab ke hukm se farishte aur ruh (Jibraeel(alaihissalaam) utarte hai
Surah Al-Qadr, Verse 4
سَلَٰمٌ هِيَ حَتَّىٰ مَطۡلَعِ ٱلۡفَجۡرِ
ye raath saraasar salaamti ki hoti hai aur fajr ke tulo hone tak (rehti hai)
Surah Al-Qadr, Verse 5