Surah Al-Qadr - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
إِنَّآ أَنزَلۡنَٰهُ فِي لَيۡلَةِ ٱلۡقَدۡرِ
Yaqeenan hum nay issay shab qadar mein nazil farmaya
Surah Al-Qadr, Verse 1
وَمَآ أَدۡرَىٰكَ مَا لَيۡلَةُ ٱلۡقَدۡرِ
To kiaya janey kay shab qadar kiya hy
Surah Al-Qadr, Verse 2
لَيۡلَةُ ٱلۡقَدۡرِ خَيۡرٞ مِّنۡ أَلۡفِ شَهۡرٖ
Shab qadar aik hazar maheeno say behter hai
Surah Al-Qadr, Verse 3
تَنَزَّلُ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةُ وَٱلرُّوحُ فِيهَا بِإِذۡنِ رَبِّهِم مِّن كُلِّ أَمۡرٖ
Iss (mein her kaam) kay siranjam denay ko apney rab kay hukum say farishty aur rooh(jibrael)utertay hain
Surah Al-Qadr, Verse 4
سَلَٰمٌ هِيَ حَتَّىٰ مَطۡلَعِ ٱلۡفَجۡرِ
Yeh raat sir-a-sir slamti ki hoti hai aur fajar kay tuloo honay tak(rehti hai)
Surah Al-Qadr, Verse 5