Surah Al-Alaq - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
ٱقۡرَأۡ بِٱسۡمِ رَبِّكَ ٱلَّذِي خَلَقَ
Padho (Aey Nabi) apne Rubb ke naam ke saath Jisne paida kiya
Surah Al-Alaq, Verse 1
خَلَقَ ٱلۡإِنسَٰنَ مِنۡ عَلَقٍ
Jamey huey khoon ke ek lothdey se Insan ki takhliq ki
Surah Al-Alaq, Verse 2
ٱقۡرَأۡ وَرَبُّكَ ٱلۡأَكۡرَمُ
Padho aur tumhara Rubb bada kareem hai
Surah Al-Alaq, Verse 3
ٱلَّذِي عَلَّمَ بِٱلۡقَلَمِ
jisne qalam ke zariya se ilm sikhaya
Surah Al-Alaq, Verse 4
عَلَّمَ ٱلۡإِنسَٰنَ مَا لَمۡ يَعۡلَمۡ
Insan ko woh ilm diya jisey woh na jaanta tha
Surah Al-Alaq, Verse 5
كَلَّآ إِنَّ ٱلۡإِنسَٰنَ لَيَطۡغَىٰٓ
Hargiz nahin, Insan sarkahshi karta hai
Surah Al-Alaq, Verse 6
أَن رَّءَاهُ ٱسۡتَغۡنَىٰٓ
Is bina par ke woh apne aap ko be niyaz dekhta hai
Surah Al-Alaq, Verse 7
إِنَّ إِلَىٰ رَبِّكَ ٱلرُّجۡعَىٰٓ
(halaanke) palatna yaqeenan tere Rubb hi ki taraf hai
Surah Al-Alaq, Verse 8
أَرَءَيۡتَ ٱلَّذِي يَنۡهَىٰ
Tumne dekha us shaks ko
Surah Al-Alaq, Verse 9
عَبۡدًا إِذَا صَلَّىٰٓ
Jo ek banday ko mana karta hai jabke woh namaz padta ho
Surah Al-Alaq, Verse 10
أَرَءَيۡتَ إِن كَانَ عَلَى ٱلۡهُدَىٰٓ
Tumhara kya khayal hai agar (woh banda) raah e raast par ho
Surah Al-Alaq, Verse 11
أَوۡ أَمَرَ بِٱلتَّقۡوَىٰٓ
ya parhezgari ki talqeen karta ho
Surah Al-Alaq, Verse 12
أَرَءَيۡتَ إِن كَذَّبَ وَتَوَلَّىٰٓ
Tumhara kya khayal hai agar (yeh mana karne wala shakhs haqq ko) jhutlata aur mooh moadta ho
Surah Al-Alaq, Verse 13
أَلَمۡ يَعۡلَم بِأَنَّ ٱللَّهَ يَرَىٰ
Kya woh nahin jaanta ke Allah dekh raha hai
Surah Al-Alaq, Verse 14
كَلَّا لَئِن لَّمۡ يَنتَهِ لَنَسۡفَعَۢا بِٱلنَّاصِيَةِ
Hargiz nahin agar woh baaz na aaya to hum uski peshani ke baal pakad kar usey khinchey ge
Surah Al-Alaq, Verse 15
نَاصِيَةٖ كَٰذِبَةٍ خَاطِئَةٖ
Us peshani ko jo jhooti aur sakth khatakaar hai
Surah Al-Alaq, Verse 16
فَلۡيَدۡعُ نَادِيَهُۥ
Woh bulaley apne haamiyon ki toli ko
Surah Al-Alaq, Verse 17
سَنَدۡعُ ٱلزَّبَانِيَةَ
Hum bhi azaab ke farishton ko bula lengey
Surah Al-Alaq, Verse 18
كَلَّا لَا تُطِعۡهُ وَٱسۡجُدۡۤ وَٱقۡتَرِب۩
Hargiz nahin, uski baat na mano aur sajda karo aur (apne Rubb ka) qurb hasil karo
Surah Al-Alaq, Verse 19