Surah Al-Maun - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
أَرَءَيۡتَ ٱلَّذِي يُكَذِّبُ بِٱلدِّينِ
kya tu ne ose bhi dekha jo roze jaza ko jhutlaata hai
Surah Al-Maun, Verse 1
فَذَٰلِكَ ٱلَّذِي يَدُعُّ ٱلۡيَتِيمَ
yahi wo hai , jo yateem ko dhakke deta hai
Surah Al-Maun, Verse 2
وَلَا يَحُضُّ عَلَىٰ طَعَامِ ٱلۡمِسۡكِينِ
aur miskeen ko khilaane ki targheeb nahi deta
Surah Al-Maun, Verse 3
فَوَيۡلٞ لِّلۡمُصَلِّينَ
un namaaziyo ke liye afsoos (aur wayl naami jahannam ki jageh) hai
Surah Al-Maun, Verse 4
ٱلَّذِينَ هُمۡ عَن صَلَاتِهِمۡ سَاهُونَ
jo apni namaaz se ghaafil hai
Surah Al-Maun, Verse 5
ٱلَّذِينَ هُمۡ يُرَآءُونَ
jo riyaa kaari karte hai
Surah Al-Maun, Verse 6
وَيَمۡنَعُونَ ٱلۡمَاعُونَ
aur baratne ki cheez rokte hai
Surah Al-Maun, Verse 7