Surah Quraish - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
لِإِيلَٰفِ قُرَيۡشٍ
quraysh ke manoos1 karne ke liye
Surah Quraish, Verse 1
إِۦلَٰفِهِمۡ رِحۡلَةَ ٱلشِّتَآءِ وَٱلصَّيۡفِ
(yaani) unhe jaade aur garmi ke safar se manoos karne ke liye, (us ke shukriye mein)
Surah Quraish, Verse 2
فَلۡيَعۡبُدُواْ رَبَّ هَٰذَا ٱلۡبَيۡتِ
pas unhe chahiye ke osi ghar ke rab ki ibaadath karte rahe
Surah Quraish, Verse 3
ٱلَّذِيٓ أَطۡعَمَهُم مِّن جُوعٖ وَءَامَنَهُم مِّنۡ خَوۡفِۭ
jis ne unhe bhook mein khaana diya aur dar (aur khauf) mein aman (wa amaan) diya
Surah Quraish, Verse 4