Surah Al-Falaq - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
قُلۡ أَعُوذُ بِرَبِّ ٱلۡفَلَقِ
Kaho main panaah maangta hoon subah ke Rubb ki
Surah Al-Falaq, Verse 1
مِن شَرِّ مَا خَلَقَ
Har us cheez ke shar se jo usne paida ki hai
Surah Al-Falaq, Verse 2
وَمِن شَرِّ غَاسِقٍ إِذَا وَقَبَ
Aur raat ki tareeki ke sharr se jab ke woh chaa jaye
Surah Al-Falaq, Verse 3
وَمِن شَرِّ ٱلنَّفَّـٰثَٰتِ فِي ٱلۡعُقَدِ
Aur girhon mein phoonkne walon (ya waliyon) ke sharr se
Surah Al-Falaq, Verse 4
وَمِن شَرِّ حَاسِدٍ إِذَا حَسَدَ
Aur hasid(envies) ke sharr se jab ke woh hasad(envy) karey
Surah Al-Falaq, Verse 5