Surah Al-Falaq - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
قُلۡ أَعُوذُ بِرَبِّ ٱلۡفَلَقِ
Aap kehdijiye! Kay mein subha ky Rab ki panah mein aata hun
Surah Al-Falaq, Verse 1
مِن شَرِّ مَا خَلَقَ
Her uss cheez ky shar say jo uss nay paida ki hai
Surah Al-Falaq, Verse 2
وَمِن شَرِّ غَاسِقٍ إِذَا وَقَبَ
Aur andheri raat ki tareki kay shar say jab uska andhera phel jaye
Surah Al-Falaq, Verse 3
وَمِن شَرِّ ٱلنَّفَّـٰثَٰتِ فِي ٱلۡعُقَدِ
Aur girah(laga ker inn)mein phonknay walon kay sher say(bhi)
Surah Al-Falaq, Verse 4
وَمِن شَرِّ حَاسِدٍ إِذَا حَسَدَ
Aur hasad kerney waly ki burai say bhi jab wo hasad karey
Surah Al-Falaq, Verse 5