Surah Al-Falaq - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
قُلۡ أَعُوذُ بِرَبِّ ٱلۡفَلَقِ
aap keh dijiye! ke main subah ke rab ki panaah mein ata hoon
Surah Al-Falaq, Verse 1
مِن شَرِّ مَا خَلَقَ
har us cheez ke shar se jo us ne paida ki hai
Surah Al-Falaq, Verse 2
وَمِن شَرِّ غَاسِقٍ إِذَا وَقَبَ
aur andheri raath ki taariki ke shar se, jab us ka andhera phayl jaaye
Surah Al-Falaq, Verse 3
وَمِن شَرِّ ٱلنَّفَّـٰثَٰتِ فِي ٱلۡعُقَدِ
aur girah (laga kar un) mein phunkne waaliyo ke shar se (bhi)
Surah Al-Falaq, Verse 4
وَمِن شَرِّ حَاسِدٍ إِذَا حَسَدَ
aur hasad karne waale ki buraayi se bhi, jab wo hasadh kare
Surah Al-Falaq, Verse 5