Surah Yusuf Verse 109 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Yusufوَمَآ أَرۡسَلۡنَا مِن قَبۡلِكَ إِلَّا رِجَالٗا نُّوحِيٓ إِلَيۡهِم مِّنۡ أَهۡلِ ٱلۡقُرَىٰٓۗ أَفَلَمۡ يَسِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَيَنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡۗ وَلَدَارُ ٱلۡأٓخِرَةِ خَيۡرٞ لِّلَّذِينَ ٱتَّقَوۡاْۚ أَفَلَا تَعۡقِلُونَ
(Aey Muhammad), tumse pehle humne jo paighambar bhejey thay woh sab bhi Insan hi thay, aur inhi bastiyon ke rehne walon mein se thay, aur unhi ki taraf hum wahee bhejte rahey hain. Phir kya yeh log zameen mein chale phire nahin hain ke un qaumon ka anjaam inhein nazar na aaya jo insey pehle guzar chuki hain? Yaqeenan aakhirat ka ghar un logon ke liye aur zyada behtar hai jinhon ne (paigambaron ki baat maan kar) taqwe ke rawish ikhtiyar ki. Kya ab bhi tum log na samjhogey