Surah Yusuf Verse 111 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Yusufلَقَدۡ كَانَ فِي قَصَصِهِمۡ عِبۡرَةٞ لِّأُوْلِي ٱلۡأَلۡبَٰبِۗ مَا كَانَ حَدِيثٗا يُفۡتَرَىٰ وَلَٰكِن تَصۡدِيقَ ٱلَّذِي بَيۡنَ يَدَيۡهِ وَتَفۡصِيلَ كُلِّ شَيۡءٖ وَهُدٗى وَرَحۡمَةٗ لِّقَوۡمٖ يُؤۡمِنُونَ
Agle logon ke in qisson mein aqal-o-hosh rakhne walon ke liye ibrat hai. Yeh jo kuch Quran mein bayan kiya jaa raha hai yeh banawati baatein nahin hain balke jo kitabein issey pehle aayi hui hain unhi ki tasdeeq hai, aur har cheez ki tafseel aur iman laney walon ke liye hidayat aur rehmat