Surah Yusuf Verse 68 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Yusufوَلَمَّا دَخَلُواْ مِنۡ حَيۡثُ أَمَرَهُمۡ أَبُوهُم مَّا كَانَ يُغۡنِي عَنۡهُم مِّنَ ٱللَّهِ مِن شَيۡءٍ إِلَّا حَاجَةٗ فِي نَفۡسِ يَعۡقُوبَ قَضَىٰهَاۚ وَإِنَّهُۥ لَذُو عِلۡمٖ لِّمَا عَلَّمۡنَٰهُ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَعۡلَمُونَ
Aur waqia bhi yahi hua ke jab woh apne baap ki hidayat ke mutabiq shehar mein (mutafarriq darwazon se) dakhil huey to uski yeh ehtiyati tadbeer Allah ki mashiyat ke muqable mein kuch bhi kaam na aa saki. Haan bas Yaqub ke dil mein jo ek khatak thi usey door karne ke liye usne apni si koshish karli. Beshak woh hamari di hui taleem se saahib-e-ilam tha magar aksar log maamle ki haqeeqat ko jaante nahin hain