Surah Yusuf Verse 77 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Yusuf۞قَالُوٓاْ إِن يَسۡرِقۡ فَقَدۡ سَرَقَ أَخٞ لَّهُۥ مِن قَبۡلُۚ فَأَسَرَّهَا يُوسُفُ فِي نَفۡسِهِۦ وَلَمۡ يُبۡدِهَا لَهُمۡۚ قَالَ أَنتُمۡ شَرّٞ مَّكَانٗاۖ وَٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِمَا تَصِفُونَ
Un bhaiyon ne kaha “yeh chori karey to kuch taajub ki baat bhi nahin, issey pehle iska bhai (Yusuf) bhi chori kar chuka hai”. Yusuf unki yeh baat sunkar pee gyaa (suppressed his feelings) haqeeqat unpar na kholi , bas (zeri-e-lab) itna kehkar reh gaya ke “badey hi burey ho tumlog, (mere mooh dar mooh mujhpar) jo ilzaam tum laga rahey ho uski haqeeqat khuda khoob jaanta hai”