Surah Yusuf Verse 77 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi
Surah Yusuf۞قَالُوٓاْ إِن يَسۡرِقۡ فَقَدۡ سَرَقَ أَخٞ لَّهُۥ مِن قَبۡلُۚ فَأَسَرَّهَا يُوسُفُ فِي نَفۡسِهِۦ وَلَمۡ يُبۡدِهَا لَهُمۡۚ قَالَ أَنتُمۡ شَرّٞ مَّكَانٗاۖ وَٱللَّهُ أَعۡلَمُ بِمَا تَصِفُونَ
Enhon ney kaha kay agar iss ney chori ki (to koi tajjub ki baat nahi) iss ka bhai bhi pehlay chori ker chuka hai yousuf (alh-e-salam) ney iss baat ko apney dil mein rakh liya aur inn kay samney bilkul zahir na kiya. Kaha kay tum bad tar jagah mein ho aur jo tum biyan kertay ho ussay Allah hi khoob janta hai