Surah Al-Kahf Verse 57 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Kahfوَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّن ذُكِّرَ بِـَٔايَٰتِ رَبِّهِۦ فَأَعۡرَضَ عَنۡهَا وَنَسِيَ مَا قَدَّمَتۡ يَدَاهُۚ إِنَّا جَعَلۡنَا عَلَىٰ قُلُوبِهِمۡ أَكِنَّةً أَن يَفۡقَهُوهُ وَفِيٓ ءَاذَانِهِمۡ وَقۡرٗاۖ وَإِن تَدۡعُهُمۡ إِلَى ٱلۡهُدَىٰ فَلَن يَهۡتَدُوٓاْ إِذًا أَبَدٗا
Aur us shaks se badh kar zalim aur kaun hai jisey uske Rubb ki aayat suna kar naseehat ki jaye aur woh unse mooh phere aur us burey anjaam ko bhool jaye jiska sar o samaan usne apne liye khud apne haathon kiya hai? (Jin logon ne yeh rawish ikhtiyar ki hai) unke dilon par humne gilaf (cover) chadha diye hain jo unhein Quran ki baat nahin samajhne detay, aur unke kaano mein humne girani paida kardi hai. Tum unhein hidayat ki taraf kitna hi bulao , woh is halat mein kabhi hidayat na payenge