Surah Al-Baqara Verse 143 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraوَكَذَٰلِكَ جَعَلۡنَٰكُمۡ أُمَّةٗ وَسَطٗا لِّتَكُونُواْ شُهَدَآءَ عَلَى ٱلنَّاسِ وَيَكُونَ ٱلرَّسُولُ عَلَيۡكُمۡ شَهِيدٗاۗ وَمَا جَعَلۡنَا ٱلۡقِبۡلَةَ ٱلَّتِي كُنتَ عَلَيۡهَآ إِلَّا لِنَعۡلَمَ مَن يَتَّبِعُ ٱلرَّسُولَ مِمَّن يَنقَلِبُ عَلَىٰ عَقِبَيۡهِۚ وَإِن كَانَتۡ لَكَبِيرَةً إِلَّا عَلَى ٱلَّذِينَ هَدَى ٱللَّهُۗ وَمَا كَانَ ٱللَّهُ لِيُضِيعَ إِيمَٰنَكُمۡۚ إِنَّ ٱللَّهَ بِٱلنَّاسِ لَرَءُوفٞ رَّحِيمٞ
Aur isi tarah to humne tumhein ek “ummat e wasat (middle nation)” banaya hai taa-ke tum duniya ke logon par gawah ho aur Rasool tumpar gawah ho. Pehle jis taraf tum rukh karte thay, usko to humne sirf yeh dekhne ke liye qibla muqarrar kiya tha ke kaun Rasool ki pairwi karta hai aur kaun ulta phir jata hai. Yeh maamla tha to bada sakht, magar un logon ke liye kuch bhi sakht na saabit hua jo Allah ki hidayat se faiziyaab thay, Allah tumhare is iman ko hargiz zaya na karega. Yaqeen jaano ke woh logon ke haqq mein nihayat shafeeq o raheem hai