Surah Al-Baqara Verse 144 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraقَدۡ نَرَىٰ تَقَلُّبَ وَجۡهِكَ فِي ٱلسَّمَآءِۖ فَلَنُوَلِّيَنَّكَ قِبۡلَةٗ تَرۡضَىٰهَاۚ فَوَلِّ وَجۡهَكَ شَطۡرَ ٱلۡمَسۡجِدِ ٱلۡحَرَامِۚ وَحَيۡثُ مَا كُنتُمۡ فَوَلُّواْ وُجُوهَكُمۡ شَطۡرَهُۥۗ وَإِنَّ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ لَيَعۡلَمُونَ أَنَّهُ ٱلۡحَقُّ مِن رَّبِّهِمۡۗ وَمَا ٱللَّهُ بِغَٰفِلٍ عَمَّا يَعۡمَلُونَ
Yeh tumhare mooh ka baar baar asmaan ki taraf uthna hum dekh rahey hain, lo hum isi qible ki taraf tumhein phere dete hain jisey tum pasand karte ho, Masjid e haraam ki taraf rukh pher do ab jahan kahin tum ho usi ki taraf mooh karke namaz padha karo. Yeh log jinhein kitab di gayi thi khoob jaante hain ke (tahweel e qibla ka/change of qibla) yeh hukum unke Rubb hi ki taraf se hai aur bar-haqq hai magar iske bawajood jo kuch yeh kar rahey hain Allah ussey gaafil nahin hai