Surah Al-Baqara Verse 145 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraوَلَئِنۡ أَتَيۡتَ ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡكِتَٰبَ بِكُلِّ ءَايَةٖ مَّا تَبِعُواْ قِبۡلَتَكَۚ وَمَآ أَنتَ بِتَابِعٖ قِبۡلَتَهُمۡۚ وَمَا بَعۡضُهُم بِتَابِعٖ قِبۡلَةَ بَعۡضٖۚ وَلَئِنِ ٱتَّبَعۡتَ أَهۡوَآءَهُم مِّنۢ بَعۡدِ مَا جَآءَكَ مِنَ ٱلۡعِلۡمِ إِنَّكَ إِذٗا لَّمِنَ ٱلظَّـٰلِمِينَ
Tum in ehle kitab ke paas khwa koi nishani le aao, mumkin nahin ke yeh tumhare qible ki pairwi karne lagein, aur na tumhare liye yeh mumkin hai ke inke qible ki pairwi karo, aur inmein se koi giroh bhi dusre ke qible ki pairwi ke liye tayyar nahin hai, aur agar tumne is ilm ke baad jo tumhare paas aa chuka hai inki khwahishaat ki pairwi ki to yaqeenan tumhara shumaar zalimon mein hoga