Surah Al-Baqara Verse 272 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Baqara۞لَّيۡسَ عَلَيۡكَ هُدَىٰهُمۡ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ يَهۡدِي مَن يَشَآءُۗ وَمَا تُنفِقُواْ مِنۡ خَيۡرٖ فَلِأَنفُسِكُمۡۚ وَمَا تُنفِقُونَ إِلَّا ٱبۡتِغَآءَ وَجۡهِ ٱللَّهِۚ وَمَا تُنفِقُواْ مِنۡ خَيۡرٖ يُوَفَّ إِلَيۡكُمۡ وَأَنتُمۡ لَا تُظۡلَمُونَ
unhe hidaayath par la khada karna tere zimme nahi balke hidaayath Allah ta’ala deta hai jise chaahta hai, aur tum jo bhali cheez Allah ki raah mein doge us ka fayda khud paoge, tumhe sirf Allah ta’ala ki razaa mandi ki talab ke liye hee qarch karna chahiye, tum jo kuch maal qarch karoge us ka pura pura badhla tumhe diya jayega aur tumhaara haq na maara jayega