Surah Al-Baqara Verse 272 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqara۞لَّيۡسَ عَلَيۡكَ هُدَىٰهُمۡ وَلَٰكِنَّ ٱللَّهَ يَهۡدِي مَن يَشَآءُۗ وَمَا تُنفِقُواْ مِنۡ خَيۡرٖ فَلِأَنفُسِكُمۡۚ وَمَا تُنفِقُونَ إِلَّا ٱبۡتِغَآءَ وَجۡهِ ٱللَّهِۚ وَمَا تُنفِقُواْ مِنۡ خَيۡرٖ يُوَفَّ إِلَيۡكُمۡ وَأَنتُمۡ لَا تُظۡلَمُونَ
Logon ko hidayat baksh dene ki zimmedari tumpar nahin hai, hidayat to Allah hi jisey chahta hai bakshta hai aur khairaat mein jo maal tum kharch karte ho woh tumhare apne liye bhala hai, aakhir tum isi liye to kharch karte ho ke Allah ki raza hasil ho, to jo kuch maal tum khairaat mein kharch karoge uska poora poora ajar tumhein diya jayega aur tumhari haqq talafi hargiz na hogi