Surah Al-Baqara Verse 273 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Al-Baqaraلِلۡفُقَرَآءِ ٱلَّذِينَ أُحۡصِرُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ لَا يَسۡتَطِيعُونَ ضَرۡبٗا فِي ٱلۡأَرۡضِ يَحۡسَبُهُمُ ٱلۡجَاهِلُ أَغۡنِيَآءَ مِنَ ٱلتَّعَفُّفِ تَعۡرِفُهُم بِسِيمَٰهُمۡ لَا يَسۡـَٔلُونَ ٱلنَّاسَ إِلۡحَافٗاۗ وَمَا تُنفِقُواْ مِنۡ خَيۡرٖ فَإِنَّ ٱللَّهَ بِهِۦ عَلِيمٌ
Khaas taur par madad ke mustahiq to tangdast log hain jo Allah ke kaam mein aisey ghir gaye hain ke apni zaati kasb-e-maash (livelihood) ke liye zameen mein koi daud-dhoop nahin kar sakte. Unki khuddaari dekh kar nawaqif aadmi gumaan karta hai ke yeh khush-haal hain, tum unke chehron se unki andaruni haalat pehchan sakte ho magar woh aisey log nahin hain ke logon ke pichey padh kar kuch maangein. Unki iyanat mein jo kuch maal tum kharch karoge woh Allah se posheeda na rahega