Surah Taha Verse 71 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Tahaقَالَ ءَامَنتُمۡ لَهُۥ قَبۡلَ أَنۡ ءَاذَنَ لَكُمۡۖ إِنَّهُۥ لَكَبِيرُكُمُ ٱلَّذِي عَلَّمَكُمُ ٱلسِّحۡرَۖ فَلَأُقَطِّعَنَّ أَيۡدِيَكُمۡ وَأَرۡجُلَكُم مِّنۡ خِلَٰفٖ وَلَأُصَلِّبَنَّكُمۡ فِي جُذُوعِ ٱلنَّخۡلِ وَلَتَعۡلَمُنَّ أَيُّنَآ أَشَدُّ عَذَابٗا وَأَبۡقَىٰ
Firoun ne kaha “tum iman le aaye qabl iske ke main tumhein iski ijazat deta? Maloom ho gaya ke yeh tumhara guru hai jisne tumhein jaadugari sikhayi thi. Accha ab main tumhare haath paon mukhalif simton (alternate sides ) se katwata hoon aur khajoor ke tano(trunks) par tumko sooli deta hoon, phir tumhein pata chal jayega ke hum dono mein se kiska azaab zyada sakht aur dair pa hai” (yani main tumhein zyada sakht saza de sakta hoon ya Moosa)