Surah Al-Qasas Verse 32 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Al-Qasasٱسۡلُكۡ يَدَكَ فِي جَيۡبِكَ تَخۡرُجۡ بَيۡضَآءَ مِنۡ غَيۡرِ سُوٓءٖ وَٱضۡمُمۡ إِلَيۡكَ جَنَاحَكَ مِنَ ٱلرَّهۡبِۖ فَذَٰنِكَ بُرۡهَٰنَانِ مِن رَّبِّكَ إِلَىٰ فِرۡعَوۡنَ وَمَلَإِيْهِۦٓۚ إِنَّهُمۡ كَانُواْ قَوۡمٗا فَٰسِقِينَ
apne haath ko apne girebaan mein daal, wo baghair kisi qism ke roog ke chamakta hoa niklega, bilkul safedh aur khauf se (bachne ke liye) apne baazu apni taraf mila le, pas ye duno maujeze tere liye tere rab ki taraf se hai, feraun aur us ki jamaath ki taraf, yaqinan wo sab ke sab be-hukm aur na farmaan log hai