Surah Saba - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ ٱلَّذِي لَهُۥ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَهُ ٱلۡحَمۡدُ فِي ٱلۡأٓخِرَةِۚ وَهُوَ ٱلۡحَكِيمُ ٱلۡخَبِيرُ
tamaam tarife us Allah ke liye saza-waar hai, jis ki milkiyath mein wo sab kuch hai, jo asmaano aur zameen mein hai, aaqirath mein bhi tareef osi ke liye hai, wo (badi) hikmato waala aur (pura) qabardaar hai
Surah Saba, Verse 1
يَعۡلَمُ مَا يَلِجُ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَمَا يَخۡرُجُ مِنۡهَا وَمَا يَنزِلُ مِنَ ٱلسَّمَآءِ وَمَا يَعۡرُجُ فِيهَاۚ وَهُوَ ٱلرَّحِيمُ ٱلۡغَفُورُ
jo zameen mein jaaye aur jo us se nikle, jo asmaan se utre aur jo chad kar us mein jaaye, wo sab se ba qabar hai, aur wo meherbaan nihaayath baqshish waala hai
Surah Saba, Verse 2
وَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَا تَأۡتِينَا ٱلسَّاعَةُۖ قُلۡ بَلَىٰ وَرَبِّي لَتَأۡتِيَنَّكُمۡ عَٰلِمِ ٱلۡغَيۡبِۖ لَا يَعۡزُبُ عَنۡهُ مِثۡقَالُ ذَرَّةٖ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَلَا فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَآ أَصۡغَرُ مِن ذَٰلِكَ وَلَآ أَكۡبَرُ إِلَّا فِي كِتَٰبٖ مُّبِينٖ
kuffaar kehte hai ke hum par qayaamath nahi ayegi, aap(sallallahu alaihi wasallam) keh dijiye! ke mujhe mere rab ki qasam! jo aalimul ghayb hai, ke wo yaqinan tum par ayegi, Allah ta’ala se ek zarre ke baraabar ki cheez bhi pushida nahi, na asmaano mein aur na zameen mein, balke us se bhi chohti aur badi, har cheez khuli kitaab mein maujoodh hai
Surah Saba, Verse 3
لِّيَجۡزِيَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِۚ أُوْلَـٰٓئِكَ لَهُم مَّغۡفِرَةٞ وَرِزۡقٞ كَرِيمٞ
ta ke wo imaan waalo aur neko-kaaro ko bhala badhla ata farmaaye, yahi log hai jin ke liye maghfirath aur izzath ki rozi hai
Surah Saba, Verse 4
وَٱلَّذِينَ سَعَوۡ فِيٓ ءَايَٰتِنَا مُعَٰجِزِينَ أُوْلَـٰٓئِكَ لَهُمۡ عَذَابٞ مِّن رِّجۡزٍ أَلِيمٞ
aur hamaari aayato ko nicha dikhaane ki jinhone koshish ki hai, ye wo log hai jin ke liye badh tareen qism ka dardnaak azaab hai
Surah Saba, Verse 5
وَيَرَى ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡعِلۡمَ ٱلَّذِيٓ أُنزِلَ إِلَيۡكَ مِن رَّبِّكَ هُوَ ٱلۡحَقَّ وَيَهۡدِيٓ إِلَىٰ صِرَٰطِ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡحَمِيدِ
aur jinhe ilm hai wo dekh lenge ke jo kuch aap ki jaanib aap ke rab ki taraf se naazil hoa hai, wo (saraasar) haq hai aur Allah ghaalib qoobiyo waale ki raah ki rehbari karta hai
Surah Saba, Verse 6
وَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ هَلۡ نَدُلُّكُمۡ عَلَىٰ رَجُلٖ يُنَبِّئُكُمۡ إِذَا مُزِّقۡتُمۡ كُلَّ مُمَزَّقٍ إِنَّكُمۡ لَفِي خَلۡقٖ جَدِيدٍ
aur kaafiro ne kaha (aao) hum tumhe ek aisa shaqs batlaaye jo tumhe ye qabar pahoncha raha hai, ke jab tum bilkul hee reza reza ho jaoge, to tum phir se ek nayi paydayish mein aoge
Surah Saba, Verse 7
أَفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ كَذِبًا أَم بِهِۦ جِنَّةُۢۗ بَلِ ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡأٓخِرَةِ فِي ٱلۡعَذَابِ وَٱلضَّلَٰلِ ٱلۡبَعِيدِ
(hum nahi keh sakte) ke khud us ne (hee) Allah par jhoot baandh liya hai ya ose diwaangi hai, balke (haqiqath ye hai) ke aaqirath par yaqeen na rakhne waale hee azaab mein aur door ki gumraahi mein hai
Surah Saba, Verse 8
أَفَلَمۡ يَرَوۡاْ إِلَىٰ مَا بَيۡنَ أَيۡدِيهِمۡ وَمَا خَلۡفَهُم مِّنَ ٱلسَّمَآءِ وَٱلۡأَرۡضِۚ إِن نَّشَأۡ نَخۡسِفۡ بِهِمُ ٱلۡأَرۡضَ أَوۡ نُسۡقِطۡ عَلَيۡهِمۡ كِسَفٗا مِّنَ ٱلسَّمَآءِۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗ لِّكُلِّ عَبۡدٖ مُّنِيبٖ
kya pas wo apne aage piche asmaan wa zameen ko dekh nahi rahe hai? agar hum chaahe to unhe zameen mein dhasa de ya un par asmaan ke tukde gira de, yaqinan us mein puri daleel hai, har us bandhe ke liye jo (dil se) mutawajjeh ho
Surah Saba, Verse 9
۞وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا دَاوُۥدَ مِنَّا فَضۡلٗاۖ يَٰجِبَالُ أَوِّبِي مَعَهُۥ وَٱلطَّيۡرَۖ وَأَلَنَّا لَهُ ٱلۡحَدِيدَ
aur hum ne Dawoodh(alaihissalaam) par apna fazl kiya hai, aye pahaado! us ke saath raghbath se tasbih pada karo aur parindo ko bhi(yahi hukm hai) aur hum ne us ke liye loha narm kar diya
Surah Saba, Verse 10
أَنِ ٱعۡمَلۡ سَٰبِغَٰتٖ وَقَدِّرۡ فِي ٱلسَّرۡدِۖ وَٱعۡمَلُواْ صَٰلِحًاۖ إِنِّي بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرٞ
ke tu puri puri zirhe bana aur judo mein andaza rakh, tum sab nek kaam kiya karo (yaqeen maano) ke main tumhaare amaal dekh raha hoon
Surah Saba, Verse 11
وَلِسُلَيۡمَٰنَ ٱلرِّيحَ غُدُوُّهَا شَهۡرٞ وَرَوَاحُهَا شَهۡرٞۖ وَأَسَلۡنَا لَهُۥ عَيۡنَ ٱلۡقِطۡرِۖ وَمِنَ ٱلۡجِنِّ مَن يَعۡمَلُ بَيۡنَ يَدَيۡهِ بِإِذۡنِ رَبِّهِۦۖ وَمَن يَزِغۡ مِنۡهُمۡ عَنۡ أَمۡرِنَا نُذِقۡهُ مِنۡ عَذَابِ ٱلسَّعِيرِ
aur hum ne Sulaimaan(alaihissalaam) ke liye hawa ko musaqqar kar diya, ke subah ki manzil us ki mahina bhar ki hoti thi aur shaam ki manzil bhi aur hum ne un ke liye taambe ka chashma baha diya aur us ke rab ke hukm se baaz jinnaath us ki ma-teheti mein us ke saamne kaam karte thein aur un mein se jo bhi hamaare hukm se sar taabi kare, hum ose bhadakti hoyi aag ke azaab ka maza chakayenge
Surah Saba, Verse 12
يَعۡمَلُونَ لَهُۥ مَا يَشَآءُ مِن مَّحَٰرِيبَ وَتَمَٰثِيلَ وَجِفَانٖ كَٱلۡجَوَابِ وَقُدُورٖ رَّاسِيَٰتٍۚ ٱعۡمَلُوٓاْ ءَالَ دَاوُۥدَ شُكۡرٗاۚ وَقَلِيلٞ مِّنۡ عِبَادِيَ ٱلشَّكُورُ
jo kuch Sulaimaan(alaihissalaam) chaahte, wo jinnaath tayyaar kar dete, maslan qile aur mujassame aur hauzo ke baraabar lagan aur chulho par jami hoyi mazbooth deghe, aye aale dawoodh, us ke shukriye mein nek amal karo, mere bandho mein se shukr guzaar bandhe kam hee hote hai
Surah Saba, Verse 13
فَلَمَّا قَضَيۡنَا عَلَيۡهِ ٱلۡمَوۡتَ مَا دَلَّهُمۡ عَلَىٰ مَوۡتِهِۦٓ إِلَّا دَآبَّةُ ٱلۡأَرۡضِ تَأۡكُلُ مِنسَأَتَهُۥۖ فَلَمَّا خَرَّ تَبَيَّنَتِ ٱلۡجِنُّ أَن لَّوۡ كَانُواْ يَعۡلَمُونَ ٱلۡغَيۡبَ مَا لَبِثُواْ فِي ٱلۡعَذَابِ ٱلۡمُهِينِ
phir jab hum ne un par mauth ka hukm bhej diya, to un ki qabar jinnaath ko kisi ne na di, sivaaye ghun ke kide ke, jo un ki asaa ko kha raha tha, pas jab (Sulaimaan(alaihissalaam)) gir pade, us waqth jino ne jaan liya ke agar wo ghayb daan hote to us zillath ke azaab mein mubtela na rehte
Surah Saba, Verse 14
لَقَدۡ كَانَ لِسَبَإٖ فِي مَسۡكَنِهِمۡ ءَايَةٞۖ جَنَّتَانِ عَن يَمِينٖ وَشِمَالٖۖ كُلُواْ مِن رِّزۡقِ رَبِّكُمۡ وَٱشۡكُرُواْ لَهُۥۚ بَلۡدَةٞ طَيِّبَةٞ وَرَبٌّ غَفُورٞ
khaum saba ke liye apni bastiyo mein (khudrate ilaahi ki) nishaani thi, un ke daaye baaye do baagh thein (hum ne un ko hukm diya tha ke) apne rab ki di hoyi rozi khaao, aur us ka shukr ada karo, ye umdah shahar aur wo baqshne waala rab hai
Surah Saba, Verse 15
فَأَعۡرَضُواْ فَأَرۡسَلۡنَا عَلَيۡهِمۡ سَيۡلَ ٱلۡعَرِمِ وَبَدَّلۡنَٰهُم بِجَنَّتَيۡهِمۡ جَنَّتَيۡنِ ذَوَاتَيۡ أُكُلٍ خَمۡطٖ وَأَثۡلٖ وَشَيۡءٖ مِّن سِدۡرٖ قَلِيلٖ
lekin unhone ru gardaani ki to hum ne un par zoor ke sailaab (ka paani) bhej diya aur hum ne un ke (hare bhare) baagho ke badhle do(aise) baagh diye jo badh maza mewo waale aur (ba kasrath) jhaao1aur kuch beri ke daraqto waale thein
Surah Saba, Verse 16
ذَٰلِكَ جَزَيۡنَٰهُم بِمَا كَفَرُواْۖ وَهَلۡ نُجَٰزِيٓ إِلَّا ٱلۡكَفُورَ
hum ne un ki na shukri ka ye badhla unhe diya, hum aisi saqth saza bade bade na shukro hee ko dete hai
Surah Saba, Verse 17
وَجَعَلۡنَا بَيۡنَهُمۡ وَبَيۡنَ ٱلۡقُرَى ٱلَّتِي بَٰرَكۡنَا فِيهَا قُرٗى ظَٰهِرَةٗ وَقَدَّرۡنَا فِيهَا ٱلسَّيۡرَۖ سِيرُواْ فِيهَا لَيَالِيَ وَأَيَّامًا ءَامِنِينَ
aur hum ne un ke aur un bastiyo ke darmiyaan jin mein hum ne barkath de rakhi thi, chandh bastiya aur (abaadh) rakhi thi jo bar sare raah zaaher thi aur un mein chalne ki manzile muqarrar kardi thi, un mein raatho aur dino ko ba aman wa amaan chalte phirte raho
Surah Saba, Verse 18
فَقَالُواْ رَبَّنَا بَٰعِدۡ بَيۡنَ أَسۡفَارِنَا وَظَلَمُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ فَجَعَلۡنَٰهُمۡ أَحَادِيثَ وَمَزَّقۡنَٰهُمۡ كُلَّ مُمَزَّقٍۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّكُلِّ صَبَّارٖ شَكُورٖ
lekin unhone phir kaha ke aye hamaare parvardigaar! hamaare safar door daraaz kar de, cho ke khud unhone apne haatho apna bura kiya, is liye hum ne unhe (guzishta) fasaano ki surath mein kar diya aur un ke tukde tukde uda diye, bila shuba har ek sabr aur shukr karne waale ke liye us (maajre) mein bahuth si ibrate hai
Surah Saba, Verse 19
وَلَقَدۡ صَدَّقَ عَلَيۡهِمۡ إِبۡلِيسُ ظَنَّهُۥ فَٱتَّبَعُوهُ إِلَّا فَرِيقٗا مِّنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
aur shaytaan ne un ke baare mein apna gumaan saccha kar dikhaya, ye log sab ke sab us ke taabedaar ban gaye, sivaaye momino ki ek jamaath ke
Surah Saba, Verse 20
وَمَا كَانَ لَهُۥ عَلَيۡهِم مِّن سُلۡطَٰنٍ إِلَّا لِنَعۡلَمَ مَن يُؤۡمِنُ بِٱلۡأٓخِرَةِ مِمَّنۡ هُوَ مِنۡهَا فِي شَكّٖۗ وَرَبُّكَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٍ حَفِيظٞ
shaytaan ka un par koyi zoor (aur dabaau) na tha, magar is liye ke hum un logo ko jo aaqirath par imaan rakhte hai, zaaher karde, un logo mein se jo us se shak mein hai aur aap ka rab (har) har cheez par nigehbaan hai
Surah Saba, Verse 21
قُلِ ٱدۡعُواْ ٱلَّذِينَ زَعَمۡتُم مِّن دُونِ ٱللَّهِ لَا يَمۡلِكُونَ مِثۡقَالَ ذَرَّةٖ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَلَا فِي ٱلۡأَرۡضِ وَمَا لَهُمۡ فِيهِمَا مِن شِرۡكٖ وَمَا لَهُۥ مِنۡهُم مِّن ظَهِيرٖ
keh dijiye! ke Allah ke siva jin jin ka tumhe gumaan hai (sab) ko pukaar lo, na un mein se kisi ko asmaano aur zamino mein se ek zarre ka eqtiyaar hai, na un ka un mein koyi hissa hai, na un mein se koyi Allah ka madadgaar hai
Surah Saba, Verse 22
وَلَا تَنفَعُ ٱلشَّفَٰعَةُ عِندَهُۥٓ إِلَّا لِمَنۡ أَذِنَ لَهُۥۚ حَتَّىٰٓ إِذَا فُزِّعَ عَن قُلُوبِهِمۡ قَالُواْ مَاذَا قَالَ رَبُّكُمۡۖ قَالُواْ ٱلۡحَقَّۖ وَهُوَ ٱلۡعَلِيُّ ٱلۡكَبِيرُ
shafa’ath (sifaarish) bhi us ke paas kuch nafa nahi deti, bajuz un ke, jin ke liye ijaazath ho jaaye, yahaa tak ke jab un ke dilo se ghab-raahat door kardi jaati hai, to puchte hai tumhaare parvardigaar ne kya farmaya? jawaab dete hai ke haq farmaya aur bulandh wa bala aur bahuth bada hai
Surah Saba, Verse 23
۞قُلۡ مَن يَرۡزُقُكُم مِّنَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ قُلِ ٱللَّهُۖ وَإِنَّآ أَوۡ إِيَّاكُمۡ لَعَلَىٰ هُدًى أَوۡ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٖ
puchiye ke tumhe asmaano aur zameen se rozi kaun pahonchaata hai? (khud) jawaab di jiye! ke Allah ta’ala, (suno) hum ya tum, ya to yaqinan hidaayath par hai ya to khuli gumraahi mein hai
Surah Saba, Verse 24
قُل لَّا تُسۡـَٔلُونَ عَمَّآ أَجۡرَمۡنَا وَلَا نُسۡـَٔلُ عَمَّا تَعۡمَلُونَ
keh dijiye ke hamaare kiye hoye gunaaho ki baabath tum se koyi sawaal na kiya jayega, na tumhaare amaal ki baaz purs hum se ki jayegi
Surah Saba, Verse 25
قُلۡ يَجۡمَعُ بَيۡنَنَا رَبُّنَا ثُمَّ يَفۡتَحُ بَيۡنَنَا بِٱلۡحَقِّ وَهُوَ ٱلۡفَتَّاحُ ٱلۡعَلِيمُ
unhe qabar di jiye ke hum sab ko hamaara rab jama kar ke hum mein sacche faisle kar dega, wo faisle chukaane wala hai aur daana
Surah Saba, Verse 26
قُلۡ أَرُونِيَ ٱلَّذِينَ أَلۡحَقۡتُم بِهِۦ شُرَكَآءَۖ كَلَّاۚ بَلۡ هُوَ ٱللَّهُ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
keh dijiye ke accha! mujhe bhi to unhe dikha do jinhe tum Allah ka shareek tehra kar us ke saath mila rahe ho, aisa hargiz nahi, balke wahi Allah hai ghaalib, ba hikmath
Surah Saba, Verse 27
وَمَآ أَرۡسَلۡنَٰكَ إِلَّا كَآفَّةٗ لِّلنَّاسِ بَشِيرٗا وَنَذِيرٗا وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَعۡلَمُونَ
hum ne aap ko tamaam logo ke liye khush qabriya sunaane waala aur daraane waala bana kar bheja hai, haan magar (ye sahih hai) ke logo ki aksariyath be ilm hai
Surah Saba, Verse 28
وَيَقُولُونَ مَتَىٰ هَٰذَا ٱلۡوَعۡدُ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
puchte hai ke wo waada hai kab? sacche ho to bata do
Surah Saba, Verse 29
قُل لَّكُم مِّيعَادُ يَوۡمٖ لَّا تَسۡتَـٔۡخِرُونَ عَنۡهُ سَاعَةٗ وَلَا تَسۡتَقۡدِمُونَ
jawaab di jiye ke waade ka din theek mu’ayyan hai, jis se ek sa’ath na tum piche hat sakte ho, na aage bad sakte ho
Surah Saba, Verse 30
وَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَن نُّؤۡمِنَ بِهَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانِ وَلَا بِٱلَّذِي بَيۡنَ يَدَيۡهِۗ وَلَوۡ تَرَىٰٓ إِذِ ٱلظَّـٰلِمُونَ مَوۡقُوفُونَ عِندَ رَبِّهِمۡ يَرۡجِعُ بَعۡضُهُمۡ إِلَىٰ بَعۡضٍ ٱلۡقَوۡلَ يَقُولُ ٱلَّذِينَ ٱسۡتُضۡعِفُواْ لِلَّذِينَ ٱسۡتَكۡبَرُواْ لَوۡلَآ أَنتُمۡ لَكُنَّا مُؤۡمِنِينَ
aur kaafiro ne kaha ke hum hargiz na to is Qur’aan ko maane, na is se pehle ki kitaabo ko! aye dekhne waale kaash ke tu un zaalimo ko us waqth dekhta jab ke ye apne rab ke saamne khade hoye ek dosre ko ilzaam de rahe honge, kamzoor log bade logo se kahenge, agar tum na hote to hum to momin hote
Surah Saba, Verse 31
قَالَ ٱلَّذِينَ ٱسۡتَكۡبَرُواْ لِلَّذِينَ ٱسۡتُضۡعِفُوٓاْ أَنَحۡنُ صَدَدۡنَٰكُمۡ عَنِ ٱلۡهُدَىٰ بَعۡدَ إِذۡ جَآءَكُمۖ بَلۡ كُنتُم مُّجۡرِمِينَ
ye bade log un kamzuro ko jawaab denge ke kya tumhaare paas hidaayath aa chukne ke baadh, hum ne tumhe us se roka tha? (nahi) balke tum (khud) hee mujrim thein
Surah Saba, Verse 32
وَقَالَ ٱلَّذِينَ ٱسۡتُضۡعِفُواْ لِلَّذِينَ ٱسۡتَكۡبَرُواْ بَلۡ مَكۡرُ ٱلَّيۡلِ وَٱلنَّهَارِ إِذۡ تَأۡمُرُونَنَآ أَن نَّكۡفُرَ بِٱللَّهِ وَنَجۡعَلَ لَهُۥٓ أَندَادٗاۚ وَأَسَرُّواْ ٱلنَّدَامَةَ لَمَّا رَأَوُاْ ٱلۡعَذَابَۚ وَجَعَلۡنَا ٱلۡأَغۡلَٰلَ فِيٓ أَعۡنَاقِ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْۖ هَلۡ يُجۡزَوۡنَ إِلَّا مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
(us ke jawaab me) ye kamzoor log un mutakabbiro se kahenge, (nahi nahi) balke din raath makr wa fareb se hamein Allah ke saath kufr karne aur us ke shareek muqarrar karne ka tumhara hukm dena, hamaari be imaani ka baayes hoa aur azaab ko dekhte hee sab ke sab dil mein pashema ho rahe honge aur kaafiro ki gardano mein hum tauq daal denge, unhe sirf un ke kiye karaaye amaal ka badhla diya jayega
Surah Saba, Verse 33
وَمَآ أَرۡسَلۡنَا فِي قَرۡيَةٖ مِّن نَّذِيرٍ إِلَّا قَالَ مُتۡرَفُوهَآ إِنَّا بِمَآ أُرۡسِلۡتُم بِهِۦ كَٰفِرُونَ
aur hum ne to jis basti mein jo bhi agaah karne waala bheja, wahaa ke khush haal logo ne yahi kaha ke jis cheez ke saath tum bheje gaye ho, hum us ke saath kufr karne waale hai
Surah Saba, Verse 34
وَقَالُواْ نَحۡنُ أَكۡثَرُ أَمۡوَٰلٗا وَأَوۡلَٰدٗا وَمَا نَحۡنُ بِمُعَذَّبِينَ
aur kaha hum maal aur aulaad mein bahuth bade hoye hai, ye nahi ho sakta ke hum azaab diye jaaye
Surah Saba, Verse 35
قُلۡ إِنَّ رَبِّي يَبۡسُطُ ٱلرِّزۡقَ لِمَن يَشَآءُ وَيَقۡدِرُ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَعۡلَمُونَ
keh dijiye! ke mera rab jis ke liye chaahe rozi kushaada kar deta hai aur tang bhi kar deta hai, lekin aksar log nahi jaante
Surah Saba, Verse 36
وَمَآ أَمۡوَٰلُكُمۡ وَلَآ أَوۡلَٰدُكُم بِٱلَّتِي تُقَرِّبُكُمۡ عِندَنَا زُلۡفَىٰٓ إِلَّا مَنۡ ءَامَنَ وَعَمِلَ صَٰلِحٗا فَأُوْلَـٰٓئِكَ لَهُمۡ جَزَآءُ ٱلضِّعۡفِ بِمَا عَمِلُواْ وَهُمۡ فِي ٱلۡغُرُفَٰتِ ءَامِنُونَ
aur tumhaare maal aur aulaad aise nahi ke tumhe hamaare paas (martabo se) qareeb karde, haan jo imaan laaye aur nek amal kare un ke liye un ke amaal ka dohra ajar hai aur wo nidar wa be khauf ho kar baala khaano mein rahenge
Surah Saba, Verse 37
وَٱلَّذِينَ يَسۡعَوۡنَ فِيٓ ءَايَٰتِنَا مُعَٰجِزِينَ أُوْلَـٰٓئِكَ فِي ٱلۡعَذَابِ مُحۡضَرُونَ
aur jo log hamaari aayato ke muqaable ki tago dao2mein lage rehte hai, yahi hai jo azaab mein pakad kar haazir rakhe jayenge
Surah Saba, Verse 38
قُلۡ إِنَّ رَبِّي يَبۡسُطُ ٱلرِّزۡقَ لِمَن يَشَآءُ مِنۡ عِبَادِهِۦ وَيَقۡدِرُ لَهُۥۚ وَمَآ أَنفَقۡتُم مِّن شَيۡءٖ فَهُوَ يُخۡلِفُهُۥۖ وَهُوَ خَيۡرُ ٱلرَّـٰزِقِينَ
keh dijiye! ke mera rab apne bandho mein jis ke liye chaahe rozi kushaada karta hai aur jis ke liye chaahe tang kar deta hai, tum jo kuch bhi Allah ki raah mein qarch karoge, Allah us ka (pura pura) badhla dega aur wo sab se behtar rozi dene waala hai
Surah Saba, Verse 39
وَيَوۡمَ يَحۡشُرُهُمۡ جَمِيعٗا ثُمَّ يَقُولُ لِلۡمَلَـٰٓئِكَةِ أَهَـٰٓؤُلَآءِ إِيَّاكُمۡ كَانُواْ يَعۡبُدُونَ
aur un sab ko Allah us din jama kar ke farishto se daryaaft farmayega ke kya ye log tumhaari ibaadath karte thein
Surah Saba, Verse 40
قَالُواْ سُبۡحَٰنَكَ أَنتَ وَلِيُّنَا مِن دُونِهِمۖ بَلۡ كَانُواْ يَعۡبُدُونَ ٱلۡجِنَّۖ أَكۡثَرُهُم بِهِم مُّؤۡمِنُونَ
wo kahenge teri zaath paak hai aur hamaara wali to, tu hai , na ke ye, balke ye log jino ki ibaadath karte thein, un mein ke aksar ka unhee par imaan tha
Surah Saba, Verse 41
فَٱلۡيَوۡمَ لَا يَمۡلِكُ بَعۡضُكُمۡ لِبَعۡضٖ نَّفۡعٗا وَلَا ضَرّٗا وَنَقُولُ لِلَّذِينَ ظَلَمُواْ ذُوقُواْ عَذَابَ ٱلنَّارِ ٱلَّتِي كُنتُم بِهَا تُكَذِّبُونَ
pas aaj tum se koyi (bhi) kisi ke liye (bhi kisi qism ke) nafa nuqsaan ka maalik na hoga aur hum zaalimo se keh denge ke us aag ka azaab chako, jise tum jhutlaate rahe
Surah Saba, Verse 42
وَإِذَا تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتُنَا بَيِّنَٰتٖ قَالُواْ مَا هَٰذَآ إِلَّا رَجُلٞ يُرِيدُ أَن يَصُدَّكُمۡ عَمَّا كَانَ يَعۡبُدُ ءَابَآؤُكُمۡ وَقَالُواْ مَا هَٰذَآ إِلَّآ إِفۡكٞ مُّفۡتَرٗىۚ وَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لِلۡحَقِّ لَمَّا جَآءَهُمۡ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّا سِحۡرٞ مُّبِينٞ
aur jab un ke saamne hamaari saaf saaf aayate padi jaati hai to kehte hai ke ye aisa shaqs hai jo tumhe tumhaare baap dada ke mabudho se rok dena chahta hai (us ke siva koyi baath nahi) aur kehte hai ke ye to ghada hoa jhoot hai aur haq in ke paas aa chuka, phir bhi kaafir yahi kehte rahe ke ye to khula hoa jaadu hai
Surah Saba, Verse 43
وَمَآ ءَاتَيۡنَٰهُم مِّن كُتُبٖ يَدۡرُسُونَهَاۖ وَمَآ أَرۡسَلۡنَآ إِلَيۡهِمۡ قَبۡلَكَ مِن نَّذِيرٖ
aur un (makke waalo) ko na to hum ne kitaabe de rakhi hai, jinhe ye padte ho, na un ke paas aap se pehle koyi agaah karne waala aaya
Surah Saba, Verse 44
وَكَذَّبَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ وَمَا بَلَغُواْ مِعۡشَارَ مَآ ءَاتَيۡنَٰهُمۡ فَكَذَّبُواْ رُسُلِيۖ فَكَيۡفَ كَانَ نَكِيرِ
aur un se pehle ke logo ne bhi hamaari baatho ko jhutlaaya tha aur unhe hum ne jo de rakha tha, ye to us ke daswe hisse ko bhi nahi pahonche, pas unhone mere rasulo ko jhutlaaya (phir dekh ke) mera azaab kaisa (saqth) tha
Surah Saba, Verse 45
۞قُلۡ إِنَّمَآ أَعِظُكُم بِوَٰحِدَةٍۖ أَن تَقُومُواْ لِلَّهِ مَثۡنَىٰ وَفُرَٰدَىٰ ثُمَّ تَتَفَكَّرُواْۚ مَا بِصَاحِبِكُم مِّن جِنَّةٍۚ إِنۡ هُوَ إِلَّا نَذِيرٞ لَّكُم بَيۡنَ يَدَيۡ عَذَابٖ شَدِيدٖ
keh dijiye ke main tumhe sirf ek hee baath ki nasihath karta hoon ke tum Allah ke waaste (zidh chohd kar) do do mil kar ya tanha tanha khade ho kar soncho to sahih, tumhaare is rafeeq ko koyi junoon nahi, wo to tumhe ek bade (saqth) azaab ke aane se pehle daraane waala hai
Surah Saba, Verse 46
قُلۡ مَا سَأَلۡتُكُم مِّنۡ أَجۡرٖ فَهُوَ لَكُمۡۖ إِنۡ أَجۡرِيَ إِلَّا عَلَى ٱللَّهِۖ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ شَهِيدٞ
keh dijiye! ke jo badhla main tum se maango wo tumhaare liye hai, mera badhla to Allah ta’ala hee ke zimme hai, wo har cheez se ba-qabar (aur muttale) hai
Surah Saba, Verse 47
قُلۡ إِنَّ رَبِّي يَقۡذِفُ بِٱلۡحَقِّ عَلَّـٰمُ ٱلۡغُيُوبِ
keh dijiye! ke mera rab haq (sacchi wahi) naazil farmaata hai, wo har ghayb ka jaanne waala hai
Surah Saba, Verse 48
قُلۡ جَآءَ ٱلۡحَقُّ وَمَا يُبۡدِئُ ٱلۡبَٰطِلُ وَمَا يُعِيدُ
keh dijiye ke haq aa chuka, baatil na to pehle kuch kar saka hai aur na kar sakega
Surah Saba, Verse 49
قُلۡ إِن ضَلَلۡتُ فَإِنَّمَآ أَضِلُّ عَلَىٰ نَفۡسِيۖ وَإِنِ ٱهۡتَدَيۡتُ فَبِمَا يُوحِيٓ إِلَيَّ رَبِّيٓۚ إِنَّهُۥ سَمِيعٞ قَرِيبٞ
keh dijiye ke agar main bahek jaao to mere behekne (ka wabaal) mujh par hee hai aur agar main raah hidaayath par hoon to ye sab ba sabab us wahi ke jo mera parvardigaar mujhe karta hai, wo bada hee sunne waala aur bahuth hee qareeb hai
Surah Saba, Verse 50
وَلَوۡ تَرَىٰٓ إِذۡ فَزِعُواْ فَلَا فَوۡتَ وَأُخِذُواْ مِن مَّكَانٖ قَرِيبٖ
aur agar aap (wo waqth) mulaaheza kare jab ke ye kuffaar ghabraaye phirenge, phir nikal bhaagne ki koyi surath na hogi aur qareeb ki jageh se giraftaar kar liye jayenge
Surah Saba, Verse 51
وَقَالُوٓاْ ءَامَنَّا بِهِۦ وَأَنَّىٰ لَهُمُ ٱلتَّنَاوُشُ مِن مَّكَانِۭ بَعِيدٖ
us waqth kahenge ke hum is Qur’aan par imaan laaye lekin is qadar door jageh se (matluba cheez) kaise haath aa saakti hai
Surah Saba, Verse 52
وَقَدۡ كَفَرُواْ بِهِۦ مِن قَبۡلُۖ وَيَقۡذِفُونَ بِٱلۡغَيۡبِ مِن مَّكَانِۭ بَعِيدٖ
us se pehle to unhone us se kufr kiya tha aur door daraaz se bin dekhe hee phekte rahe
Surah Saba, Verse 53
وَحِيلَ بَيۡنَهُمۡ وَبَيۡنَ مَا يَشۡتَهُونَ كَمَا فُعِلَ بِأَشۡيَاعِهِم مِّن قَبۡلُۚ إِنَّهُمۡ كَانُواْ فِي شَكّٖ مُّرِيبِۭ
un ki chaahato aur un ke darmiyaan pardah haayal kar diya gaya, jaise ke us se pehle bhi un jaiso ke saath kiya gaya, wo bhi (unhee ki tarah) shak wa taraddud3mein (pade hoye) thein
Surah Saba, Verse 54