Surah Fatir - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ فَاطِرِ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ جَاعِلِ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةِ رُسُلًا أُوْلِيٓ أَجۡنِحَةٖ مَّثۡنَىٰ وَثُلَٰثَ وَرُبَٰعَۚ يَزِيدُ فِي ٱلۡخَلۡقِ مَا يَشَآءُۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
us Allah ke liye tamaam taarife sazawaar hai jo (ibteda’an) asmaano aur zameen ka paida karne wala aur do do teen teen chaar chaar paro waale farishto ko apna paighambar (qaasidh) banaane waala hai, maqlooq mein jo chaahe zyaadati karta hai, Allah ta’ala yaqinan har cheez par qaadir hai
Surah Fatir, Verse 1
مَّا يَفۡتَحِ ٱللَّهُ لِلنَّاسِ مِن رَّحۡمَةٖ فَلَا مُمۡسِكَ لَهَاۖ وَمَا يُمۡسِكۡ فَلَا مُرۡسِلَ لَهُۥ مِنۢ بَعۡدِهِۦۚ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Allah ta’ala jo rehmath logo ke liye khol de, so us ka koyi bandh karne waala nahi aur jis ko bandh kar de, so us ke baadh us ka koyi jaari karne waala nahi aur wahi ghaalib hikmath waala hai
Surah Fatir, Verse 2
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ ٱذۡكُرُواْ نِعۡمَتَ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡۚ هَلۡ مِنۡ خَٰلِقٍ غَيۡرُ ٱللَّهِ يَرۡزُقُكُم مِّنَ ٱلسَّمَآءِ وَٱلۡأَرۡضِۚ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۖ فَأَنَّىٰ تُؤۡفَكُونَ
logo! tum par jo in’aam Allah ta’ala ne kiye hai unhe yaad karo, kya Allah ke siva aur koyi bhi khaaliq hai jo tumhe asmaan wa zameen se rozi pahonchaaye? us ke siva koyi maboodh nahi, pas tum kahaa ulthe jaate ho
Surah Fatir, Verse 3
وَإِن يُكَذِّبُوكَ فَقَدۡ كُذِّبَتۡ رُسُلٞ مِّن قَبۡلِكَۚ وَإِلَى ٱللَّهِ تُرۡجَعُ ٱلۡأُمُورُ
aur agar ye aap ko jhutlaaye to aap se pehle ke tamaam rasool bhi jhutlaaye ja chuke hai, tamaam kaam Allah hee ki taraf lautaaye jaate hai
Surah Fatir, Verse 4
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ إِنَّ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٞۖ فَلَا تَغُرَّنَّكُمُ ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَا وَلَا يَغُرَّنَّكُم بِٱللَّهِ ٱلۡغَرُورُ
logo Allah ta’ala ka waada saccha hai, tumhe zindagaani dunya dhuke mein na daale aur na dhuke baaz shaytaan tumhe ghaflath mein daale
Surah Fatir, Verse 5
إِنَّ ٱلشَّيۡطَٰنَ لَكُمۡ عَدُوّٞ فَٱتَّخِذُوهُ عَدُوًّاۚ إِنَّمَا يَدۡعُواْ حِزۡبَهُۥ لِيَكُونُواْ مِنۡ أَصۡحَٰبِ ٱلسَّعِيرِ
yaad rakho! shaytaan tumhaara dushman hai, tum ose dushman jaano, wo to apne gruh ko sirf is liye hee bulaata hai ke wo sab jahannam waasil ho jaaye
Surah Fatir, Verse 6
ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَهُمۡ عَذَابٞ شَدِيدٞۖ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ لَهُم مَّغۡفِرَةٞ وَأَجۡرٞ كَبِيرٌ
jo log kaafir hoye un ke liye saqth saza hai aur jo log imaan laaye aur nek amaal kiye un ke liye baqshish hai (bahuth) bada ajr hai
Surah Fatir, Verse 7
أَفَمَن زُيِّنَ لَهُۥ سُوٓءُ عَمَلِهِۦ فَرَءَاهُ حَسَنٗاۖ فَإِنَّ ٱللَّهَ يُضِلُّ مَن يَشَآءُ وَيَهۡدِي مَن يَشَآءُۖ فَلَا تَذۡهَبۡ نَفۡسُكَ عَلَيۡهِمۡ حَسَرَٰتٍۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلِيمُۢ بِمَا يَصۡنَعُونَ
kya pas wo shaqs jis ke liye us ke bure amaal muzayyan kar diye gaye hai, pas wo unhe accha samajhta hai (kya wo hidaayath yaafta shaqs jaisa hai), (yaqeen maano) ke Allah jise chaahe gumraah karta hai aur jise chaahe raahe raasth dikhaata hai, pas aap ko un par gham kha kha kar apni jaan halaakath mein na daalni chahiye, ye jo kuch kar rahe hai, us se yaqinan Allah ta’ala ba-qoobi waaqif hai
Surah Fatir, Verse 8
وَٱللَّهُ ٱلَّذِيٓ أَرۡسَلَ ٱلرِّيَٰحَ فَتُثِيرُ سَحَابٗا فَسُقۡنَٰهُ إِلَىٰ بَلَدٖ مَّيِّتٖ فَأَحۡيَيۡنَا بِهِ ٱلۡأَرۡضَ بَعۡدَ مَوۡتِهَاۚ كَذَٰلِكَ ٱلنُّشُورُ
aur Allah hee hawaaye chalaata hai, jo baadhlo ko uthaati hai, phir hum baadhlo ko khushk zameen ki taraf le jaate hai aur us se us zameen ko us ki mauth ke baadh zinda kar dete hai, isi tarah dobara ji uthna (bhi) hai
Surah Fatir, Verse 9
مَن كَانَ يُرِيدُ ٱلۡعِزَّةَ فَلِلَّهِ ٱلۡعِزَّةُ جَمِيعًاۚ إِلَيۡهِ يَصۡعَدُ ٱلۡكَلِمُ ٱلطَّيِّبُ وَٱلۡعَمَلُ ٱلصَّـٰلِحُ يَرۡفَعُهُۥۚ وَٱلَّذِينَ يَمۡكُرُونَ ٱلسَّيِّـَٔاتِ لَهُمۡ عَذَابٞ شَدِيدٞۖ وَمَكۡرُ أُوْلَـٰٓئِكَ هُوَ يَبُورُ
jo shaqs izzath haasil karna chaahta ho, to Allah ta’ala hee ki saari izzath hai, tamaam tar sutre kalimaath osi ki taraf chadte hai aur nek amal un ko bulandh karta hai, jo log buraaiyo ke dau ghaath mein lage rehte hai, un ke liye saqth tar azaab hai aur un ka ye makar barbaadh ho jayega
Surah Fatir, Verse 10
وَٱللَّهُ خَلَقَكُم مِّن تُرَابٖ ثُمَّ مِن نُّطۡفَةٖ ثُمَّ جَعَلَكُمۡ أَزۡوَٰجٗاۚ وَمَا تَحۡمِلُ مِنۡ أُنثَىٰ وَلَا تَضَعُ إِلَّا بِعِلۡمِهِۦۚ وَمَا يُعَمَّرُ مِن مُّعَمَّرٖ وَلَا يُنقَصُ مِنۡ عُمُرِهِۦٓ إِلَّا فِي كِتَٰبٍۚ إِنَّ ذَٰلِكَ عَلَى ٱللَّهِ يَسِيرٞ
logo! Allah ta’ala ne tumhe mitthi se, phir nutfe se paida kiya hai, phir tumhe jode jode (mardh wa aurath) bana diya hai, aurto ka haamela hona aur baccho ka tawalludh hona, sab us ke ilm se hee hai aur jo badi umr waala, umr diya jaaye aur jis kisi ki umar ghate, wo sab kitaab mein likha hoa hai, Allah ta’ala par ye baath bilkul asaan hai
Surah Fatir, Verse 11
وَمَا يَسۡتَوِي ٱلۡبَحۡرَانِ هَٰذَا عَذۡبٞ فُرَاتٞ سَآئِغٞ شَرَابُهُۥ وَهَٰذَا مِلۡحٌ أُجَاجٞۖ وَمِن كُلّٖ تَأۡكُلُونَ لَحۡمٗا طَرِيّٗا وَتَسۡتَخۡرِجُونَ حِلۡيَةٗ تَلۡبَسُونَهَاۖ وَتَرَى ٱلۡفُلۡكَ فِيهِ مَوَاخِرَ لِتَبۡتَغُواْ مِن فَضۡلِهِۦ وَلَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
aur baraabar nahi do darya, ye mitha hai jo pyaas bujaata hai, peene mein khush gawaar aur ye dosra khaari hai, kadwa, tum un duno mein se taaza gosht khaate ho aur wo zewaraath nikaalte ho, jinhe tum pehente ho aur aap dekhte hai ke badi badi kashtiyaa paani ko cheerne phaadne waali, in daryaao mein hai, ta ke tum us ka fazl dhundo aur ta ke tum us ka shukr karo
Surah Fatir, Verse 12
يُولِجُ ٱلَّيۡلَ فِي ٱلنَّهَارِ وَيُولِجُ ٱلنَّهَارَ فِي ٱلَّيۡلِ وَسَخَّرَ ٱلشَّمۡسَ وَٱلۡقَمَرَۖ كُلّٞ يَجۡرِي لِأَجَلٖ مُّسَمّٗىۚ ذَٰلِكُمُ ٱللَّهُ رَبُّكُمۡ لَهُ ٱلۡمُلۡكُۚ وَٱلَّذِينَ تَدۡعُونَ مِن دُونِهِۦ مَا يَمۡلِكُونَ مِن قِطۡمِيرٍ
wo raath ko din mein aur din ko raath mein daakhil karta hai aur aftaab wa mahtaab ko osi ne kaam mein laga diya hai, har ek miyaadh mu’ayyan par chal raha hai, yahi hai Allah tum sab ka paalne waala, osi ki saltanath hai, jinhe tum us ke siva pukaar rahe ho, wo to khajoor ki gutli ke chilke ke bhi maalik nahi
Surah Fatir, Verse 13
إِن تَدۡعُوهُمۡ لَا يَسۡمَعُواْ دُعَآءَكُمۡ وَلَوۡ سَمِعُواْ مَا ٱسۡتَجَابُواْ لَكُمۡۖ وَيَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ يَكۡفُرُونَ بِشِرۡكِكُمۡۚ وَلَا يُنَبِّئُكَ مِثۡلُ خَبِيرٖ
agar tum unhe pukaaro to wo tumhaari pukaar sunte hee nahi aur agar (bil farz) sun bhi le to faryaadh rasi nahi karenge, balke qayaamath ke din tumhaare us shirk ka saaf inkaar kar jayenge, aap ko koyi bhi haq ta’ala jaisa qabardaar qabre na dega
Surah Fatir, Verse 14
۞يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ أَنتُمُ ٱلۡفُقَرَآءُ إِلَى ٱللَّهِۖ وَٱللَّهُ هُوَ ٱلۡغَنِيُّ ٱلۡحَمِيدُ
aye logo! tum Allah ke muhtaaj ho aur Allah be niyaaz qobiyo waala hai
Surah Fatir, Verse 15
إِن يَشَأۡ يُذۡهِبۡكُمۡ وَيَأۡتِ بِخَلۡقٖ جَدِيدٖ
agar wo chaahe to tum ko fana karde aur ek nayi maqlooq paida karde
Surah Fatir, Verse 16
وَمَا ذَٰلِكَ عَلَى ٱللَّهِ بِعَزِيزٖ
aur ye baath Allah ko kuch mushkil nahi
Surah Fatir, Verse 17
وَلَا تَزِرُ وَازِرَةٞ وِزۡرَ أُخۡرَىٰۚ وَإِن تَدۡعُ مُثۡقَلَةٌ إِلَىٰ حِمۡلِهَا لَا يُحۡمَلۡ مِنۡهُ شَيۡءٞ وَلَوۡ كَانَ ذَا قُرۡبَىٰٓۗ إِنَّمَا تُنذِرُ ٱلَّذِينَ يَخۡشَوۡنَ رَبَّهُم بِٱلۡغَيۡبِ وَأَقَامُواْ ٱلصَّلَوٰةَۚ وَمَن تَزَكَّىٰ فَإِنَّمَا يَتَزَكَّىٰ لِنَفۡسِهِۦۚ وَإِلَى ٱللَّهِ ٱلۡمَصِيرُ
koyi bhi boojh uthaane waala dosre ka boojh nahi uthaayega, agar koyi gira-baar1 dosre ko apna boojh uthaane ke liye bulaayega to wo us mein se kuch bhi na uthaayega, go qaraabat-daar hee ho, tu sirf unhee ko agaah kar sakta hai jo ghayebana taur par apne rab se darte hai aur namaazo ki paabandi karte hai aur jo bhi paak ho jaaye, wo apne hee nafe ke liye paak hoga, lautna Allah hee ki taraf hai
Surah Fatir, Verse 18
وَمَا يَسۡتَوِي ٱلۡأَعۡمَىٰ وَٱلۡبَصِيرُ
aur andha aur aankho waala baraabar nahi
Surah Fatir, Verse 19
وَلَا ٱلظُّلُمَٰتُ وَلَا ٱلنُّورُ
aur na taarikiyaa aur roushni
Surah Fatir, Verse 20
وَلَا ٱلظِّلُّ وَلَا ٱلۡحَرُورُ
aur na chaau aur dhoop
Surah Fatir, Verse 21
وَمَا يَسۡتَوِي ٱلۡأَحۡيَآءُ وَلَا ٱلۡأَمۡوَٰتُۚ إِنَّ ٱللَّهَ يُسۡمِعُ مَن يَشَآءُۖ وَمَآ أَنتَ بِمُسۡمِعٖ مَّن فِي ٱلۡقُبُورِ
aur zinde aur murde baraabar nahi ho sakte, Allah ta’ala jis ko chaahta hai suna deta hai aur aap un logo ko nahi suna sakte jo qabro mein hai
Surah Fatir, Verse 22
إِنۡ أَنتَ إِلَّا نَذِيرٌ
aap to sirf daraane waale hai
Surah Fatir, Verse 23
إِنَّآ أَرۡسَلۡنَٰكَ بِٱلۡحَقِّ بَشِيرٗا وَنَذِيرٗاۚ وَإِن مِّنۡ أُمَّةٍ إِلَّا خَلَا فِيهَا نَذِيرٞ
hum ne hee aap ko haq de kar khush qabri sunaane waala aur dar sunaane waala bana kar bheja hai aur koyi ummath aisi nahi hoyi, jis mein koyi dar sunaane waala na guzra ho
Surah Fatir, Verse 24
وَإِن يُكَذِّبُوكَ فَقَدۡ كَذَّبَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ جَآءَتۡهُمۡ رُسُلُهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ وَبِٱلزُّبُرِ وَبِٱلۡكِتَٰبِ ٱلۡمُنِيرِ
aur agar ye log aap ko jhutla de, to jo log un se pehle ho guzre hai unhone bhi jhutlaaya tha, un ke paas bhi un ke paighambar maujize aur sahife aur roushan kitaabe le kar aaye thein
Surah Fatir, Verse 25
ثُمَّ أَخَذۡتُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْۖ فَكَيۡفَ كَانَ نَكِيرِ
phir main ne un kaafiro ko pakad liya, so mera azaab kaisa hoa
Surah Fatir, Verse 26
أَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱللَّهَ أَنزَلَ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَأَخۡرَجۡنَا بِهِۦ ثَمَرَٰتٖ مُّخۡتَلِفًا أَلۡوَٰنُهَاۚ وَمِنَ ٱلۡجِبَالِ جُدَدُۢ بِيضٞ وَحُمۡرٞ مُّخۡتَلِفٌ أَلۡوَٰنُهَا وَغَرَابِيبُ سُودٞ
kya aap ne us baath par nazar nahi ki ke Allah ta’ala ne asmaan se paani utaara, phir hum ne us ke zariye se muqtalif rangato ke phal nikaale aur pahaado ke muqtalif hisse hai, safedh aur surkh, ke un ki bhi rangate muqtalif hai aur bahuth gehre siyaah
Surah Fatir, Verse 27
وَمِنَ ٱلنَّاسِ وَٱلدَّوَآبِّ وَٱلۡأَنۡعَٰمِ مُخۡتَلِفٌ أَلۡوَٰنُهُۥ كَذَٰلِكَۗ إِنَّمَا يَخۡشَى ٱللَّهَ مِنۡ عِبَادِهِ ٱلۡعُلَمَـٰٓؤُاْۗ إِنَّ ٱللَّهَ عَزِيزٌ غَفُورٌ
aur isi tarah aadmiyo aur jaanwaro aur chau paayo mein bhi baaz aise hai, ke un ki rangate muqtalif hai, Allah se us ke wahi bandhe darte hai, jo ilm rakhte hai, waaqeyi Allah ta’ala zabardasth bada baqshne waala hai
Surah Fatir, Verse 28
إِنَّ ٱلَّذِينَ يَتۡلُونَ كِتَٰبَ ٱللَّهِ وَأَقَامُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَأَنفَقُواْ مِمَّا رَزَقۡنَٰهُمۡ سِرّٗا وَعَلَانِيَةٗ يَرۡجُونَ تِجَٰرَةٗ لَّن تَبُورَ
jo log kitaabullah ki tilaawath karte hai aur namaaz ki paabandi rakhte hai, aur jo kuch hum ne un ko ata farmaya hai, us mein se poshida aur elaaniya qarch karte hai, wo aisi tijaarath ke ummid waar hai jo kabhi qasaare mein na hogi
Surah Fatir, Verse 29
لِيُوَفِّيَهُمۡ أُجُورَهُمۡ وَيَزِيدَهُم مِّن فَضۡلِهِۦٓۚ إِنَّهُۥ غَفُورٞ شَكُورٞ
ta ke un ko un ki ujrate puri de aur un ko apne fazl se aur zyaada de, beshak wo bada baqshne waala qadardaan hai
Surah Fatir, Verse 30
وَٱلَّذِيٓ أَوۡحَيۡنَآ إِلَيۡكَ مِنَ ٱلۡكِتَٰبِ هُوَ ٱلۡحَقُّ مُصَدِّقٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيۡهِۗ إِنَّ ٱللَّهَ بِعِبَادِهِۦ لَخَبِيرُۢ بَصِيرٞ
aur ye kitaab jo hum ne aap ke paas wahi ke taur par bheji hai, ye bilkul theek hai, jo ke apne se pehli kitaabo ki bhi tasdeek karti hai, Allah ta’ala apne bandho ki puri qabar rakhne waala, qoob dekhne waala hai
Surah Fatir, Verse 31
ثُمَّ أَوۡرَثۡنَا ٱلۡكِتَٰبَ ٱلَّذِينَ ٱصۡطَفَيۡنَا مِنۡ عِبَادِنَاۖ فَمِنۡهُمۡ ظَالِمٞ لِّنَفۡسِهِۦ وَمِنۡهُم مُّقۡتَصِدٞ وَمِنۡهُمۡ سَابِقُۢ بِٱلۡخَيۡرَٰتِ بِإِذۡنِ ٱللَّهِۚ ذَٰلِكَ هُوَ ٱلۡفَضۡلُ ٱلۡكَبِيرُ
phir hum ne un logo ko (us) kitaab ka waaris banaya, jin ko hum ne apne bandho mein se pasandh farmaya, phir baaze to un mein apni jaanu par zulm karne waale hai aur baaze un mein mutawassith2 darje ke hai aur baaze un mein Allah ki taufeeq se nekiyo mein taraqqi ke liye chale jaate hai, ye bada fazl hai
Surah Fatir, Verse 32
جَنَّـٰتُ عَدۡنٖ يَدۡخُلُونَهَا يُحَلَّوۡنَ فِيهَا مِنۡ أَسَاوِرَ مِن ذَهَبٖ وَلُؤۡلُؤٗاۖ وَلِبَاسُهُمۡ فِيهَا حَرِيرٞ
wo baghaath mein hamesha rehne ke, jin mein ye log daakhil honge, sone ke kangan aur moti pehnaaye jayenge aur poshaak un ki wahaa resham ki hogi
Surah Fatir, Verse 33
وَقَالُواْ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ ٱلَّذِيٓ أَذۡهَبَ عَنَّا ٱلۡحَزَنَۖ إِنَّ رَبَّنَا لَغَفُورٞ شَكُورٌ
aur kahenge ke Allah ka laakh laakh shukr hai jis ne hum se gham door kiya, beshak hamaara parvardigaar bada baqshne waala bada qadardaan hai
Surah Fatir, Verse 34
ٱلَّذِيٓ أَحَلَّنَا دَارَ ٱلۡمُقَامَةِ مِن فَضۡلِهِۦ لَا يَمَسُّنَا فِيهَا نَصَبٞ وَلَا يَمَسُّنَا فِيهَا لُغُوبٞ
jis ne hum ko apne fazl se hamesha rehne ke muqaam mein la utaara, jahaan na hum ko koyi takleef pahonchegi aur na hum ko koyi qastagi3pahonchegi
Surah Fatir, Verse 35
وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَهُمۡ نَارُ جَهَنَّمَ لَا يُقۡضَىٰ عَلَيۡهِمۡ فَيَمُوتُواْ وَلَا يُخَفَّفُ عَنۡهُم مِّنۡ عَذَابِهَاۚ كَذَٰلِكَ نَجۡزِي كُلَّ كَفُورٖ
aur jo log kaafir hai un ke liye dozakh ki aag hai, na to un ki qazaa hee ayegi ke mar hee jaaye aur na dozakh ka azaab hee un se halka kiya jayega, hum har kaafir ko aisi hee saza dete hai
Surah Fatir, Verse 36
وَهُمۡ يَصۡطَرِخُونَ فِيهَا رَبَّنَآ أَخۡرِجۡنَا نَعۡمَلۡ صَٰلِحًا غَيۡرَ ٱلَّذِي كُنَّا نَعۡمَلُۚ أَوَلَمۡ نُعَمِّرۡكُم مَّا يَتَذَكَّرُ فِيهِ مَن تَذَكَّرَ وَجَآءَكُمُ ٱلنَّذِيرُۖ فَذُوقُواْ فَمَا لِلظَّـٰلِمِينَ مِن نَّصِيرٍ
aur wo log us mein chillayenge ke aye hamaare parvardigaar! hum ko nikaal le hum acche kaam karenge, bar-qilaaf un kaamo ke jo kiya karte thein (Allah kahega) kya hum ne tum ko itni umr na di thi ke jis ko samajhna hota, wo samajh sakta aur tumhaare paas daraane waala bhi pahoncha tha, so maza chako ke (aise) zaalimo ka koyi madadgaar nahi
Surah Fatir, Verse 37
إِنَّ ٱللَّهَ عَٰلِمُ غَيۡبِ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ إِنَّهُۥ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ
beshak Allah ta’ala jaanne wala hai asmaano aur zameen ki pushida cheezo ka, beshak wahi jaanne wala hai sino ki baatho ka
Surah Fatir, Verse 38
هُوَ ٱلَّذِي جَعَلَكُمۡ خَلَـٰٓئِفَ فِي ٱلۡأَرۡضِۚ فَمَن كَفَرَ فَعَلَيۡهِ كُفۡرُهُۥۖ وَلَا يَزِيدُ ٱلۡكَٰفِرِينَ كُفۡرُهُمۡ عِندَ رَبِّهِمۡ إِلَّا مَقۡتٗاۖ وَلَا يَزِيدُ ٱلۡكَٰفِرِينَ كُفۡرُهُمۡ إِلَّا خَسَارٗا
wahi aisa hai jis ne tum ko zameen mein abaadh kiya, so jo shaqs kufr karega us ke kufr ka wabaal osi par padega aur kaafiro ke liye un ka kufr un ke parvardigaar ke nazdeek na raazi hee badne ka baayes hota hai aur kaafiro ke liye un ka kufr qasaara hee badne ka baayes hota hai
Surah Fatir, Verse 39
قُلۡ أَرَءَيۡتُمۡ شُرَكَآءَكُمُ ٱلَّذِينَ تَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ أَرُونِي مَاذَا خَلَقُواْ مِنَ ٱلۡأَرۡضِ أَمۡ لَهُمۡ شِرۡكٞ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ أَمۡ ءَاتَيۡنَٰهُمۡ كِتَٰبٗا فَهُمۡ عَلَىٰ بَيِّنَتٖ مِّنۡهُۚ بَلۡ إِن يَعِدُ ٱلظَّـٰلِمُونَ بَعۡضُهُم بَعۡضًا إِلَّا غُرُورًا
aap kahiye! ke tum apne qaraar daath shariko ka haal to batlaao, jin ko tum Allah ke siva puja karte ho, yaani mujh ko ye bath-laao ke unhone zameen mein se kaun sa (juz) banaaya hai, ya un ka asmaano mein kuch saajha hai, ya hum ne un ko koyi kitaab di hai ke ye us ki daleel par qaayam ho, balke ye zaalim ek dosre se nare4dhoke ki baatho ka waada karte aate hai
Surah Fatir, Verse 40
۞إِنَّ ٱللَّهَ يُمۡسِكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ أَن تَزُولَاۚ وَلَئِن زَالَتَآ إِنۡ أَمۡسَكَهُمَا مِنۡ أَحَدٖ مِّنۢ بَعۡدِهِۦٓۚ إِنَّهُۥ كَانَ حَلِيمًا غَفُورٗا
yaqini baath hai ke Allah ta’ala asmaano aur zameen ko thaame hoye hai ke wo tal na jaaye aur agar wo tal jaaye to phir Allah ke siva aur koyi un ko thaam bhi nahi sakta, wo haleem ghafoor hai
Surah Fatir, Verse 41
وَأَقۡسَمُواْ بِٱللَّهِ جَهۡدَ أَيۡمَٰنِهِمۡ لَئِن جَآءَهُمۡ نَذِيرٞ لَّيَكُونُنَّ أَهۡدَىٰ مِنۡ إِحۡدَى ٱلۡأُمَمِۖ فَلَمَّا جَآءَهُمۡ نَذِيرٞ مَّا زَادَهُمۡ إِلَّا نُفُورًا
aur un kuffaar ne badi zoor daar qasam khaayi thi, ke agar un ke paas koyi daraane waala aaye to wo har ek ummath se zyaada hidaayath qubool karne waale honge, phir jab un ke paas ek paighambar aa pahonche to, bas un ki nafrath hee mein izaafa hoa
Surah Fatir, Verse 42
ٱسۡتِكۡبَارٗا فِي ٱلۡأَرۡضِ وَمَكۡرَ ٱلسَّيِّيِٕۚ وَلَا يَحِيقُ ٱلۡمَكۡرُ ٱلسَّيِّئُ إِلَّا بِأَهۡلِهِۦۚ فَهَلۡ يَنظُرُونَ إِلَّا سُنَّتَ ٱلۡأَوَّلِينَۚ فَلَن تَجِدَ لِسُنَّتِ ٱللَّهِ تَبۡدِيلٗاۖ وَلَن تَجِدَ لِسُنَّتِ ٱللَّهِ تَحۡوِيلًا
dunya mein apne ko bada samajhne ki wajeh se aur un ki buri tadhbiro ki wajeh aur buri tadhbiro ka wabaal un tadhbeer waalo hee par padta hai, so kya ye isi dastoor ke muntazir hai jo agle logo ke saath hota raha hai, so aap Allah ke dastoor ko kabhi badalta hoa na payenge aur aap Allah ke dastoor ko kabhi muntaqil hota hoa na payenge
Surah Fatir, Verse 43
أَوَلَمۡ يَسِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَيَنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ وَكَانُوٓاْ أَشَدَّ مِنۡهُمۡ قُوَّةٗۚ وَمَا كَانَ ٱللَّهُ لِيُعۡجِزَهُۥ مِن شَيۡءٖ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَلَا فِي ٱلۡأَرۡضِۚ إِنَّهُۥ كَانَ عَلِيمٗا قَدِيرٗا
aur kya ye log zameen mein chale phire nahi, jis mein dekhte bhaalte ke jo log un se pehle ho guzre hai un ka anjaam kya hao, halaan ke wo khuwwath mein un se bade hoye thein aur Allah aisa nahi hai ke koyi cheez us ko hara de, na asmaano mein aur na zameen mein, wo bade ilm wala badi khudrath waala hai
Surah Fatir, Verse 44
وَلَوۡ يُؤَاخِذُ ٱللَّهُ ٱلنَّاسَ بِمَا كَسَبُواْ مَا تَرَكَ عَلَىٰ ظَهۡرِهَا مِن دَآبَّةٖ وَلَٰكِن يُؤَخِّرُهُمۡ إِلَىٰٓ أَجَلٖ مُّسَمّٗىۖ فَإِذَا جَآءَ أَجَلُهُمۡ فَإِنَّ ٱللَّهَ كَانَ بِعِبَادِهِۦ بَصِيرَۢا
aur agar Allah ta’ala logo par un ke amaal ke sabab daaro-geer5 farmaane lagta to, roye zameen par ek jaandaar ko na chohd ta, lekin Allah ta’ala un ko ek miyaadh mu’ayyan tak muhallath de raha hai, so jab un ki wo miyaadh aa pahonchegi, Allah ta’ala apne bandho ko aap dekh lega
Surah Fatir, Verse 45