Surah Fatir - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ فَاطِرِ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِ جَاعِلِ ٱلۡمَلَـٰٓئِكَةِ رُسُلًا أُوْلِيٓ أَجۡنِحَةٖ مَّثۡنَىٰ وَثُلَٰثَ وَرُبَٰعَۚ يَزِيدُ فِي ٱلۡخَلۡقِ مَا يَشَآءُۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٞ
Tareef Allah hi ke liye hai jo aasmaano aur zameen ka banane wala aur Farishton ko paigham rasaan muqarrar karne wala hai. (Aisey Farishtey) jinke do do aur teen teen aur chaar chaar baazu (wings) hain. Woh apni makhooq ki saakht mein jaisa chahta hai izafa karta hai. Yaqeenan Allah har cheez par qadir hai
Surah Fatir, Verse 1
مَّا يَفۡتَحِ ٱللَّهُ لِلنَّاسِ مِن رَّحۡمَةٖ فَلَا مُمۡسِكَ لَهَاۖ وَمَا يُمۡسِكۡ فَلَا مُرۡسِلَ لَهُۥ مِنۢ بَعۡدِهِۦۚ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Allah jis rehmat ka darwaza bhi logon ke liye khol de usey koi roakne wala nahin, aur jisey woh bandh karde usey Allah ke baad phir koi dusra kholne wala nahin. Woh zabardast aur hakeem hai
Surah Fatir, Verse 2
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ ٱذۡكُرُواْ نِعۡمَتَ ٱللَّهِ عَلَيۡكُمۡۚ هَلۡ مِنۡ خَٰلِقٍ غَيۡرُ ٱللَّهِ يَرۡزُقُكُم مِّنَ ٱلسَّمَآءِ وَٱلۡأَرۡضِۚ لَآ إِلَٰهَ إِلَّا هُوَۖ فَأَنَّىٰ تُؤۡفَكُونَ
Logon, tumpar Allah ke jo ehsanaat hain unhein yaad rakkho, kya Allah ke siwa koi aur khaliq bhi hai jo tumhein aasmaan aur zameen se rizq deta ho? Koi mabood uske siwa nahin, Aakhir tum kahan se dhoka kha rahey ho
Surah Fatir, Verse 3
وَإِن يُكَذِّبُوكَ فَقَدۡ كُذِّبَتۡ رُسُلٞ مِّن قَبۡلِكَۚ وَإِلَى ٱللَّهِ تُرۡجَعُ ٱلۡأُمُورُ
Ab agar (aey Nabi) yeh log tumhein jhutlate hain (to yeh koi nayi baat nahin), tumse pehle bhi bahut se Rasool jhutlaye ja chuke hain, aur sarey maamlaat aakhir e kaar Allah hi ki taraf rujoo honay waley hain
Surah Fatir, Verse 4
يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ إِنَّ وَعۡدَ ٱللَّهِ حَقّٞۖ فَلَا تَغُرَّنَّكُمُ ٱلۡحَيَوٰةُ ٱلدُّنۡيَا وَلَا يَغُرَّنَّكُم بِٱللَّهِ ٱلۡغَرُورُ
Logon, Allah ka waada yaqeenan barhaqq (saccha) hai, lihaza duniya ki zindagi tumhein dhoke mein na daley aur na woh bada dhokebaaz tumhein Allah ke barey mein dhoka dene paye
Surah Fatir, Verse 5
إِنَّ ٱلشَّيۡطَٰنَ لَكُمۡ عَدُوّٞ فَٱتَّخِذُوهُ عَدُوًّاۚ إِنَّمَا يَدۡعُواْ حِزۡبَهُۥ لِيَكُونُواْ مِنۡ أَصۡحَٰبِ ٱلسَّعِيرِ
Dar haqeeqat shaytan tumhara dushman hai is liye tum bhi usey apna dushman hi samjho, woh to apne pairawon ko apni raah par is liye bula raha hai ke woh dozakhiyon mein shamil ho jayein
Surah Fatir, Verse 6
ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَهُمۡ عَذَابٞ شَدِيدٞۖ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِ لَهُم مَّغۡفِرَةٞ وَأَجۡرٞ كَبِيرٌ
Jo log kufr karenge unke liye sakht azaab hai aur jo iman layenge aur neik amal karenge unke liye magfirat aur bada ajar hai
Surah Fatir, Verse 7
أَفَمَن زُيِّنَ لَهُۥ سُوٓءُ عَمَلِهِۦ فَرَءَاهُ حَسَنٗاۖ فَإِنَّ ٱللَّهَ يُضِلُّ مَن يَشَآءُ وَيَهۡدِي مَن يَشَآءُۖ فَلَا تَذۡهَبۡ نَفۡسُكَ عَلَيۡهِمۡ حَسَرَٰتٍۚ إِنَّ ٱللَّهَ عَلِيمُۢ بِمَا يَصۡنَعُونَ
(Bhala kuch thikana hai us shaks ki gumraahi ka) jiske liye uska bura amal khushnuma bana diya gaya ho aur woh usey accha samajh raha ho? Haqeeqat yeh hai ke Allah jisey chahta hai gumrahi mein daal deta hai aur jisey chahta hai raah e raast dikha deta hai.Pas (aey Nabi) kha-ma-kha tumhari jaan in logon ki khatir gham-o-afsos mein na ghulay. Jo kuch yeh kar rahey hain Allah usko khoob jaanta hai
Surah Fatir, Verse 8
وَٱللَّهُ ٱلَّذِيٓ أَرۡسَلَ ٱلرِّيَٰحَ فَتُثِيرُ سَحَابٗا فَسُقۡنَٰهُ إِلَىٰ بَلَدٖ مَّيِّتٖ فَأَحۡيَيۡنَا بِهِ ٱلۡأَرۡضَ بَعۡدَ مَوۡتِهَاۚ كَذَٰلِكَ ٱلنُّشُورُ
Woh Allah hi to hai jo hawaon ko bhejta hai, phir woh baadal uthati hain, phir hum usey ek ujadh (banjar) ilakey ki taraf le jatey hain aur usi zameen ko jila uthate hain jo mari padi thi. Marey huey Insano ka jee uthna bhi isi tarah hoga
Surah Fatir, Verse 9
مَن كَانَ يُرِيدُ ٱلۡعِزَّةَ فَلِلَّهِ ٱلۡعِزَّةُ جَمِيعًاۚ إِلَيۡهِ يَصۡعَدُ ٱلۡكَلِمُ ٱلطَّيِّبُ وَٱلۡعَمَلُ ٱلصَّـٰلِحُ يَرۡفَعُهُۥۚ وَٱلَّذِينَ يَمۡكُرُونَ ٱلسَّيِّـَٔاتِ لَهُمۡ عَذَابٞ شَدِيدٞۖ وَمَكۡرُ أُوْلَـٰٓئِكَ هُوَ يَبُورُ
Jo koi izzat chahta ho usey maloom hona chahiye ke izzat saari ki saari Allah ki hai. Uske haan jo cheez upar chadhti hai woh sirf pakeezah qaul(baat/words) hai, aur amal e saleh usko upar chadhata hai. Rahey woh log jo behuda chaal baaziyan karte hain, unke liye sakht azaab hai aur unka makar (plotting) khud hi gaarat honay wala hai
Surah Fatir, Verse 10
وَٱللَّهُ خَلَقَكُم مِّن تُرَابٖ ثُمَّ مِن نُّطۡفَةٖ ثُمَّ جَعَلَكُمۡ أَزۡوَٰجٗاۚ وَمَا تَحۡمِلُ مِنۡ أُنثَىٰ وَلَا تَضَعُ إِلَّا بِعِلۡمِهِۦۚ وَمَا يُعَمَّرُ مِن مُّعَمَّرٖ وَلَا يُنقَصُ مِنۡ عُمُرِهِۦٓ إِلَّا فِي كِتَٰبٍۚ إِنَّ ذَٰلِكَ عَلَى ٱللَّهِ يَسِيرٞ
Allah ne tumko mitti se paida kiya, phir nutfey(drop of sperm) se, phir tumhare joday bana diye (yani mard aur aurat). Koi aurat hamila (conceive) nahin hoti aur na baccha janti hai magar yeh sab kuch Allah ke ilm mein hota hai. Koi umar paney wala umar nahin paata aur na kisi ki umar mein kuch kami hoti hai magar yeh sab kuch ek kitaab mein likha hota hai. Allah ke liye yeh bahut aasaan kaam hai
Surah Fatir, Verse 11
وَمَا يَسۡتَوِي ٱلۡبَحۡرَانِ هَٰذَا عَذۡبٞ فُرَاتٞ سَآئِغٞ شَرَابُهُۥ وَهَٰذَا مِلۡحٌ أُجَاجٞۖ وَمِن كُلّٖ تَأۡكُلُونَ لَحۡمٗا طَرِيّٗا وَتَسۡتَخۡرِجُونَ حِلۡيَةٗ تَلۡبَسُونَهَاۖ وَتَرَى ٱلۡفُلۡكَ فِيهِ مَوَاخِرَ لِتَبۡتَغُواْ مِن فَضۡلِهِۦ وَلَعَلَّكُمۡ تَشۡكُرُونَ
Aur pani ke dono zakheere yaksan nahin hain. Ek meetha aur pyaas bujhane wala hai, peene mein khushgawar, aur dusra sakht khari (salty) ke halaq sheel de(bitter on the tongue), magar dono se tum tar-o-taaza gosht haasil karte ho. Pehanne ke liye zeenat ka samaan nikalte ho, aur isi pani mein tum dekhte ho ke kashtiyan uska seena cheerti chali jaa rahi hain taa-ke tum Allah ka fazal talash karo aur uske shukar guzar bano
Surah Fatir, Verse 12
يُولِجُ ٱلَّيۡلَ فِي ٱلنَّهَارِ وَيُولِجُ ٱلنَّهَارَ فِي ٱلَّيۡلِ وَسَخَّرَ ٱلشَّمۡسَ وَٱلۡقَمَرَۖ كُلّٞ يَجۡرِي لِأَجَلٖ مُّسَمّٗىۚ ذَٰلِكُمُ ٱللَّهُ رَبُّكُمۡ لَهُ ٱلۡمُلۡكُۚ وَٱلَّذِينَ تَدۡعُونَ مِن دُونِهِۦ مَا يَمۡلِكُونَ مِن قِطۡمِيرٍ
Woh din ke andar raat ko aur raat ke andar din ko pirota hua le aata hai.Chand aur Suraj ko usne musakkhar kar rakkha hai. Yeh sab kuch ek waqt-e-muqarrar tak chale jaa raha hain. Wahi Allah (jiske yeh sarey kaam hai) tumhara Rubb hai, baadshahi usi ki hai usey chodh kar jin dusron ko tum pukarte ho woh ek parekaah (skin of a date-stone) ke maalik bhi nahin hai
Surah Fatir, Verse 13
إِن تَدۡعُوهُمۡ لَا يَسۡمَعُواْ دُعَآءَكُمۡ وَلَوۡ سَمِعُواْ مَا ٱسۡتَجَابُواْ لَكُمۡۖ وَيَوۡمَ ٱلۡقِيَٰمَةِ يَكۡفُرُونَ بِشِرۡكِكُمۡۚ وَلَا يُنَبِّئُكَ مِثۡلُ خَبِيرٖ
Inhein pukaro to woh tumhari duaein sun nahin sakte.Aur sun lein to unka tumhein koi jawab nahin de sakte.Aur qayamat ke roz woh tumhare shirk ka inkar kardenge. Haqeeqat e haal ki aisi saheeh khabar tumhein ek khabardar ke siwa koi nahin de sakta
Surah Fatir, Verse 14
۞يَـٰٓأَيُّهَا ٱلنَّاسُ أَنتُمُ ٱلۡفُقَرَآءُ إِلَى ٱللَّهِۖ وَٱللَّهُ هُوَ ٱلۡغَنِيُّ ٱلۡحَمِيدُ
Logon, Tum hi Allah ke mohtaj ho aur Allah to Gani(Self-Sufficient) o Hameed (Immensely Praiseworthy) hai
Surah Fatir, Verse 15
إِن يَشَأۡ يُذۡهِبۡكُمۡ وَيَأۡتِ بِخَلۡقٖ جَدِيدٖ
Woh chahey to tumhein hata kar koi nayi khalqat (creation) tumhari jagah le aaye
Surah Fatir, Verse 16
وَمَا ذَٰلِكَ عَلَى ٱللَّهِ بِعَزِيزٖ
Aisa karna Allah ke liye kuch bhi dushwar nahin
Surah Fatir, Verse 17
وَلَا تَزِرُ وَازِرَةٞ وِزۡرَ أُخۡرَىٰۚ وَإِن تَدۡعُ مُثۡقَلَةٌ إِلَىٰ حِمۡلِهَا لَا يُحۡمَلۡ مِنۡهُ شَيۡءٞ وَلَوۡ كَانَ ذَا قُرۡبَىٰٓۗ إِنَّمَا تُنذِرُ ٱلَّذِينَ يَخۡشَوۡنَ رَبَّهُم بِٱلۡغَيۡبِ وَأَقَامُواْ ٱلصَّلَوٰةَۚ وَمَن تَزَكَّىٰ فَإِنَّمَا يَتَزَكَّىٰ لِنَفۡسِهِۦۚ وَإِلَى ٱللَّهِ ٱلۡمَصِيرُ
Koi bojh uthane wala kisi dusre ka bojh na uthayega.Aur agar koi lada hua (heavily laden) nafs apna bojh uthane ke liye pukarega to uske baar ka ek adna (chota) hissa bhi batane ke liye koi na aayega chahe woh kareeb-tareen rishtedar hi kyun na ho. (Aey Nabi) tum sirf unhi logon ko mutanabbeh (warn) kar sakte ho jo bay-dekhe apne Rubb se darte hain aur namaz qayam karte hain. Jo shaks bhi pakeezgi ikhtiyar karta hai apne hi bhalayi ke liye karta hai aur palatna sabko Allah hi ki taraf hai
Surah Fatir, Verse 18
وَمَا يَسۡتَوِي ٱلۡأَعۡمَىٰ وَٱلۡبَصِيرُ
Andha aur aankhon wala barabar nahin hai
Surah Fatir, Verse 19
وَلَا ٱلظُّلُمَٰتُ وَلَا ٱلنُّورُ
Na tareekiyan (darkness) aur roshni yaksan hain
Surah Fatir, Verse 20
وَلَا ٱلظِّلُّ وَلَا ٱلۡحَرُورُ
Na thandi chaaon aur dhoop ki tapish ek jaisi hai
Surah Fatir, Verse 21
وَمَا يَسۡتَوِي ٱلۡأَحۡيَآءُ وَلَا ٱلۡأَمۡوَٰتُۚ إِنَّ ٱللَّهَ يُسۡمِعُ مَن يَشَآءُۖ وَمَآ أَنتَ بِمُسۡمِعٖ مَّن فِي ٱلۡقُبُورِ
Aur na zinde aur murde musavi (barabar) hain. Allah jisey chahta hai sunwata (hear) hai, magar (aey Nabi) tum un logon ko nahin suna sakte ho qabaron mein madfoon hain
Surah Fatir, Verse 22
إِنۡ أَنتَ إِلَّا نَذِيرٌ
Tum to bas ek khabardar karne waley ho
Surah Fatir, Verse 23
إِنَّآ أَرۡسَلۡنَٰكَ بِٱلۡحَقِّ بَشِيرٗا وَنَذِيرٗاۚ وَإِن مِّنۡ أُمَّةٍ إِلَّا خَلَا فِيهَا نَذِيرٞ
Humne tumko haqq ke saath bheja hai. Basharat (khush khabri) dene wala aur darane wala banakar. Aur koi ummat aisi nahin guzri hai jismein koi mutanabbeh (warn) karne wala na aaya ho
Surah Fatir, Verse 24
وَإِن يُكَذِّبُوكَ فَقَدۡ كَذَّبَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ جَآءَتۡهُمۡ رُسُلُهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ وَبِٱلزُّبُرِ وَبِٱلۡكِتَٰبِ ٱلۡمُنِيرِ
Ab agar yeh log tumhein jhutlate hain to insey pehle guzre huey log bhi jhutla chuke hain. Unke paas unke Rasool khule dalail (proofs) aur saheefay (scriptures) aur roshan hidayaat (guidance) dene wali kitaab lekar aaye thay
Surah Fatir, Verse 25
ثُمَّ أَخَذۡتُ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْۖ فَكَيۡفَ كَانَ نَكِيرِ
Phir jin logon ne na maana unko maine pakad liya aur dekhlo ke meri saza kaisi sakht thi
Surah Fatir, Verse 26
أَلَمۡ تَرَ أَنَّ ٱللَّهَ أَنزَلَ مِنَ ٱلسَّمَآءِ مَآءٗ فَأَخۡرَجۡنَا بِهِۦ ثَمَرَٰتٖ مُّخۡتَلِفًا أَلۡوَٰنُهَاۚ وَمِنَ ٱلۡجِبَالِ جُدَدُۢ بِيضٞ وَحُمۡرٞ مُّخۡتَلِفٌ أَلۡوَٰنُهَا وَغَرَابِيبُ سُودٞ
Kya tum dekhte nahin ho ke Allah aasmaan se pani barsata hai aur phir iske zariye se hum tarah tarah ke phal nikal latey hain jinke rang mukhtalif hotey hain. Pahadon mein bhi safed (white), surkh (red) aur gehri siyah(pitchy black) dhariyan payi jaati hain jinke rang mukhtalif hotay hain
Surah Fatir, Verse 27
وَمِنَ ٱلنَّاسِ وَٱلدَّوَآبِّ وَٱلۡأَنۡعَٰمِ مُخۡتَلِفٌ أَلۡوَٰنُهُۥ كَذَٰلِكَۗ إِنَّمَا يَخۡشَى ٱللَّهَ مِنۡ عِبَادِهِ ٱلۡعُلَمَـٰٓؤُاْۗ إِنَّ ٱللَّهَ عَزِيزٌ غَفُورٌ
Aur isi tarah Insano aur jaanwaron aur maweshiyon ke rang bhi mukhtalif hain. Haqeeqat yeh hai ke Allah ke bandon mein se sirf ilm rakhne wale log hi ussey darte hain. Beshak Allah zabardast aur darguzar farmane wala hai
Surah Fatir, Verse 28
إِنَّ ٱلَّذِينَ يَتۡلُونَ كِتَٰبَ ٱللَّهِ وَأَقَامُواْ ٱلصَّلَوٰةَ وَأَنفَقُواْ مِمَّا رَزَقۡنَٰهُمۡ سِرّٗا وَعَلَانِيَةٗ يَرۡجُونَ تِجَٰرَةٗ لَّن تَبُورَ
Jo log kitaabullah ki tilawat karte hain aur namaz qayam karte hain, aur jo kuch humne unhein rizq diya hai usmein se khule aur chupey kharch karte hain, yaqeenan woh ek aisi tijarat ke mutawaqqeh (umeedwaar) hain jismein hargiz khasara(nuksan) na hoga
Surah Fatir, Verse 29
لِيُوَفِّيَهُمۡ أُجُورَهُمۡ وَيَزِيدَهُم مِّن فَضۡلِهِۦٓۚ إِنَّهُۥ غَفُورٞ شَكُورٞ
(Is tijarat mein unhon ne apna sabkuch is liye khapaya hai) taa-ke Allah unke ajar pooray ke pooray unko de aur mazeed apne fazal se unko ata farmaye. Beshak Allah bakshne wala aur qadardaan (appreciative) hai
Surah Fatir, Verse 30
وَٱلَّذِيٓ أَوۡحَيۡنَآ إِلَيۡكَ مِنَ ٱلۡكِتَٰبِ هُوَ ٱلۡحَقُّ مُصَدِّقٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيۡهِۗ إِنَّ ٱللَّهَ بِعِبَادِهِۦ لَخَبِيرُۢ بَصِيرٞ
(Aey Nabi) jo kitaab humne tumhari taraf wahee ke zariye se bheji hai wahi haqq hai, tasdeeq (confirm) karti hui aayi hai un kitaabon ki jo issey pehle aayi thin. Beshak Allah apne bandon ke haal se bakhabar hai, aur har cheez par nigaah rakhne wala hai
Surah Fatir, Verse 31
ثُمَّ أَوۡرَثۡنَا ٱلۡكِتَٰبَ ٱلَّذِينَ ٱصۡطَفَيۡنَا مِنۡ عِبَادِنَاۖ فَمِنۡهُمۡ ظَالِمٞ لِّنَفۡسِهِۦ وَمِنۡهُم مُّقۡتَصِدٞ وَمِنۡهُمۡ سَابِقُۢ بِٱلۡخَيۡرَٰتِ بِإِذۡنِ ٱللَّهِۚ ذَٰلِكَ هُوَ ٱلۡفَضۡلُ ٱلۡكَبِيرُ
Phir humne is kitaab ka waris bana diya un logon ko jinhein humne (is virasat ke liye) apne bandon mein se chun liya. Ab koi to inmein se apne nafs par zulm karne wala hai, aur koi beach ki raas hai (medium course), aur koi Allah ke izan se nekiyon mein sabaqat karne wala (aagey badne wala) hai, yahi bahut bada fazal hai
Surah Fatir, Verse 32
جَنَّـٰتُ عَدۡنٖ يَدۡخُلُونَهَا يُحَلَّوۡنَ فِيهَا مِنۡ أَسَاوِرَ مِن ذَهَبٖ وَلُؤۡلُؤٗاۖ وَلِبَاسُهُمۡ فِيهَا حَرِيرٞ
Hamesha rehne wali jannatein hain jinmein yeh log dakhil hongey, wahan inhein soonay (gold) ke kangano (bracelets) aur motiyon (pearls) se aarasta (adorn) kiya jayega, wahan inka libas resham hoga
Surah Fatir, Verse 33
وَقَالُواْ ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ ٱلَّذِيٓ أَذۡهَبَ عَنَّا ٱلۡحَزَنَۖ إِنَّ رَبَّنَا لَغَفُورٞ شَكُورٌ
Aur woh kahenge ke shukar hai us khuda ka jisne humse gham door kardiya, yaqeenan hamara Rubb maaf karne wala aur qadar farmane wala hai
Surah Fatir, Verse 34
ٱلَّذِيٓ أَحَلَّنَا دَارَ ٱلۡمُقَامَةِ مِن فَضۡلِهِۦ لَا يَمَسُّنَا فِيهَا نَصَبٞ وَلَا يَمَسُّنَا فِيهَا لُغُوبٞ
Jisne humein apne fazal se abadi (hamesha ke) qayam ki jagah thehra diya, ab yahan na humein koi mushaqqat pesh aati hai aur na thakaan lahiq hoti hai
Surah Fatir, Verse 35
وَٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَهُمۡ نَارُ جَهَنَّمَ لَا يُقۡضَىٰ عَلَيۡهِمۡ فَيَمُوتُواْ وَلَا يُخَفَّفُ عَنۡهُم مِّنۡ عَذَابِهَاۚ كَذَٰلِكَ نَجۡزِي كُلَّ كَفُورٖ
Aur jin logon ne kufr kiya hai unke liye jahannum ki aag hai, na unka qissa paak kardiya jayega ke marr jayein aur na unke liye jahannum ke azaab mein koi kami ki jayegi. Is tarah hum badla detey hain har us shaks ko jo kufr karne wala hai
Surah Fatir, Verse 36
وَهُمۡ يَصۡطَرِخُونَ فِيهَا رَبَّنَآ أَخۡرِجۡنَا نَعۡمَلۡ صَٰلِحًا غَيۡرَ ٱلَّذِي كُنَّا نَعۡمَلُۚ أَوَلَمۡ نُعَمِّرۡكُم مَّا يَتَذَكَّرُ فِيهِ مَن تَذَكَّرَ وَجَآءَكُمُ ٱلنَّذِيرُۖ فَذُوقُواْ فَمَا لِلظَّـٰلِمِينَ مِن نَّصِيرٍ
Woh wahan cheekh cheekh kar kahenge ke “Aey hamare Rubb humein yahan se nikal le taa-ke hum neik amal karein, un aamaal se mukhtalif jo pehle karte rahey thay.” (unhein jawab diya jayega) “Kya humne tumko itni umar na di thi ji mein koi sabaq lena chahta to sabaq le sakta tha? Aur tumhare paas mutanabbeh (warn) karne wala bhi aa chuka tha. Ab maza chakkho. Zaalimon ka yahan koi madadgaar nahin hai
Surah Fatir, Verse 37
إِنَّ ٱللَّهَ عَٰلِمُ غَيۡبِ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۚ إِنَّهُۥ عَلِيمُۢ بِذَاتِ ٱلصُّدُورِ
Beshak Allah aasmaano aur zameen ki har posheeda (chupi) cheez se waqif hai.Woh to seeno ke chupey huey raaz tak jaanta hai
Surah Fatir, Verse 38
هُوَ ٱلَّذِي جَعَلَكُمۡ خَلَـٰٓئِفَ فِي ٱلۡأَرۡضِۚ فَمَن كَفَرَ فَعَلَيۡهِ كُفۡرُهُۥۖ وَلَا يَزِيدُ ٱلۡكَٰفِرِينَ كُفۡرُهُمۡ عِندَ رَبِّهِمۡ إِلَّا مَقۡتٗاۖ وَلَا يَزِيدُ ٱلۡكَٰفِرِينَ كُفۡرُهُمۡ إِلَّا خَسَارٗا
Wahi to hai jisne tumko zameen mein khalifa banaya hai. Ab jo koi kufr karta hai uske kufr ka wabal (burden) usi par hai, aur kaafiron ko unka kufr iske siwa koi taraqqi nahin deta ke unke Rubb ka gazab unpar zyada se zyada bhadakta chala jaata hai. Kaafiron ke liye khasare (nuksan) mein izafey ke siwa koi taraqqi nahin
Surah Fatir, Verse 39
قُلۡ أَرَءَيۡتُمۡ شُرَكَآءَكُمُ ٱلَّذِينَ تَدۡعُونَ مِن دُونِ ٱللَّهِ أَرُونِي مَاذَا خَلَقُواْ مِنَ ٱلۡأَرۡضِ أَمۡ لَهُمۡ شِرۡكٞ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ أَمۡ ءَاتَيۡنَٰهُمۡ كِتَٰبٗا فَهُمۡ عَلَىٰ بَيِّنَتٖ مِّنۡهُۚ بَلۡ إِن يَعِدُ ٱلظَّـٰلِمُونَ بَعۡضُهُم بَعۡضًا إِلَّا غُرُورًا
(Aey Nabi) insey kaho, “kabhi tumne dekha bhi hai apne un shareekon ko jinhein tum khuda ko chodh kar pukara karte ho? Mujhey batao, unhon ne zameen mein kya paida kiya hai? Ya aasmaano mein unki kya shirkat hai?” (Agar yeh nahin bata sakte to insey pucho) kya humne inhein koi tehrir (written) likh kar di hai jiski bina par yeh (apne is shareek ke liye) koi saaf sanad rakhte hon? Nahin, balke yeh zaalim ek dusre ko mehaz fareb ke jhanse diye jaa rahe hain
Surah Fatir, Verse 40
۞إِنَّ ٱللَّهَ يُمۡسِكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ أَن تَزُولَاۚ وَلَئِن زَالَتَآ إِنۡ أَمۡسَكَهُمَا مِنۡ أَحَدٖ مِّنۢ بَعۡدِهِۦٓۚ إِنَّهُۥ كَانَ حَلِيمًا غَفُورٗا
Haqeeqat yeh hai ke Allah hi hai jo aasmaano aur zameen ko tal (displace) janey se roke huey hai, aur agar woh tal (displace) jayein to Allah ke baad koi dusra inhein thamnay (hold) wala nahin hai. Beshak Allah bada haleem (Forbearing) aur darguzar farmane wala hai
Surah Fatir, Verse 41
وَأَقۡسَمُواْ بِٱللَّهِ جَهۡدَ أَيۡمَٰنِهِمۡ لَئِن جَآءَهُمۡ نَذِيرٞ لَّيَكُونُنَّ أَهۡدَىٰ مِنۡ إِحۡدَى ٱلۡأُمَمِۖ فَلَمَّا جَآءَهُمۡ نَذِيرٞ مَّا زَادَهُمۡ إِلَّا نُفُورًا
Yeh log kadi kadi qasmein kha kar kaha karte thay ke agar koi khabardar karne wala unke haan aa gaya hota to yeh duniya ki har dusri qaum se badh kar raast-ro(better-guided ) hotay. Magar jab khabardar karne wala inke paas aa gaya to uski aamad (coming) ne inke andar haqq se farar ke siwa kisi cheez mein izafa na kiya
Surah Fatir, Verse 42
ٱسۡتِكۡبَارٗا فِي ٱلۡأَرۡضِ وَمَكۡرَ ٱلسَّيِّيِٕۚ وَلَا يَحِيقُ ٱلۡمَكۡرُ ٱلسَّيِّئُ إِلَّا بِأَهۡلِهِۦۚ فَهَلۡ يَنظُرُونَ إِلَّا سُنَّتَ ٱلۡأَوَّلِينَۚ فَلَن تَجِدَ لِسُنَّتِ ٱللَّهِ تَبۡدِيلٗاۖ وَلَن تَجِدَ لِسُنَّتِ ٱللَّهِ تَحۡوِيلًا
Yeh zameen mein aur zyada istakbaar (guroor) karne lagay aur buri buri chaalein chalne lagey, halanke buri chaalein chalne walon hi ko lay baithti hai. Ab kya yeh log iska intezar kar rahey hain ke pichli qaumon ke saath Allah ka jo tareeqa raha hai wahi inke saath bhi barta jaaye? Yahi baat hai to tum Allah ke tareeqe mein hargiz koi tabdili na paogey aur tum kabhi na dekhoge ke Allah ki sunnat ko uske muqarrar raaste se koi taaqat pher sakti hai
Surah Fatir, Verse 43
أَوَلَمۡ يَسِيرُواْ فِي ٱلۡأَرۡضِ فَيَنظُرُواْ كَيۡفَ كَانَ عَٰقِبَةُ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ وَكَانُوٓاْ أَشَدَّ مِنۡهُمۡ قُوَّةٗۚ وَمَا كَانَ ٱللَّهُ لِيُعۡجِزَهُۥ مِن شَيۡءٖ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَلَا فِي ٱلۡأَرۡضِۚ إِنَّهُۥ كَانَ عَلِيمٗا قَدِيرٗا
Kya yeh log zameen mein kabhi chaley phirey nahin hain ke inhein un logon ka anjaam nazar aata jo insey pehle guzar chuke hain, aur insey bahut zyada taaqatwar thay? Allah ko koi cheez aajiz (frustrate) karne wali nahin hai, na aasmaano mein aur na zameen mein. Woh sab kuch jaanta hai aur har cheez par qudrat rakhta hai
Surah Fatir, Verse 44
وَلَوۡ يُؤَاخِذُ ٱللَّهُ ٱلنَّاسَ بِمَا كَسَبُواْ مَا تَرَكَ عَلَىٰ ظَهۡرِهَا مِن دَآبَّةٖ وَلَٰكِن يُؤَخِّرُهُمۡ إِلَىٰٓ أَجَلٖ مُّسَمّٗىۖ فَإِذَا جَآءَ أَجَلُهُمۡ فَإِنَّ ٱللَّهَ كَانَ بِعِبَادِهِۦ بَصِيرَۢا
Agar kahin woh logon ko unke kiye kartooton par pakadta to zameen par kisi mutanaffis (living creature) ko jeeta (zinda) na chodhta. Magar woh unhein ek muqarrar waqt tak ke liye mohlat de raha hai, phir jab unka waqt aan poora hoga to Allah apne bandon ko dekh lega
Surah Fatir, Verse 45