Surah Ya-Seen - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
يسٓ
Yasin
Surah Ya-Seen, Verse 1
وَٱلۡقُرۡءَانِ ٱلۡحَكِيمِ
Kasam hai Quran e Hakeem ki
Surah Ya-Seen, Verse 2
إِنَّكَ لَمِنَ ٱلۡمُرۡسَلِينَ
Ke tum yaqeenan Rasoolon mein se ho
Surah Ya-Seen, Verse 3
عَلَىٰ صِرَٰطٖ مُّسۡتَقِيمٖ
Seedhey raastey par ho
Surah Ya-Seen, Verse 4
تَنزِيلَ ٱلۡعَزِيزِ ٱلرَّحِيمِ
(Aur yeh Quran) gaalib aur Raheem hasti ka nazil karda hai
Surah Ya-Seen, Verse 5
لِتُنذِرَ قَوۡمٗا مَّآ أُنذِرَ ءَابَآؤُهُمۡ فَهُمۡ غَٰفِلُونَ
Taa-ke tum khabardar karo ek aisi qaum ko jiske baap dada khabardar na kiye gaye thay aur is wajah se woh gaflat mein padey huey hain
Surah Ya-Seen, Verse 6
لَقَدۡ حَقَّ ٱلۡقَوۡلُ عَلَىٰٓ أَكۡثَرِهِمۡ فَهُمۡ لَا يُؤۡمِنُونَ
Inmein se aksar log faisla-e-azaab ke mustahiq ho chuke hain, isi liye woh iman nahin latey
Surah Ya-Seen, Verse 7
إِنَّا جَعَلۡنَا فِيٓ أَعۡنَٰقِهِمۡ أَغۡلَٰلٗا فَهِيَ إِلَى ٱلۡأَذۡقَانِ فَهُم مُّقۡمَحُونَ
Humne unki gardano mein tauq (bedi /fetters) daal diye hain jinse woh thodiyon (chins) tak jakade gaye hain, isliye woh sar uthaye khade hain
Surah Ya-Seen, Verse 8
وَجَعَلۡنَا مِنۢ بَيۡنِ أَيۡدِيهِمۡ سَدّٗا وَمِنۡ خَلۡفِهِمۡ سَدّٗا فَأَغۡشَيۡنَٰهُمۡ فَهُمۡ لَا يُبۡصِرُونَ
Humne ek deewar unke aagey khadi kardi hai aur ek deewar unke peechey, humne unhein dhaank diya hai, unhein ab kuch nahin soojhta
Surah Ya-Seen, Verse 9
وَسَوَآءٌ عَلَيۡهِمۡ ءَأَنذَرۡتَهُمۡ أَمۡ لَمۡ تُنذِرۡهُمۡ لَا يُؤۡمِنُونَ
Unke liye yaksan hai, tum unhein khabardar karo ya na karo, yeh na maanengey
Surah Ya-Seen, Verse 10
إِنَّمَا تُنذِرُ مَنِ ٱتَّبَعَ ٱلذِّكۡرَ وَخَشِيَ ٱلرَّحۡمَٰنَ بِٱلۡغَيۡبِۖ فَبَشِّرۡهُ بِمَغۡفِرَةٖ وَأَجۡرٖ كَرِيمٍ
Tum to usi shaks ko khabardar kar sakte ho jo naseehat ki pairvi karey aur bay-dekhe khuda e rehman se darey, usey magfirat aur ajr-e-karim ki basharat (khush khabri) de do
Surah Ya-Seen, Verse 11
إِنَّا نَحۡنُ نُحۡيِ ٱلۡمَوۡتَىٰ وَنَكۡتُبُ مَا قَدَّمُواْ وَءَاثَٰرَهُمۡۚ وَكُلَّ شَيۡءٍ أَحۡصَيۡنَٰهُ فِيٓ إِمَامٖ مُّبِينٖ
Hum yaqeenan ek roz murdon ko zinda karne waley hain jo kuch afaal (aamal) unhon ne kiye hain woh sab hum likhte rahey hain, aur jo kuch aasaar unhon ne peechey chodhey hain woh bhi hum sabt (likh) rahey hain. Har cheez ko humne ek khuli kitaab mein darj kar rakkha hai
Surah Ya-Seen, Verse 12
وَٱضۡرِبۡ لَهُم مَّثَلًا أَصۡحَٰبَ ٱلۡقَرۡيَةِ إِذۡ جَآءَهَا ٱلۡمُرۡسَلُونَ
Inhein misaal ke taur par us basti walon ka qissa sunao jabke usmein Rasool aaye thay
Surah Ya-Seen, Verse 13
إِذۡ أَرۡسَلۡنَآ إِلَيۡهِمُ ٱثۡنَيۡنِ فَكَذَّبُوهُمَا فَعَزَّزۡنَا بِثَالِثٖ فَقَالُوٓاْ إِنَّآ إِلَيۡكُم مُّرۡسَلُونَ
Humne unki taraf do Rasool bheje aur unhon ne dono ko jhutla diya phir humne teesra madad ke liye bheja aur unsab ne kaha “Hum tumhari taraf Rasool ki haisiyat se bheje gaye hain”
Surah Ya-Seen, Verse 14
قَالُواْ مَآ أَنتُمۡ إِلَّا بَشَرٞ مِّثۡلُنَا وَمَآ أَنزَلَ ٱلرَّحۡمَٰنُ مِن شَيۡءٍ إِنۡ أَنتُمۡ إِلَّا تَكۡذِبُونَ
Basti walon ne kaha “ tum kuch nahin ho magar hum jaise chandh Insaan, aur khuda e rehman ne hargiz koi cheez nazil nahin ki hai, tum mehaz jhoot boltey ho.”
Surah Ya-Seen, Verse 15
قَالُواْ رَبُّنَا يَعۡلَمُ إِنَّآ إِلَيۡكُمۡ لَمُرۡسَلُونَ
Rasoolon ne kaha “ hamara Rubb jaanta hai ke hum zarooor tumhari taraf Rasool bana kar bheje gaye hain
Surah Ya-Seen, Verse 16
وَمَا عَلَيۡنَآ إِلَّا ٱلۡبَلَٰغُ ٱلۡمُبِينُ
Aur humpar saaf saaf paigham pahuncha dene ke siwa koi zimmedari nahin hai”
Surah Ya-Seen, Verse 17
قَالُوٓاْ إِنَّا تَطَيَّرۡنَا بِكُمۡۖ لَئِن لَّمۡ تَنتَهُواْ لَنَرۡجُمَنَّكُمۡ وَلَيَمَسَّنَّكُم مِّنَّا عَذَابٌ أَلِيمٞ
Basti waley kehne lagey “hum to tumhein apne liye faal-e-badd (manhoos) samajhte hain , agar tum baaz na aaye to hum tumko sangsaar(stoning) kar dengey aur humse tum badi dardnaak saza paogey”
Surah Ya-Seen, Verse 18
قَالُواْ طَـٰٓئِرُكُم مَّعَكُمۡ أَئِن ذُكِّرۡتُمۚ بَلۡ أَنتُمۡ قَوۡمٞ مُّسۡرِفُونَ
Rasoolon ne jawab diya “tumhari faal-e-badd (nahusat) to tumhare apne saath lagi hui hai , kya yeh baatein tum isliye karte ho ke tumhein naseehat ki gayi? Asal baat yeh hai ke tum hadd se guzre huey log ho”
Surah Ya-Seen, Verse 19
وَجَآءَ مِنۡ أَقۡصَا ٱلۡمَدِينَةِ رَجُلٞ يَسۡعَىٰ قَالَ يَٰقَوۡمِ ٱتَّبِعُواْ ٱلۡمُرۡسَلِينَ
Itne mein shehar ke door daraaz goshey se ek shaks daudta hua aaya aur bola “Aey meri qaum ke logon, Rasoolon ki pairwi ikhtiyar karlo
Surah Ya-Seen, Verse 20
ٱتَّبِعُواْ مَن لَّا يَسۡـَٔلُكُمۡ أَجۡرٗا وَهُم مُّهۡتَدُونَ
Pairwi karo un logon ki jo tumse koi ajar nahin chahte aur theek raaste par hain
Surah Ya-Seen, Verse 21
وَمَالِيَ لَآ أَعۡبُدُ ٱلَّذِي فَطَرَنِي وَإِلَيۡهِ تُرۡجَعُونَ
Aakhir kyun na main us hasti ki bandagi karoon jisne mujhey paida kiya hai aur jiski taraf tum sabko palat kar jana hai
Surah Ya-Seen, Verse 22
ءَأَتَّخِذُ مِن دُونِهِۦٓ ءَالِهَةً إِن يُرِدۡنِ ٱلرَّحۡمَٰنُ بِضُرّٖ لَّا تُغۡنِ عَنِّي شَفَٰعَتُهُمۡ شَيۡـٔٗا وَلَا يُنقِذُونِ
Kya main usey chodh kar dusre ko mabood bana loon? Halaanke agar khuda e Rehman mujhey koi nuksaan pahunchana chahe to na unki shafaat mere kisi kaam aa sakti hai aur na woh mujhey chuda hi sakte hain
Surah Ya-Seen, Verse 23
إِنِّيٓ إِذٗا لَّفِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٍ
Agar main aisa karoon to main sareeh gumraahi mein mubtala ho jaunga
Surah Ya-Seen, Verse 24
إِنِّيٓ ءَامَنتُ بِرَبِّكُمۡ فَٱسۡمَعُونِ
Main to tumhare Rubb par iman le aaya, tum bhi meri baat maan lo.”
Surah Ya-Seen, Verse 25
قِيلَ ٱدۡخُلِ ٱلۡجَنَّةَۖ قَالَ يَٰلَيۡتَ قَوۡمِي يَعۡلَمُونَ
(aakhir e kaar un logon ne usey qatal kardiya aur) us shaks se kehdiya gaya ke “daakhil ho ja jannat mein” usne kaha “kaash meri qaum ko maaloom hota
Surah Ya-Seen, Verse 26
بِمَا غَفَرَ لِي رَبِّي وَجَعَلَنِي مِنَ ٱلۡمُكۡرَمِينَ
Ke mere Rubb ne kis cheez ki badaulat meri magfirat farma di aur mujhey ba-izzat logon mein daakhil farmaya”
Surah Ya-Seen, Verse 27
۞وَمَآ أَنزَلۡنَا عَلَىٰ قَوۡمِهِۦ مِنۢ بَعۡدِهِۦ مِن جُندٖ مِّنَ ٱلسَّمَآءِ وَمَا كُنَّا مُنزِلِينَ
Iske baad uski qaum par humne aasmaan se koi lashkar nahin utara , humein lashkar bhejne ki koi haajat na thi
Surah Ya-Seen, Verse 28
إِن كَانَتۡ إِلَّا صَيۡحَةٗ وَٰحِدَةٗ فَإِذَا هُمۡ خَٰمِدُونَ
Bas ek dhamaka hua aur yakayak woh sab bujh kar reh gaye
Surah Ya-Seen, Verse 29
يَٰحَسۡرَةً عَلَى ٱلۡعِبَادِۚ مَا يَأۡتِيهِم مِّن رَّسُولٍ إِلَّا كَانُواْ بِهِۦ يَسۡتَهۡزِءُونَ
Afsos bandon ke haal par, jo Rasool bhi unke paas aaya uska woh mazaaq hi udatey rahey
Surah Ya-Seen, Verse 30
أَلَمۡ يَرَوۡاْ كَمۡ أَهۡلَكۡنَا قَبۡلَهُم مِّنَ ٱلۡقُرُونِ أَنَّهُمۡ إِلَيۡهِمۡ لَا يَرۡجِعُونَ
Kya unhon ne dekha nahin ke unsey pehle kitni hi qaumon ko hum halaak kar chuke hain aur iske baad woh phir kabhi unki taraf palat kar na aaye
Surah Ya-Seen, Verse 31
وَإِن كُلّٞ لَّمَّا جَمِيعٞ لَّدَيۡنَا مُحۡضَرُونَ
Un sab ko ek roz hamare saamne haazir kiya jaana hai
Surah Ya-Seen, Verse 32
وَءَايَةٞ لَّهُمُ ٱلۡأَرۡضُ ٱلۡمَيۡتَةُ أَحۡيَيۡنَٰهَا وَأَخۡرَجۡنَا مِنۡهَا حَبّٗا فَمِنۡهُ يَأۡكُلُونَ
In logon ke liye be-jaan zameen ek nishani hai, humne isko zindagi bakshi aur issey galla (anaaj / grain) nikala jisey yeh khaate hain
Surah Ya-Seen, Verse 33
وَجَعَلۡنَا فِيهَا جَنَّـٰتٖ مِّن نَّخِيلٖ وَأَعۡنَٰبٖ وَفَجَّرۡنَا فِيهَا مِنَ ٱلۡعُيُونِ
Humne ismein khajuron aur angooron ke baagh paida kiye aur uske andar chashme (springs) phodh nikale
Surah Ya-Seen, Verse 34
لِيَأۡكُلُواْ مِن ثَمَرِهِۦ وَمَا عَمِلَتۡهُ أَيۡدِيهِمۡۚ أَفَلَا يَشۡكُرُونَ
Taa-ke yeh uske phal khayein, yeh sab kuch inke apne haathon ka paida kiya hua nahin hai phir kya yeh shukar ada nahin karte
Surah Ya-Seen, Verse 35
سُبۡحَٰنَ ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلۡأَزۡوَٰجَ كُلَّهَا مِمَّا تُنۢبِتُ ٱلۡأَرۡضُ وَمِنۡ أَنفُسِهِمۡ وَمِمَّا لَا يَعۡلَمُونَ
Paak hai woh zaat jisne jumla aqsaam ke joday paida kiye khwah woh zameen ki nabataat mein se hon ya khud inki apni jins (yani naw-e-Insani) mein se ya un ashyah mein se jinko yeh jaante tak nahin hain
Surah Ya-Seen, Verse 36
وَءَايَةٞ لَّهُمُ ٱلَّيۡلُ نَسۡلَخُ مِنۡهُ ٱلنَّهَارَ فَإِذَا هُم مُّظۡلِمُونَ
Inke liye ek aur nishani raat hai, hum uske upar se din hata dete hain to inpar andhera chaa jata hai
Surah Ya-Seen, Verse 37
وَٱلشَّمۡسُ تَجۡرِي لِمُسۡتَقَرّٖ لَّهَاۚ ذَٰلِكَ تَقۡدِيرُ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡعَلِيمِ
Aur Suraj, woh apne thikane ki taraf chala ja raha hai, yeh zabardat aleem(All-Knowing) hasti ka bandha hua hisaab hai
Surah Ya-Seen, Verse 38
وَٱلۡقَمَرَ قَدَّرۡنَٰهُ مَنَازِلَ حَتَّىٰ عَادَ كَٱلۡعُرۡجُونِ ٱلۡقَدِيمِ
Aur chand, uske liye humne manzilein muqarrar kardi hain yahan tak ke insey guzarta hua woh phir khajur ki sukhi shaakh (dry old branch) ke manind reh jata hai
Surah Ya-Seen, Verse 39
لَا ٱلشَّمۡسُ يَنۢبَغِي لَهَآ أَن تُدۡرِكَ ٱلۡقَمَرَ وَلَا ٱلَّيۡلُ سَابِقُ ٱلنَّهَارِۚ وَكُلّٞ فِي فَلَكٖ يَسۡبَحُونَ
Na Suraj ke bas mein yeh hai ke woh chand ko ja pakde aur na raat din par sabqat le ja sakti hai. Sab ek ek falak mein tair rahey hain
Surah Ya-Seen, Verse 40
وَءَايَةٞ لَّهُمۡ أَنَّا حَمَلۡنَا ذُرِّيَّتَهُمۡ فِي ٱلۡفُلۡكِ ٱلۡمَشۡحُونِ
Inke liye yeh bhi ek nishani hai ke humne inki nasal ko bhari hui kashti mein sawaar kardiya
Surah Ya-Seen, Verse 41
وَخَلَقۡنَا لَهُم مِّن مِّثۡلِهِۦ مَا يَرۡكَبُونَ
Aur phir inke liye waisi hi kashtiyan aur paida ki jinpar yeh sawaar hotay hain
Surah Ya-Seen, Verse 42
وَإِن نَّشَأۡ نُغۡرِقۡهُمۡ فَلَا صَرِيخَ لَهُمۡ وَلَا هُمۡ يُنقَذُونَ
Hum chahein to inko garq kardein, koi inki fariyad sunne wala na ho aur kisi tarah yeh na bachaye jaa sakein
Surah Ya-Seen, Verse 43
إِلَّا رَحۡمَةٗ مِّنَّا وَمَتَٰعًا إِلَىٰ حِينٖ
Bas hamari rehmat hi hai jo inhein paar lagati aur ek waqt e khaas tak zindagi se mutamatta (enjoyment) honay ka mauqa deti hai
Surah Ya-Seen, Verse 44
وَإِذَا قِيلَ لَهُمُ ٱتَّقُواْ مَا بَيۡنَ أَيۡدِيكُمۡ وَمَا خَلۡفَكُمۡ لَعَلَّكُمۡ تُرۡحَمُونَ
In logon se jab kaha jaata hai ke bacho us anjaam se jo tumhare aagey aa raha hai aur tumhare peechey guzar chukka hai, shayad ke tumpar reham kiya jaye (to yeh suni an suni kar jatey hain)
Surah Ya-Seen, Verse 45
وَمَا تَأۡتِيهِم مِّنۡ ءَايَةٖ مِّنۡ ءَايَٰتِ رَبِّهِمۡ إِلَّا كَانُواْ عَنۡهَا مُعۡرِضِينَ
Inke saamne inke Rubb ki aayat(nishani) mein se jo aayat(nishani) bhi aati hai yeh iski taraf iltifaat nahin karte
Surah Ya-Seen, Verse 46
وَإِذَا قِيلَ لَهُمۡ أَنفِقُواْ مِمَّا رَزَقَكُمُ ٱللَّهُ قَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لِلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ أَنُطۡعِمُ مَن لَّوۡ يَشَآءُ ٱللَّهُ أَطۡعَمَهُۥٓ إِنۡ أَنتُمۡ إِلَّا فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٖ
Aur jab insey kaha jaata hai ke Allah ne jo rizq tumhein ata kiya hai usmein se kuch Allah ki raah mein bhi kharch karo to yeh log jinhon ne kufr kiya hai iman laney walon ko jawab dete hain “ kya hum unko khilayein jinhein agar Allah chahta to khud khila deta? Tum to bilkul hi behak gaye ho”
Surah Ya-Seen, Verse 47
وَيَقُولُونَ مَتَىٰ هَٰذَا ٱلۡوَعۡدُ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
Yeh log kehte hain ke “yeh qayamat ki dhamki aakhir kab poori hogi? Batao agar tum sacche ho”
Surah Ya-Seen, Verse 48
مَا يَنظُرُونَ إِلَّا صَيۡحَةٗ وَٰحِدَةٗ تَأۡخُذُهُمۡ وَهُمۡ يَخِصِّمُونَ
Dar-asal yeh jis cheez ki raah takk rahey hain woh bas ek dhamaka hai jo yakayak inhein ain us halat mein dhar lega jab yeh (apne dunyavi maamlaat mein) jhagad rahey hongey
Surah Ya-Seen, Verse 49
فَلَا يَسۡتَطِيعُونَ تَوۡصِيَةٗ وَلَآ إِلَىٰٓ أَهۡلِهِمۡ يَرۡجِعُونَ
Aur us waqt yeh wasiyat tak na kar sakenge, na apne gharon ko palat sakenge
Surah Ya-Seen, Verse 50
وَنُفِخَ فِي ٱلصُّورِ فَإِذَا هُم مِّنَ ٱلۡأَجۡدَاثِ إِلَىٰ رَبِّهِمۡ يَنسِلُونَ
Phir ek soor (trumpet) phoonka jayega aur yakayak ye apne Rubb ke huzur pesh honay ke liye apni qabaron se nikal padenge
Surah Ya-Seen, Verse 51
قَالُواْ يَٰوَيۡلَنَا مَنۢ بَعَثَنَا مِن مَّرۡقَدِنَاۜۗ هَٰذَا مَا وَعَدَ ٱلرَّحۡمَٰنُ وَصَدَقَ ٱلۡمُرۡسَلُونَ
Ghabra kar kahenge : “Arey, yeh kisne humein hamari khwab-gaah se utha khada kiya?” Yeh wahi cheez hai jiska khuda e rehman ne wada kiya tha aur Rasoolon ki baat sacchi thi”
Surah Ya-Seen, Verse 52
إِن كَانَتۡ إِلَّا صَيۡحَةٗ وَٰحِدَةٗ فَإِذَا هُمۡ جَمِيعٞ لَّدَيۡنَا مُحۡضَرُونَ
Ek hi zoar ki aawaz hogi aur sab ke sab hamare saamne haazir kardiye jayenge
Surah Ya-Seen, Verse 53
فَٱلۡيَوۡمَ لَا تُظۡلَمُ نَفۡسٞ شَيۡـٔٗا وَلَا تُجۡزَوۡنَ إِلَّا مَا كُنتُمۡ تَعۡمَلُونَ
Aaj kisi par zarra barabar zulm na kiya jayega aur tumhein waisa hi badla diya jayega jaise amal tum karte rahe thay
Surah Ya-Seen, Verse 54
إِنَّ أَصۡحَٰبَ ٱلۡجَنَّةِ ٱلۡيَوۡمَ فِي شُغُلٖ فَٰكِهُونَ
Aaj jannati log mazey karne mein mashgul hain
Surah Ya-Seen, Verse 55
هُمۡ وَأَزۡوَٰجُهُمۡ فِي ظِلَٰلٍ عَلَى ٱلۡأَرَآئِكِ مُتَّكِـُٔونَ
Woh aur unki biwiyan ghanay saayon (shades) mein hain masnadon par takiye lagaye huey
Surah Ya-Seen, Verse 56
لَهُمۡ فِيهَا فَٰكِهَةٞ وَلَهُم مَّا يَدَّعُونَ
Har qisam ki lazeez cheezein khane peene ko unke liye wahan maujood hain, jo kuch woh talab karein unke liye haazir hai
Surah Ya-Seen, Verse 57
سَلَٰمٞ قَوۡلٗا مِّن رَّبّٖ رَّحِيمٖ
Rubb e Raheem ki taraf se unko salaam kaha gaya hai
Surah Ya-Seen, Verse 58
وَٱمۡتَٰزُواْ ٱلۡيَوۡمَ أَيُّهَا ٱلۡمُجۡرِمُونَ
Aur aey mujrimon, aaj tum chatt kar alag ho jao
Surah Ya-Seen, Verse 59
۞أَلَمۡ أَعۡهَدۡ إِلَيۡكُمۡ يَٰبَنِيٓ ءَادَمَ أَن لَّا تَعۡبُدُواْ ٱلشَّيۡطَٰنَۖ إِنَّهُۥ لَكُمۡ عَدُوّٞ مُّبِينٞ
Adam ke bacchon, kya maine tumko hidayat na ki thai ke shaytaan ki bandagi na karo, woh tumhara khula dushman hai
Surah Ya-Seen, Verse 60
وَأَنِ ٱعۡبُدُونِيۚ هَٰذَا صِرَٰطٞ مُّسۡتَقِيمٞ
Aur meri hi bandagi karo, yeh seedha raasta hai
Surah Ya-Seen, Verse 61
وَلَقَدۡ أَضَلَّ مِنكُمۡ جِبِلّٗا كَثِيرًاۖ أَفَلَمۡ تَكُونُواْ تَعۡقِلُونَ
Magar iske bawajood usne tum mein se ek giroh-e-kaseer (great multitude of you) ko gumraah kardiya, kya tum aqal nahin rakhte thay
Surah Ya-Seen, Verse 62
هَٰذِهِۦ جَهَنَّمُ ٱلَّتِي كُنتُمۡ تُوعَدُونَ
Yeh wahi jahannum hai jissey tumko daraya jata raha tha
Surah Ya-Seen, Verse 63
ٱصۡلَوۡهَا ٱلۡيَوۡمَ بِمَا كُنتُمۡ تَكۡفُرُونَ
Jo kufr tum duniya mein karte rahey ho uski padaish mein ab iska indhan (fuel) bano
Surah Ya-Seen, Verse 64
ٱلۡيَوۡمَ نَخۡتِمُ عَلَىٰٓ أَفۡوَٰهِهِمۡ وَتُكَلِّمُنَآ أَيۡدِيهِمۡ وَتَشۡهَدُ أَرۡجُلُهُم بِمَا كَانُواْ يَكۡسِبُونَ
Aaj hum inke mooh bandh kiye detey hain, inke haath humse bolenge aur inke paon gawahi denge ke yeh duniya mein kya kamayi karte rahey hain
Surah Ya-Seen, Verse 65
وَلَوۡ نَشَآءُ لَطَمَسۡنَا عَلَىٰٓ أَعۡيُنِهِمۡ فَٱسۡتَبَقُواْ ٱلصِّرَٰطَ فَأَنَّىٰ يُبۡصِرُونَ
Hum chahein to inki aankhein moond dein(obliterated their eyes), phir yeh raastey ki taraf lapak kar dekhein, kahan se inhein raasta sujhayi dega
Surah Ya-Seen, Verse 66
وَلَوۡ نَشَآءُ لَمَسَخۡنَٰهُمۡ عَلَىٰ مَكَانَتِهِمۡ فَمَا ٱسۡتَطَٰعُواْ مُضِيّٗا وَلَا يَرۡجِعُونَ
Hum chahein to inhein inki jagah hi par is taraf maskh (transform) karke rakh dein ke yeh na aagey chal sakein na peechey palat sakein
Surah Ya-Seen, Verse 67
وَمَن نُّعَمِّرۡهُ نُنَكِّسۡهُ فِي ٱلۡخَلۡقِۚ أَفَلَا يَعۡقِلُونَ
Jis shaks ko hum lambi umar dete hain iski saakht ko hum ulat hi dete hain (we reverse in creation), kya (yeh halaat dekh kar) inhein aqal nahin aati
Surah Ya-Seen, Verse 68
وَمَا عَلَّمۡنَٰهُ ٱلشِّعۡرَ وَمَا يَنۢبَغِي لَهُۥٓۚ إِنۡ هُوَ إِلَّا ذِكۡرٞ وَقُرۡءَانٞ مُّبِينٞ
Humne is (Nabi) ko sher nahin sikhaya hai aur na shayari isko zeib hi deti hai, yeh to ek naseehat hai aur saaf padhi janey wali kitaab
Surah Ya-Seen, Verse 69
لِّيُنذِرَ مَن كَانَ حَيّٗا وَيَحِقَّ ٱلۡقَوۡلُ عَلَى ٱلۡكَٰفِرِينَ
Taa-ke woh har us shaks ko khabardar karde jo zinda ho aur inkar karne walon par hujjat qayam ho jaye
Surah Ya-Seen, Verse 70
أَوَلَمۡ يَرَوۡاْ أَنَّا خَلَقۡنَا لَهُم مِّمَّا عَمِلَتۡ أَيۡدِينَآ أَنۡعَٰمٗا فَهُمۡ لَهَا مَٰلِكُونَ
Kya yeh log dekhte nahin hain ke humne apne haathon ki banayi hui cheezon mein se inke liye maweshi paida kiye aur ab yeh inke maalik hain
Surah Ya-Seen, Verse 71
وَذَلَّلۡنَٰهَا لَهُمۡ فَمِنۡهَا رَكُوبُهُمۡ وَمِنۡهَا يَأۡكُلُونَ
Humne unhein is tarah inke bas mein kardiya hai ke unmein se kisi par yeh sawaar hotey hain, kisika yeh gosht khate hain
Surah Ya-Seen, Verse 72
وَلَهُمۡ فِيهَا مَنَٰفِعُ وَمَشَارِبُۚ أَفَلَا يَشۡكُرُونَ
Aur unke andar inke liye tarah tarah ke fawaid (benefits) aur mashrubaat (drinks) hain phir kya yeh shukar guzar nahin hotay
Surah Ya-Seen, Verse 73
وَٱتَّخَذُواْ مِن دُونِ ٱللَّهِ ءَالِهَةٗ لَّعَلَّهُمۡ يُنصَرُونَ
Yeh sabkuch hotey huey inhon ne Allah ke siwa dusre khuda bana liye hain aur yeh umeed rakhte hain ke inki madad ki jayegi
Surah Ya-Seen, Verse 74
لَا يَسۡتَطِيعُونَ نَصۡرَهُمۡ وَهُمۡ لَهُمۡ جُندٞ مُّحۡضَرُونَ
Woh inki koi madad nahin kar sakte balke yeh log ultey unke liye hazir-baash lashkar (army in waiting ) baney huey hain
Surah Ya-Seen, Verse 75
فَلَا يَحۡزُنكَ قَوۡلُهُمۡۘ إِنَّا نَعۡلَمُ مَا يُسِرُّونَ وَمَا يُعۡلِنُونَ
Accha, jo baatein yeh bana rahey hain woh tumhein ranjeeda na karein, inki chupi aur khuli sab baaton ko hum jaante hain
Surah Ya-Seen, Verse 76
أَوَلَمۡ يَرَ ٱلۡإِنسَٰنُ أَنَّا خَلَقۡنَٰهُ مِن نُّطۡفَةٖ فَإِذَا هُوَ خَصِيمٞ مُّبِينٞ
Kya Insaan dekhta nahin hai ke humne usey nutfe(sperm drop) se paida kiya aur phir woh sareeh jhagdalu bankar khada ho gaya
Surah Ya-Seen, Verse 77
وَضَرَبَ لَنَا مَثَلٗا وَنَسِيَ خَلۡقَهُۥۖ قَالَ مَن يُحۡيِ ٱلۡعِظَٰمَ وَهِيَ رَمِيمٞ
Ab woh humpar misalein chaspan karta hai aur apni paidaish ko bhool jaata hai , kehta hai “kaun in haddiyon ko zinda karega jabke yeh boseeda (rotten) ho chuki hon?”
Surah Ya-Seen, Verse 78
قُلۡ يُحۡيِيهَا ٱلَّذِيٓ أَنشَأَهَآ أَوَّلَ مَرَّةٖۖ وَهُوَ بِكُلِّ خَلۡقٍ عَلِيمٌ
Ussey kaho,inhein wahi zinda karega jisne pehle inhein paida kiya tha, aur woh takhleeq (creation) ka har kaam jaanta hai
Surah Ya-Seen, Verse 79
ٱلَّذِي جَعَلَ لَكُم مِّنَ ٱلشَّجَرِ ٱلۡأَخۡضَرِ نَارٗا فَإِذَآ أَنتُم مِّنۡهُ تُوقِدُونَ
Wahi jisne tumhare liye harey bharey (green) darakht se aag paida kardi aur tum ussey apne chuleh (stoves) roshan karte ho
Surah Ya-Seen, Verse 80
أَوَلَيۡسَ ٱلَّذِي خَلَقَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ بِقَٰدِرٍ عَلَىٰٓ أَن يَخۡلُقَ مِثۡلَهُمۚ بَلَىٰ وَهُوَ ٱلۡخَلَّـٰقُ ٱلۡعَلِيمُ
Kya woh jisne aasmaano aur zameen ko paida kiya ispar qadir nahin hai ke in jaison ko paida kar sakey? Kyun nahin, jabke woh maahir khallaq (superb creator) hai
Surah Ya-Seen, Verse 81
إِنَّمَآ أَمۡرُهُۥٓ إِذَآ أَرَادَ شَيۡـًٔا أَن يَقُولَ لَهُۥ كُن فَيَكُونُ
Woh to jab kisi cheez ka irada karta hai to uska kaam bas yeh hai ke usey hukum de ke hoja aur woh jo jati hai
Surah Ya-Seen, Verse 82
فَسُبۡحَٰنَ ٱلَّذِي بِيَدِهِۦ مَلَكُوتُ كُلِّ شَيۡءٖ وَإِلَيۡهِ تُرۡجَعُونَ
Paak hai woh jiske haath mein har cheez ka mukammal iqtedar (full control) hai, aur usi ki taraf tum paltaye janey waale ho
Surah Ya-Seen, Verse 83