Surah Fatir Verse 42 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Fatirوَأَقۡسَمُواْ بِٱللَّهِ جَهۡدَ أَيۡمَٰنِهِمۡ لَئِن جَآءَهُمۡ نَذِيرٞ لَّيَكُونُنَّ أَهۡدَىٰ مِنۡ إِحۡدَى ٱلۡأُمَمِۖ فَلَمَّا جَآءَهُمۡ نَذِيرٞ مَّا زَادَهُمۡ إِلَّا نُفُورًا
Yeh log kadi kadi qasmein kha kar kaha karte thay ke agar koi khabardar karne wala unke haan aa gaya hota to yeh duniya ki har dusri qaum se badh kar raast-ro(better-guided ) hotay. Magar jab khabardar karne wala inke paas aa gaya to uski aamad (coming) ne inke andar haqq se farar ke siwa kisi cheez mein izafa na kiya