Surah Fatir Verse 41 - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
Surah Fatir۞إِنَّ ٱللَّهَ يُمۡسِكُ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضَ أَن تَزُولَاۚ وَلَئِن زَالَتَآ إِنۡ أَمۡسَكَهُمَا مِنۡ أَحَدٖ مِّنۢ بَعۡدِهِۦٓۚ إِنَّهُۥ كَانَ حَلِيمًا غَفُورٗا
Haqeeqat yeh hai ke Allah hi hai jo aasmaano aur zameen ko tal (displace) janey se roke huey hai, aur agar woh tal (displace) jayein to Allah ke baad koi dusra inhein thamnay (hold) wala nahin hai. Beshak Allah bada haleem (Forbearing) aur darguzar farmane wala hai