Surah Saba - Urdu Translation by Abul Ala Maududi
ٱلۡحَمۡدُ لِلَّهِ ٱلَّذِي لَهُۥ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَهُ ٱلۡحَمۡدُ فِي ٱلۡأٓخِرَةِۚ وَهُوَ ٱلۡحَكِيمُ ٱلۡخَبِيرُ
Hamd (tareef) us khuda ke liye hai jo aasmaano aur zameen ki har cheez ka maalik hai aur aakhirat mein bhi usi ke liye hamd hai. Woh dana (hikmat wala) aur bakhabar hai
Surah Saba, Verse 1
يَعۡلَمُ مَا يَلِجُ فِي ٱلۡأَرۡضِ وَمَا يَخۡرُجُ مِنۡهَا وَمَا يَنزِلُ مِنَ ٱلسَّمَآءِ وَمَا يَعۡرُجُ فِيهَاۚ وَهُوَ ٱلرَّحِيمُ ٱلۡغَفُورُ
Jo kuch zameen mein jata aur jo kuch ussey nikalta hai aur jo kuch aasmaan se utarta hai aur jo kuch usmein chadhta hai, har cheez ko woh jaanta hai.Woh raheem aur gafoor hai
Surah Saba, Verse 2
وَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَا تَأۡتِينَا ٱلسَّاعَةُۖ قُلۡ بَلَىٰ وَرَبِّي لَتَأۡتِيَنَّكُمۡ عَٰلِمِ ٱلۡغَيۡبِۖ لَا يَعۡزُبُ عَنۡهُ مِثۡقَالُ ذَرَّةٖ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَلَا فِي ٱلۡأَرۡضِ وَلَآ أَصۡغَرُ مِن ذَٰلِكَ وَلَآ أَكۡبَرُ إِلَّا فِي كِتَٰبٖ مُّبِينٖ
Mukireen kehte hain ke kya baat hai ke qayamat humpar nahin aa rahi hai! Kaho kasam hai mere aalim-ul-gaib parwardigar ki, woh tumpar aa kar raheygi. Ussey zarra barabar (atoms weight/smallest particle) koi cheez na aasmaano mein chupi hui hai na zameen mein na zarre se badi aur na ussey choti, sab kuch ek numaya daftar mein darj hai
Surah Saba, Verse 3
لِّيَجۡزِيَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ وَعَمِلُواْ ٱلصَّـٰلِحَٰتِۚ أُوْلَـٰٓئِكَ لَهُم مَّغۡفِرَةٞ وَرِزۡقٞ كَرِيمٞ
Aur yeh qayamat isliye aayegi ke jaza de Allah un logon ko jo imaan laye hain aur neik amal karte rahey hain. Unke liye magfirat hai aur rizq-e-kareem
Surah Saba, Verse 4
وَٱلَّذِينَ سَعَوۡ فِيٓ ءَايَٰتِنَا مُعَٰجِزِينَ أُوْلَـٰٓئِكَ لَهُمۡ عَذَابٞ مِّن رِّجۡزٍ أَلِيمٞ
Aur jin logon ne hamari aayat ko nicha dikhane ke liye zoar lagaya hai, unke liye badhtareen qisam ka dardnaak azaab hai
Surah Saba, Verse 5
وَيَرَى ٱلَّذِينَ أُوتُواْ ٱلۡعِلۡمَ ٱلَّذِيٓ أُنزِلَ إِلَيۡكَ مِن رَّبِّكَ هُوَ ٱلۡحَقَّ وَيَهۡدِيٓ إِلَىٰ صِرَٰطِ ٱلۡعَزِيزِ ٱلۡحَمِيدِ
(Aey Nabi), ilm rakhne waley khoob jaante hain ke jo kuch tumhare Rubb ki taraf se tumpar nazil kiya gaya hai woh sarasar haqq hai aur khuda-e-azeez o hameed ka raasta dikhata hai
Surah Saba, Verse 6
وَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ هَلۡ نَدُلُّكُمۡ عَلَىٰ رَجُلٖ يُنَبِّئُكُمۡ إِذَا مُزِّقۡتُمۡ كُلَّ مُمَزَّقٍ إِنَّكُمۡ لَفِي خَلۡقٖ جَدِيدٍ
Munkireen logon se kehte hain “hum batayein tumhein aisa shaks jo khabar deta hai ke jab tumhare jism ka zarra zarra muntashir (bikhara) ho chuka hoga us waqt tum naye sirey se paida kardiye jaogey
Surah Saba, Verse 7
أَفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ كَذِبًا أَم بِهِۦ جِنَّةُۢۗ بَلِ ٱلَّذِينَ لَا يُؤۡمِنُونَ بِٱلۡأٓخِرَةِ فِي ٱلۡعَذَابِ وَٱلضَّلَٰلِ ٱلۡبَعِيدِ
Na maloom yeh shaks Allah ke naam se jhoot ghadta hai ya isey junoon (deewana pan) lahiq hai.” Nahin, balke jo log aakhirat ko nahin maante woh azaab mein mubtala honay waley hain aur wahi buri tarah behke huey hain
Surah Saba, Verse 8
أَفَلَمۡ يَرَوۡاْ إِلَىٰ مَا بَيۡنَ أَيۡدِيهِمۡ وَمَا خَلۡفَهُم مِّنَ ٱلسَّمَآءِ وَٱلۡأَرۡضِۚ إِن نَّشَأۡ نَخۡسِفۡ بِهِمُ ٱلۡأَرۡضَ أَوۡ نُسۡقِطۡ عَلَيۡهِمۡ كِسَفٗا مِّنَ ٱلسَّمَآءِۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَةٗ لِّكُلِّ عَبۡدٖ مُّنِيبٖ
Kya inhon ne kabhi us aasmaan o zameen ko nahin dekha jo inhein aagey aur peechey se gheray huey hai? Hum chahein to inhein zameen mein dhansa dein, ya aasmaan ke kuch tukde inpar gira dein. Dar haqeeqat is mein ek naishani hai har us banday ke liye jo khuda ki taraf rujoo karne wala ho
Surah Saba, Verse 9
۞وَلَقَدۡ ءَاتَيۡنَا دَاوُۥدَ مِنَّا فَضۡلٗاۖ يَٰجِبَالُ أَوِّبِي مَعَهُۥ وَٱلطَّيۡرَۖ وَأَلَنَّا لَهُ ٱلۡحَدِيدَ
Humne Dawood ko apne haan se bada fazal ata kiya tha.(Humne hukum diya ke) aey pahadon (mountains), iske saath hum ahangi karo (unke saath tasbeeh karo) (aur yahi hukum humne) parindon ko diya. Humne lohay (Iron) ko uske liye narm kardiya
Surah Saba, Verse 10
أَنِ ٱعۡمَلۡ سَٰبِغَٰتٖ وَقَدِّرۡ فِي ٱلسَّرۡدِۖ وَٱعۡمَلُواْ صَٰلِحًاۖ إِنِّي بِمَا تَعۡمَلُونَ بَصِيرٞ
Is hidayat ke saath ke zirein (full coats of mail) bana aur unke halqe theek andaze par rakh. (Aey aale Dawood) neik amal karo. Jo kuch tum karte ho usko main dekh raha hoon
Surah Saba, Verse 11
وَلِسُلَيۡمَٰنَ ٱلرِّيحَ غُدُوُّهَا شَهۡرٞ وَرَوَاحُهَا شَهۡرٞۖ وَأَسَلۡنَا لَهُۥ عَيۡنَ ٱلۡقِطۡرِۖ وَمِنَ ٱلۡجِنِّ مَن يَعۡمَلُ بَيۡنَ يَدَيۡهِ بِإِذۡنِ رَبِّهِۦۖ وَمَن يَزِغۡ مِنۡهُمۡ عَنۡ أَمۡرِنَا نُذِقۡهُ مِنۡ عَذَابِ ٱلسَّعِيرِ
Aur Sulaiman ke liye humne hawa ko musakkhar kardiya, subah ke waqt uska chalna ek mahine ki raah tak aur shaam ke waqt uska chalna ek mahine ki raah tak. Humne uske liye pigley huey tambey(molten brass) ka chashma (spring) baha diya aur aisey Jinn uske taabey kardiye jo apne Rubb ke hukum se uske aagey kaam karte thay. Unmein se jo hamare hukum se sartabi (deviate /swerved) karta usko hum bhadakti hui aag ka maza chakhate
Surah Saba, Verse 12
يَعۡمَلُونَ لَهُۥ مَا يَشَآءُ مِن مَّحَٰرِيبَ وَتَمَٰثِيلَ وَجِفَانٖ كَٱلۡجَوَابِ وَقُدُورٖ رَّاسِيَٰتٍۚ ٱعۡمَلُوٓاْ ءَالَ دَاوُۥدَ شُكۡرٗاۚ وَقَلِيلٞ مِّنۡ عِبَادِيَ ٱلشَّكُورُ
Woh uske liye banate thay jo kuch woh chahta, unchi imaratein, tasvirein, baday baday hauz jaisey lagan (bowls like reservoirs) aur apni jagah se na hatne wali bhari degein. Aey aale Dawood, amal karo shukar ke tareeqe par. Mere bandon mein kam hi shukar guzar hain
Surah Saba, Verse 13
فَلَمَّا قَضَيۡنَا عَلَيۡهِ ٱلۡمَوۡتَ مَا دَلَّهُمۡ عَلَىٰ مَوۡتِهِۦٓ إِلَّا دَآبَّةُ ٱلۡأَرۡضِ تَأۡكُلُ مِنسَأَتَهُۥۖ فَلَمَّا خَرَّ تَبَيَّنَتِ ٱلۡجِنُّ أَن لَّوۡ كَانُواْ يَعۡلَمُونَ ٱلۡغَيۡبَ مَا لَبِثُواْ فِي ٱلۡعَذَابِ ٱلۡمُهِينِ
Phir jab Sulaiman par humne maut ka faisla nafiz kiya to Jinno ko uski maut ka pata dene wali koi cheez us ghun (worm) ke siwa na thi jo uske asa (staff) ko kha raha tha. Is tarah jab Sualiman gir pada to Jinno par yeh baat khul gayi ke agar woh gaib ke janne waley hotey to is zillat ke azaab mein mubtala na rehte
Surah Saba, Verse 14
لَقَدۡ كَانَ لِسَبَإٖ فِي مَسۡكَنِهِمۡ ءَايَةٞۖ جَنَّتَانِ عَن يَمِينٖ وَشِمَالٖۖ كُلُواْ مِن رِّزۡقِ رَبِّكُمۡ وَٱشۡكُرُواْ لَهُۥۚ بَلۡدَةٞ طَيِّبَةٞ وَرَبٌّ غَفُورٞ
Saba (Sheba) ke liye unke apne maskan (home-land) hi mein ek nishani maujood thi, do baag dayein(right) aur bayein(left). Khao apne Rubb ka diya hua rizq aur shukar baja lao uska, Mulk hai umda o pakeeza aur parwardigar hai bakshish farmane waala
Surah Saba, Verse 15
فَأَعۡرَضُواْ فَأَرۡسَلۡنَا عَلَيۡهِمۡ سَيۡلَ ٱلۡعَرِمِ وَبَدَّلۡنَٰهُم بِجَنَّتَيۡهِمۡ جَنَّتَيۡنِ ذَوَاتَيۡ أُكُلٍ خَمۡطٖ وَأَثۡلٖ وَشَيۡءٖ مِّن سِدۡرٖ قَلِيلٖ
Magar woh mooh moad gaye. Aakhir e kaar humne unpar bandh (dam) todh sailaab (flood) bhej diya aur unke pichle do baaghon (gardens) ke jagah do aur baagh unhein diye jinmein kadwe (bitter) kasaile (tamarisk) phal aur jhaao ke darakht thay aur kuch thodi si beriyan (lote trees)
Surah Saba, Verse 16
ذَٰلِكَ جَزَيۡنَٰهُم بِمَا كَفَرُواْۖ وَهَلۡ نُجَٰزِيٓ إِلَّا ٱلۡكَفُورَ
Yeh tha unke kufr ka badla jo humne unko diya. Aur nashukre Insan ke siwa aisa badla hum aur kisi ko nahin detey
Surah Saba, Verse 17
وَجَعَلۡنَا بَيۡنَهُمۡ وَبَيۡنَ ٱلۡقُرَى ٱلَّتِي بَٰرَكۡنَا فِيهَا قُرٗى ظَٰهِرَةٗ وَقَدَّرۡنَا فِيهَا ٱلسَّيۡرَۖ سِيرُواْ فِيهَا لَيَالِيَ وَأَيَّامًا ءَامِنِينَ
Aur humne unke aur un bastiyon ke darmiyaan, jinko humne barakat ata ki thi, numayan bastiyan basa di thin, aur unmein safar ki musaftein ek andaze par rakh di thin.chalo phiro in raaston mein raat din purey aman ke saath
Surah Saba, Verse 18
فَقَالُواْ رَبَّنَا بَٰعِدۡ بَيۡنَ أَسۡفَارِنَا وَظَلَمُوٓاْ أَنفُسَهُمۡ فَجَعَلۡنَٰهُمۡ أَحَادِيثَ وَمَزَّقۡنَٰهُمۡ كُلَّ مُمَزَّقٍۚ إِنَّ فِي ذَٰلِكَ لَأٓيَٰتٖ لِّكُلِّ صَبَّارٖ شَكُورٖ
Magar unhon ne kaha “Aey hamare Rubb, hamare safar ki musafatein lambi karde.” Unhon ne apne upar aap zulm kiya, aakhir e kaar humne unhein afsana bana kar rakh diya aur unhein bilkul tittar bittar kar daala. Yaqeenan ismein nishaniyan hain har us shaks ke liye jo bada saabir(steadfast) o shakir (thankful) ho
Surah Saba, Verse 19
وَلَقَدۡ صَدَّقَ عَلَيۡهِمۡ إِبۡلِيسُ ظَنَّهُۥ فَٱتَّبَعُوهُ إِلَّا فَرِيقٗا مِّنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ
Unke maamle mein Iblis ne apna gumaan saheeh paya aur unhon ne usi ki pairwi ki, bajuz ek thode se giroh ke jo momin tha
Surah Saba, Verse 20
وَمَا كَانَ لَهُۥ عَلَيۡهِم مِّن سُلۡطَٰنٍ إِلَّا لِنَعۡلَمَ مَن يُؤۡمِنُ بِٱلۡأٓخِرَةِ مِمَّنۡ هُوَ مِنۡهَا فِي شَكّٖۗ وَرَبُّكَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٍ حَفِيظٞ
Iblis ko unpar koi iqtedar (authority) haasil na tha magar jo kuch hua woh isliye hua ke hum yeh dekhna chahte thay ke kaun aakhirat ka maanne wala hai aur kaun uski taraf se shakk mein pada hua hai. Tera Rubb har cheez par nigraan (watchful) hai
Surah Saba, Verse 21
قُلِ ٱدۡعُواْ ٱلَّذِينَ زَعَمۡتُم مِّن دُونِ ٱللَّهِ لَا يَمۡلِكُونَ مِثۡقَالَ ذَرَّةٖ فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَلَا فِي ٱلۡأَرۡضِ وَمَا لَهُمۡ فِيهِمَا مِن شِرۡكٖ وَمَا لَهُۥ مِنۡهُم مِّن ظَهِيرٖ
(Aey Nabi, in mushrikeen se) kaho ke pukar dekho apne un maboodon ko jinhein tum Allah ke siwa apna mabood samajhey baithey ho. Woh na aasmaano mein kisi zarra barabar cheez ke maalik hain na zameen mein. Woh aasmaan o zameen ki milkiyat mein shareek bhi nahin hain.Unmein se koi Allah ka madadgaar bhi nahin hai
Surah Saba, Verse 22
وَلَا تَنفَعُ ٱلشَّفَٰعَةُ عِندَهُۥٓ إِلَّا لِمَنۡ أَذِنَ لَهُۥۚ حَتَّىٰٓ إِذَا فُزِّعَ عَن قُلُوبِهِمۡ قَالُواْ مَاذَا قَالَ رَبُّكُمۡۖ قَالُواْ ٱلۡحَقَّۖ وَهُوَ ٱلۡعَلِيُّ ٱلۡكَبِيرُ
Aur Allah ke huzur koi shafaat bhi kisi ke liye nafeh (faida-mand) nahin ho sakti bajuz us shaks ke jiske liye Allah ne sifarish ki ijazat di ho. Hatta ke jab logon ke dilon se ghabrahat door hogi to woh (sifarish karne walon se) puchenge ke tumhare Rubb ne kya jawab diya, woh kahenge ke theek jawab mila hai aur woh buzurg o bartar hai
Surah Saba, Verse 23
۞قُلۡ مَن يَرۡزُقُكُم مِّنَ ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَٱلۡأَرۡضِۖ قُلِ ٱللَّهُۖ وَإِنَّآ أَوۡ إِيَّاكُمۡ لَعَلَىٰ هُدًى أَوۡ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٖ
(Aey Nabi) insey pucho, “kaun tumko aasmaano aur zameen se rizq deta hai?” kaho “Allah. Ab la muhala (inevitably) hum mein aur tum mein se koi ek hi hidayat par hai ya khuli gumraahi mein pada hua hai.”
Surah Saba, Verse 24
قُل لَّا تُسۡـَٔلُونَ عَمَّآ أَجۡرَمۡنَا وَلَا نُسۡـَٔلُ عَمَّا تَعۡمَلُونَ
Insey kaho, “jo kasoor humne kiya ho uski koi baaz-purs tumse na hogi, aur jo kuch tum kar rahey ho uski koi jawab talabi humse nahin ki jayegi.”
Surah Saba, Verse 25
قُلۡ يَجۡمَعُ بَيۡنَنَا رَبُّنَا ثُمَّ يَفۡتَحُ بَيۡنَنَا بِٱلۡحَقِّ وَهُوَ ٱلۡفَتَّاحُ ٱلۡعَلِيمُ
Kaho “hamara Rubb humko jamaa karega, phir hamare darmiyan theek theek faisla kardega. Woh aisa zabardast hakim (Great Judge) hai jo sab kuch jaanta hai.”
Surah Saba, Verse 26
قُلۡ أَرُونِيَ ٱلَّذِينَ أَلۡحَقۡتُم بِهِۦ شُرَكَآءَۖ كَلَّاۚ بَلۡ هُوَ ٱللَّهُ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ
Insey kaho, “zara mujhey dekhao to saheeh woh kaun hastiyan hain jinhein tumne uske saath shareek laga rakkha hai.” Hargiz nahin, zabardast aur dana to bas woh Allah hi hai
Surah Saba, Verse 27
وَمَآ أَرۡسَلۡنَٰكَ إِلَّا كَآفَّةٗ لِّلنَّاسِ بَشِيرٗا وَنَذِيرٗا وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَعۡلَمُونَ
Aur (Aey Nabi) humne tumko tamaam hi insaano ke liye basheer (khush kabhri dene wala) o nazeer (darr sunane wala) bana kar bheja hai, magar aksar log jaante nahin hain
Surah Saba, Verse 28
وَيَقُولُونَ مَتَىٰ هَٰذَا ٱلۡوَعۡدُ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ
Yeh log tumse kehte hain ke woh (qayamat ka) wada kab poora hoga agar tum sacchey ho
Surah Saba, Verse 29
قُل لَّكُم مِّيعَادُ يَوۡمٖ لَّا تَسۡتَـٔۡخِرُونَ عَنۡهُ سَاعَةٗ وَلَا تَسۡتَقۡدِمُونَ
Kaho tumhare liye ek aisey din ki miyad muqarrar hai jiske aane mein na ek ghadi bhar ki taakhir (delay) tum kar sakte ho aur na ek ghadi bhar pehle isey laa sakte ho
Surah Saba, Verse 30
وَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لَن نُّؤۡمِنَ بِهَٰذَا ٱلۡقُرۡءَانِ وَلَا بِٱلَّذِي بَيۡنَ يَدَيۡهِۗ وَلَوۡ تَرَىٰٓ إِذِ ٱلظَّـٰلِمُونَ مَوۡقُوفُونَ عِندَ رَبِّهِمۡ يَرۡجِعُ بَعۡضُهُمۡ إِلَىٰ بَعۡضٍ ٱلۡقَوۡلَ يَقُولُ ٱلَّذِينَ ٱسۡتُضۡعِفُواْ لِلَّذِينَ ٱسۡتَكۡبَرُواْ لَوۡلَآ أَنتُمۡ لَكُنَّا مُؤۡمِنِينَ
Yeh kaafir kehte hain ke “hum hargiz is Quran ko na maanenge aur na issey pehle aayi hui kisi kitaab ko tasleem karenge”. Kaash tum dekho inka haal us waqt jab yeh zaalim apne Rubb ke huzur khaday hongey us waqt yeh ek dusre par ilzam dharenge. Jo log duniya mein daba kar rakkhe gaye thay woh baday bannay walon se kahenge ke “agar tum na hotay to hum momin hotay.”
Surah Saba, Verse 31
قَالَ ٱلَّذِينَ ٱسۡتَكۡبَرُواْ لِلَّذِينَ ٱسۡتُضۡعِفُوٓاْ أَنَحۡنُ صَدَدۡنَٰكُمۡ عَنِ ٱلۡهُدَىٰ بَعۡدَ إِذۡ جَآءَكُمۖ بَلۡ كُنتُم مُّجۡرِمِينَ
Woh baday bannay walay in dabay huey logon ko jawab denge “kya humne tumhein us hidayat se roka tha jo tumhare paas aayi thi? Nahin, balke tum khud mujrim thay.”
Surah Saba, Verse 32
وَقَالَ ٱلَّذِينَ ٱسۡتُضۡعِفُواْ لِلَّذِينَ ٱسۡتَكۡبَرُواْ بَلۡ مَكۡرُ ٱلَّيۡلِ وَٱلنَّهَارِ إِذۡ تَأۡمُرُونَنَآ أَن نَّكۡفُرَ بِٱللَّهِ وَنَجۡعَلَ لَهُۥٓ أَندَادٗاۚ وَأَسَرُّواْ ٱلنَّدَامَةَ لَمَّا رَأَوُاْ ٱلۡعَذَابَۚ وَجَعَلۡنَا ٱلۡأَغۡلَٰلَ فِيٓ أَعۡنَاقِ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْۖ هَلۡ يُجۡزَوۡنَ إِلَّا مَا كَانُواْ يَعۡمَلُونَ
Woh dabay huey log un baday banne walon se kahenge, ‘Nahin, balke shab-o-roz ki makkari thi jab tum humse kehte thay ke hum Allah se kufr karein aur dusron ko uska humsar thehrayein.” Aakhir e kaar jab yeh log azaab dekhenge to apne dilon mein pachtayenge aur hum in munkireen ke galon mein tauq (bedi/fetters) daal denge. Kya logon ko iske siwa aur koi badla diya ja sakta hai ke jaise aamal unke thay waisi hi jaza woh payein
Surah Saba, Verse 33
وَمَآ أَرۡسَلۡنَا فِي قَرۡيَةٖ مِّن نَّذِيرٍ إِلَّا قَالَ مُتۡرَفُوهَآ إِنَّا بِمَآ أُرۡسِلۡتُم بِهِۦ كَٰفِرُونَ
Kabhi aisa nahin hua ke humne kisi basti mein ek khabardar karne wala bheja ho aur us basti ke khatey peetay logon ne yeh na kaha ho ke jo paigham tum lekar aaye ho usko hum nahin maante
Surah Saba, Verse 34
وَقَالُواْ نَحۡنُ أَكۡثَرُ أَمۡوَٰلٗا وَأَوۡلَٰدٗا وَمَا نَحۡنُ بِمُعَذَّبِينَ
Unhon ne hamesha yahi kaha ke hum tumse zyada maal aulad rakhte hain aur hum hargiz saza paaney walay nahin hain
Surah Saba, Verse 35
قُلۡ إِنَّ رَبِّي يَبۡسُطُ ٱلرِّزۡقَ لِمَن يَشَآءُ وَيَقۡدِرُ وَلَٰكِنَّ أَكۡثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَعۡلَمُونَ
(Aye Nabi), Insey kaho mera Rubb jisey chahta hai kushada (abundant) rizq deta hai aur jisey chahta hai napa tula ata karta hai, magar aksar log iski haqeeqat nahin jaante
Surah Saba, Verse 36
وَمَآ أَمۡوَٰلُكُمۡ وَلَآ أَوۡلَٰدُكُم بِٱلَّتِي تُقَرِّبُكُمۡ عِندَنَا زُلۡفَىٰٓ إِلَّا مَنۡ ءَامَنَ وَعَمِلَ صَٰلِحٗا فَأُوْلَـٰٓئِكَ لَهُمۡ جَزَآءُ ٱلضِّعۡفِ بِمَا عَمِلُواْ وَهُمۡ فِي ٱلۡغُرُفَٰتِ ءَامِنُونَ
Yeh tumahri daulat aur tumhari aulad nahin hai jo tumhein humse kareeb karti ho. Haan magar jo iman laye aur neik amal karey, yahi log hain jinke liye unke amal ki dohri (double) jaza hai, aur woh baland o baala imaraton mein itminaan se rahenge
Surah Saba, Verse 37
وَٱلَّذِينَ يَسۡعَوۡنَ فِيٓ ءَايَٰتِنَا مُعَٰجِزِينَ أُوْلَـٰٓئِكَ فِي ٱلۡعَذَابِ مُحۡضَرُونَ
Rahey woh log jo hamari aayat ko nicha dikhane ke liye daud-dhoop karte hain, to woh azaab mein mubtala hongey
Surah Saba, Verse 38
قُلۡ إِنَّ رَبِّي يَبۡسُطُ ٱلرِّزۡقَ لِمَن يَشَآءُ مِنۡ عِبَادِهِۦ وَيَقۡدِرُ لَهُۥۚ وَمَآ أَنفَقۡتُم مِّن شَيۡءٖ فَهُوَ يُخۡلِفُهُۥۖ وَهُوَ خَيۡرُ ٱلرَّـٰزِقِينَ
(Aey Nabi), Insey kaho, “mera Rubb apne bandon mein se jisey chahta hai khula rizq deta hai aur jisey chahta hai napa tula deta hai. Jo kuch tum kharch kar detey ho uski jagah whai tumko aur deta hai. Woh sab raziqon(providers) se behtar raziq(provider) hai
Surah Saba, Verse 39
وَيَوۡمَ يَحۡشُرُهُمۡ جَمِيعٗا ثُمَّ يَقُولُ لِلۡمَلَـٰٓئِكَةِ أَهَـٰٓؤُلَآءِ إِيَّاكُمۡ كَانُواْ يَعۡبُدُونَ
Aur jis din woh tamaam Insano ko jamaa karega phir Farishton se poochega “kya yeh log tumhari hi ibadat kiya karte thay?”
Surah Saba, Verse 40
قَالُواْ سُبۡحَٰنَكَ أَنتَ وَلِيُّنَا مِن دُونِهِمۖ بَلۡ كَانُواْ يَعۡبُدُونَ ٱلۡجِنَّۖ أَكۡثَرُهُم بِهِم مُّؤۡمِنُونَ
To woh jawab denge ke “paak hai aap ki zaat, hamara taaluq to aapse hai na ke in logon se. Dar-asal yeh hamari nahin balke Jinno ki ibadat karte thay, in mein se aksar unhi par iman laye huey thay”
Surah Saba, Verse 41
فَٱلۡيَوۡمَ لَا يَمۡلِكُ بَعۡضُكُمۡ لِبَعۡضٖ نَّفۡعٗا وَلَا ضَرّٗا وَنَقُولُ لِلَّذِينَ ظَلَمُواْ ذُوقُواْ عَذَابَ ٱلنَّارِ ٱلَّتِي كُنتُم بِهَا تُكَذِّبُونَ
(Us waqt hum kahenge ke) aaj tum mein se koi na kisi ko faida pahuncha sakta hai na nuksan. Aur zaalimon se hum kehdenge ke ab chakkho us azaab e jahannum ka maza jisey tum jhutlaya karte thay
Surah Saba, Verse 42
وَإِذَا تُتۡلَىٰ عَلَيۡهِمۡ ءَايَٰتُنَا بَيِّنَٰتٖ قَالُواْ مَا هَٰذَآ إِلَّا رَجُلٞ يُرِيدُ أَن يَصُدَّكُمۡ عَمَّا كَانَ يَعۡبُدُ ءَابَآؤُكُمۡ وَقَالُواْ مَا هَٰذَآ إِلَّآ إِفۡكٞ مُّفۡتَرٗىۚ وَقَالَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ لِلۡحَقِّ لَمَّا جَآءَهُمۡ إِنۡ هَٰذَآ إِلَّا سِحۡرٞ مُّبِينٞ
In logon ko jab hamari saaf saaf aayat sunayi jaati hain to yeh kahte hain ke “yeh shaks to bas yeh chahta hai ke tumko un maboodon se bargashta (turn away) karde jinki ibadat tumhare baap dada karte aaye hain.” aur kehte hain ke “yeh (Quran) mehaz ek jhoot hai ghada hua.” In kafiron ke saamne jab haqq aaya to unhon ne kehdiya ke “ yeh to sareeh jaadu hai”
Surah Saba, Verse 43
وَمَآ ءَاتَيۡنَٰهُم مِّن كُتُبٖ يَدۡرُسُونَهَاۖ وَمَآ أَرۡسَلۡنَآ إِلَيۡهِمۡ قَبۡلَكَ مِن نَّذِيرٖ
Halaanke na humne in logon ko pehle koi kitaab di thi ke yeh usey padhte hon, aur na tumse pehle inki taraf koi mutanabbeh karne wala bheja tha
Surah Saba, Verse 44
وَكَذَّبَ ٱلَّذِينَ مِن قَبۡلِهِمۡ وَمَا بَلَغُواْ مِعۡشَارَ مَآ ءَاتَيۡنَٰهُمۡ فَكَذَّبُواْ رُسُلِيۖ فَكَيۡفَ كَانَ نَكِيرِ
Insey pehle guzre huey log jhutla chuke hain. Jo kuch humne unhein diya tha uske usrey-asheer (even a tenth/ daswe hissey) ko bhi yeh nahin pahunche hain. Magar jab unhon ne mere Rasoolon ko jhutlaya to dekhlo ke meri saza kaisi sakht thi
Surah Saba, Verse 45
۞قُلۡ إِنَّمَآ أَعِظُكُم بِوَٰحِدَةٍۖ أَن تَقُومُواْ لِلَّهِ مَثۡنَىٰ وَفُرَٰدَىٰ ثُمَّ تَتَفَكَّرُواْۚ مَا بِصَاحِبِكُم مِّن جِنَّةٍۚ إِنۡ هُوَ إِلَّا نَذِيرٞ لَّكُم بَيۡنَ يَدَيۡ عَذَابٖ شَدِيدٖ
(Aey Nabi), Insey kaho “main tumhein bas ek baat ki naseehat karta hoon, khuda ke liye tum akele akele aur do do mil kar apna dimaag ladaoo aur socho, tumhare saahib[companion(Muhammad)] mein aakhir aisi kaunsi baat hai jo junoon(madness) ki ho? Woh to ek sakht azaab ki aamad (aaney) se pehle tumko mutanabbeh karne wala hai”
Surah Saba, Verse 46
قُلۡ مَا سَأَلۡتُكُم مِّنۡ أَجۡرٖ فَهُوَ لَكُمۡۖ إِنۡ أَجۡرِيَ إِلَّا عَلَى ٱللَّهِۖ وَهُوَ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ شَهِيدٞ
Insey kaho “agar maine tumse koi ajar maanga hai to woh tum hi ko mubarak rahey. Mera ajar to Allah ke zimmey hai aur woh har cheez par gawah hai.”
Surah Saba, Verse 47
قُلۡ إِنَّ رَبِّي يَقۡذِفُ بِٱلۡحَقِّ عَلَّـٰمُ ٱلۡغُيُوبِ
Insey kaho “mera Rubb (mujhpar) haqq ka ilqa (inspiration/hurls down) karta hai aur woh tamaam posheeda(chupi hui) haqeeqaton ko jaane wala hai”
Surah Saba, Verse 48
قُلۡ جَآءَ ٱلۡحَقُّ وَمَا يُبۡدِئُ ٱلۡبَٰطِلُ وَمَا يُعِيدُ
Kaho, “haqq aa gaya aur ab baatil ke kiye kuch nahin ho sakta”
Surah Saba, Verse 49
قُلۡ إِن ضَلَلۡتُ فَإِنَّمَآ أَضِلُّ عَلَىٰ نَفۡسِيۖ وَإِنِ ٱهۡتَدَيۡتُ فَبِمَا يُوحِيٓ إِلَيَّ رَبِّيٓۚ إِنَّهُۥ سَمِيعٞ قَرِيبٞ
Kaho, “Agar main gumraah ho gaya hoon to meri gumraahi ka wabal mujhpar hai, aur agar main hidayat par hoon to us wahee (revelation) ki bina par hoon jo mera Rubb mere upar nazil karta hai.Woh sabkuch sunta hai aur qareeb hi hai.”
Surah Saba, Verse 50
وَلَوۡ تَرَىٰٓ إِذۡ فَزِعُواْ فَلَا فَوۡتَ وَأُخِذُواْ مِن مَّكَانٖ قَرِيبٖ
Kaash tum dekho inhein us waqt jab yeh log ghabraye phir rahey hongey aur kahin bach kar na ja sakengey, balke qareeb hi se pakad liye jayenge
Surah Saba, Verse 51
وَقَالُوٓاْ ءَامَنَّا بِهِۦ وَأَنَّىٰ لَهُمُ ٱلتَّنَاوُشُ مِن مَّكَانِۭ بَعِيدٖ
Us waqt yeh kahenge ke hum uspar iman le aaye, halanke ab dur nikli hui cheez kahan haath aa sakti hai
Surah Saba, Verse 52
وَقَدۡ كَفَرُواْ بِهِۦ مِن قَبۡلُۖ وَيَقۡذِفُونَ بِٱلۡغَيۡبِ مِن مَّكَانِۭ بَعِيدٖ
Issey pehle yeh kufr kar chuke thay aur bila tehqeeq dur dur ki kodiyan (conjectures) laya karte thay
Surah Saba, Verse 53
وَحِيلَ بَيۡنَهُمۡ وَبَيۡنَ مَا يَشۡتَهُونَ كَمَا فُعِلَ بِأَشۡيَاعِهِم مِّن قَبۡلُۚ إِنَّهُمۡ كَانُواْ فِي شَكّٖ مُّرِيبِۭ
Us waqt jis cheez ki yeh tamanna kar rahey hongey ussey mehroom kardiye jayenge jis tarh inke pesh-ro hum mashrab (likes of them before) mehroom ho chuke hongey. Yeh baday gumraah-kun shakk mein paday huey thay
Surah Saba, Verse 54