Surah Fatir Verse 11 - Urdu Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Surah Fatirوَٱللَّهُ خَلَقَكُم مِّن تُرَابٖ ثُمَّ مِن نُّطۡفَةٖ ثُمَّ جَعَلَكُمۡ أَزۡوَٰجٗاۚ وَمَا تَحۡمِلُ مِنۡ أُنثَىٰ وَلَا تَضَعُ إِلَّا بِعِلۡمِهِۦۚ وَمَا يُعَمَّرُ مِن مُّعَمَّرٖ وَلَا يُنقَصُ مِنۡ عُمُرِهِۦٓ إِلَّا فِي كِتَٰبٍۚ إِنَّ ذَٰلِكَ عَلَى ٱللَّهِ يَسِيرٞ
logo! Allah ta’ala ne tumhe mitthi se, phir nutfe se paida kiya hai, phir tumhe jode jode (mardh wa aurath) bana diya hai, aurto ka haamela hona aur baccho ka tawalludh hona, sab us ke ilm se hee hai aur jo badi umr waala, umr diya jaaye aur jis kisi ki umar ghate, wo sab kitaab mein likha hoa hai, Allah ta’ala par ye baath bilkul asaan hai